Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
naam ho gaya
Old
  (#1)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
naam ho gaya - 12th November 2005, 12:00 PM

doston
ek gajal jo kahin dhool mai dabi padi thee jise kabhi dil ke durd kee syaahi se likha tha maine aaj use pesh kar raha hun


Aagaz abhi hua bhi na tha ke anjaam ho gaya !
Rahe wafa pe chalke mai nakam ho gaya !

Achha hua jo ishq mai badnaam ho gaya !
Koi janta na tha shahar mai, ab naam ho gaya !

Ab sochta hun mai ki kahan bhool ho gai..
Kyunkar mera jeena bhi ab haraam ho gaya !

Pahle tha apne dil pe ikhtiyaar likin ab
Kambakht namurraad be-lagam ho gaya !

Tujhse mila tha to haath mai ek phool tha mere
Tujhse bichhad ke haath mai ek jaam ho gaya !

Khamosh nigaho mai bas ek soch hai baki
Kal jispe naaz tha kyun beimaan ho gaya !

Karni thi bahut baate bahut si shikayten
Wo aaya samne to bas salaam ho gaya !


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
good keep it up
Old
  (#2)
shoaib_malik21
Registered User
shoaib_malik21 will become famous soon enough
 
shoaib_malik21's Avatar
 
Offline
Posts: 186
Join Date: Oct 2005
Location: bhopal(mp)
Rep Power: 19
good keep it up - 12th November 2005, 12:20 PM

waah janab hum to sochte the hum hi hain diljale
aap ko padh kar esa laga aap hum se bhi bade hain zalzale.
   
Reply With Quote
Re: naam ho gaya
Old
  (#3)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
Re: naam ho gaya - 14th November 2005, 11:06 PM

Quote:
Originally posted by anish_ekshayar
doston
ek gajal jo kahin dhool mai dabi padi thee jise kabhi dil ke durd kee syaahi se likha tha maine aaj use pesh kar raha hun


Aagaz abhi hua bhi na tha ke anjaam ho gaya !
Rahe wafa pe chalke mai nakam ho gaya !

Achha hua jo ishq mai badnaam ho gaya !
Koi janta na tha shahar mai, ab naam ho gaya !

Ab sochta hun mai ki kahan bhool ho gai..
Kyunkar mera jeena bhi ab haraam ho gaya !

Pahle tha apne dil pe ikhtiyaar likin ab
Kambakht namurraad be-lagam ho gaya !

Tujhse mila tha to haath mai ek phool tha mere
Tujhse bichhad ke haath mai ek jaam ho gaya !

Khamosh nigaho mai bas ek soch hai baki
Kal jispe naaz tha kyun beimaan ho gaya !

Karni thi bahut baate bahut si shikayten
Wo aaya samne to bas salaam ho gaya !

Anish,

bahut bahut bahut achha likha hai... Like to read this one of yours... daad aur duaan kubul karna... take good care of yourself and have a nice day!

   
Reply With Quote
Old
  (#4)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
14th November 2005, 11:14 PM

bahaut accha likkha hai anish......tareef kubool karna......yuhin likhte rehna...take care


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#5)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
15th November 2005, 12:05 AM

dear shoaib

apne reply kiya or is rachna ko pasand kiya iske liye shukriya kabool kijiye apka tareef karne ka dhang bhi achha laga

=========

dear parul jee
shukriya ke apko hamara likha pasand aaya thnx for reply

=======


dear farhana jee
shukriya ke aapko alpne is dost kee rachna pasand aai thnx for reply


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Re: naam ho gaya
Old
  (#6)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: naam ho gaya - 15th November 2005, 10:36 AM

Achha hua jo ishq mai badnaam ho gaya !
Koi janta na tha shahar mai, ab naam ho gaya !

WAH.....

Pahle tha apne dil pe ikhtiyaar likin ab
Kambakht namurraad be-lagam ho gaya !

KYA BAAT HAI...SUPEREB !!!!

Tujhse mila tha to haath mai ek phool tha mere
Tujhse bichhad ke haath mai ek jaam ho gaya !

EXILENT...!!! KYA BAAT HAI..!!!

Karni thi bahut baate bahut si shikayten
Wo aaya samne to bas salaam ho gaya !

