khwaab kaanch ke mile
dafn the takiye tale
yaad phir se aa gaye
mausiiquii ke silsile
mere likhe har lafz ki
dhuun bana karti thi tum
karch tum par kar diye
lamhe sabhi vo pyaar ke
main tera junoon tha
tu mera guroor thi
logon ne bas badhaa diye
faasle tere mere
munaasib nahi ki main tumhe
ab koi ilzaam duun
aye meri hum-nafas dua
jidhar rahe tu khush rahe
jis se likhe the khat tumhe
siyaahi vo thi udhaar ki
vo bezubaan alfaaz ab
'Qasid' tumhe bulaa rahe