WAH....BAHOOOT KHOOOB!!!!

ANISH SAHEB
EK aur beshkeemti gauhar aapke shayri ke khazane se...aapki jazbaaton ki ravani ,,,radeef -kafiya ki buniyaad par taamir ek aur muqammal gazal...bahooot bahooot pasand aaye yeh rachna bhi...aap kabhi niraash nahin karte,,,
meri daad kuboool kijiye
-MANOJ KUREEL


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
15th November 2005, 11:54 AM

wah anish bhaiya bahut hi khoob likha hai aapne.shayad jitni bhi tareef ki jaye kam pad jayegi.aapne to bahut hi khoob surati se apne dard ko kalaam ka roop de kar panno par utar diya.bas hum to kayal ho gaye aapke kalaam ke.bas aapse yahi darkhwast hai ki yunhi likhte rahiye.


aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#8)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
15th November 2005, 12:04 PM

dear manoj jee
shukriya aapke daad dene ka andaaj to hamesha se hee nirala hai aapki rachanaon kee tarah dil machal jata hai jab aapka jawaab aata hai kisi bhi gajal par aya aapka reply behad saleeke se dee gai daad kayal kar deta ahi hame aapka


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sager
Registered User
sager is a glorious beacon of lightsager is a glorious beacon of lightsager is a glorious beacon of lightsager is a glorious beacon of lightsager is a glorious beacon of light
 
sager's Avatar
 
Offline
Posts: 144
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 23
16th November 2005, 12:38 AM

hmmm nice keep up the gud work


jab se mein ishq mein badnaam ho gaya...
aashiqkon ki mahfil mein sager tera bhi naam ho gaya...


Her pal dekta hoon,
dharti ko aasma se milte huye,
her pal dikh jati hai isliyat mujhe.....
aur rah jata hoon bus yehi kahte huye......
shitiz yeh nahin hai,
SAGER tere aasma se pyar ki
   
Reply With Quote
Re: naam ho gaya
Old
  (#10)
roshani
Registered User
roshani will become famous soon enough
 
roshani's Avatar
 
Offline
Posts: 459
Join Date: Oct 2005
Rep Power: 19
Re: naam ho gaya - 16th November 2005, 06:40 AM

Quote:
Originally posted by anish_ekshayar
doston
ek gajal jo kahin dhool mai dabi padi thee jise kabhi dil ke durd kee syaahi se likha tha maine aaj use pesh kar raha hun


Aagaz abhi hua bhi na tha ke anjaam ho gaya !
Rahe wafa pe chalke mai nakam ho gaya !

Achha hua jo ishq mai badnaam ho gaya !
Koi janta na tha shahar mai, ab naam ho gaya !

Ab sochta hun mai ki kahan bhool ho gai..
Kyunkar mera jeena bhi ab haraam ho gaya !

Pahle tha apne dil pe ikhtiyaar likin ab
Kambakht namurraad be-lagam ho gaya !

Tujhse mila tha to haath mai ek phool tha mere
Tujhse bichhad ke haath mai ek jaam ho gaya !

Khamosh nigaho mai bas ek soch hai baki
Kal jispe naaz tha kyun beimaan ho gaya !

Karni thi bahut baate bahut si shikayten
Wo aaya samne to bas salaam ho gaya !
anish ji,
bahut khoob! its awesome n wonderfully expressed. kaun sa sher chunu, jab ki its complete in all. loved reading each word of it.ek sher kabhi likha hua aaj aapko padhkar yaad aa gaya. wud share it with u..........

gamhe-ashiquie mein jo kalam ka sahara mila
doobti kasti ko jaise koi kinara mila
mehkhannon mein jakar jis dil ko bhi tatola
mujhe wo dil hi mohabbat ka mara mila!

keep flowing ur thoughts ahead too n keep penning down. take care n may god bless u with his finnest glitters.
roshani
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
16th November 2005, 11:41 AM

dear roshni jee
pahle shukriya kabool kijiye or fir hamari daad kabool kijiye aapka likha sher behad khoobsurat hai
gamhe-ashiquie mein jo kalam ka sahara mila
doobti kasti ko jaise koi kinara mila
mehkhannon mein jakar jis dil ko bhi tatola
mujhe wo dil hi mohabbat ka mara mila!
par kya aap bhi mekhhane tak jaati hain ye to galat baat hai ..hai na ? khiar behad khoobsurat or khud ko sarthak karne wali is rachana ke liye dad kabool kijiye or aapko ham bhi ek sher likh kar bhej rahe hain

durd seene kee tijori main chhupa kar rakhna ..
duniya to jo bhi mile chhin liya karti hai


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
16th November 2005, 11:45 AM

HI SAGER JEE
SHUKRIYA ADA KARTA HUN KE AAPNE MERI IS RACHNA KO PADHA OR SARAHA THNX


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
roshani
Registered User
roshani will become famous soon enough
 
roshani's Avatar
 
Offline
Posts: 459
Join Date: Oct 2005
Rep Power: 19
17th November 2005, 11:36 AM

Quote:
Originally posted by anish_ekshayar
dear roshni jee
pahle shukriya kabool kijiye or fir hamari daad kabool kijiye aapka likha sher behad khoobsurat hai
gamhe-ashiquie mein jo kalam ka sahara mila
doobti kasti ko jaise koi kinara mila
mehkhannon mein jakar jis dil ko bhi tatola
mujhe wo dil hi mohabbat ka mara mila!
par kya aap bhi mekhhane tak jaati hain ye to galat baat hai ..hai na ? khiar behad khoobsurat or khud ko sarthak karne wali is rachana ke liye dad kabool kijiye or aapko ham bhi ek sher likh kar bhej rahe hain

durd seene kee tijori main chhupa kar rakhna ..
duniya to jo bhi mile chhin liya karti hai
anish ji,
zaroori nahi ki mehkhano pe likhne ka matlab ki mein wahan jaati hoon , but yes ppl around u make u learn so much. u liked reading it. thx.

durd seene kee tijori main chhupa kar rakhna ..
duniya to jo bhi mile chhin liya karti hai
anish ji,
dard bantane se kam hota hai halaki isse poori tarah nijjat nahi milta hai but atleast it relieves sum depth of it. haan ek baat maanti hoon ki duniya tamasha dekhti hai, gavon par namak bhi chirakti hai but cheenti hain yeh baat nahi manti kyu jo kuch hum pate hai ya kote hai yeh sab kismat ka dastoor hai.but yes talking n discussing ur heartaches n woes with ur closed ones really helps u out.i hope u get wat i ought to say.take care n may god bless u with his finnest glitters.
with love
roshani
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
6th September 2006, 11:38 AM

hi roshni jee
maanta hun maine aapke is jawaab ka reply karne main bahut jyaada hee der kar dee par kya kare aaj kal is mahfil main aana hee nahi ho pata shayad hame kisi gunah kee saja mili hai ye khair jo bhi hai aapne jo kaha tha wo bilkul sahi hai par mere jo kahne ka matlab tha wo bhi apne aap main sahi hee hai ke
dard seene kee tijori main chhupa kar rakhna
duniya to jo bhi mile chhin liya karti hai !!

kuchh dard aise bhi hote hain jo laakh satayen par hame wo jindgi bhar kee khushiyon se bhi jyaada ajeej hote hain un sabhi ko dil main hame chupaye rakhna chahiye warna to logon ka kya hai wo us dard ke bhi afsaane bana dete hain jaisa kee aapne kaha duniya tamasha dekhti hai jo bhi hai main to yahi manta hun ke kuchh dard jo khushiyo se bhi jyada ajeej hain unhe heere motiyon se bhi jyaada sambhaal ke rakhna chahiye kyunki jab ham tanha hote hain to wahi hote hain jo hamare saathi hote hain hai na ???


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Hothon pe aaj unka naam aa gaya mansu123 Shayri-e-Sharaab 0 5th September 2009 02:41 PM
Aapka naam taqdeer mein likh gaya hai karndhar Shayri-e-Ishq 0 16th March 2009 02:19 PM
*Mera Naam Likh Kar Mitaya Gaya Hain** Shimul Ghazal Section 1 8th October 2006 01:05 PM
apna naam de gaya dard_thesorrow Shayri-e-Ishq 0 30th August 2004 01:34 PM
Mera Naam Mitaya Nah Gaya deewaana Shayri-e-Dard 0 17th March 2004 10:53 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com