Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Dard kee sarhad....
Old
  (#1)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 25
Smile Dard kee sarhad.... - 8th October 2007, 11:49 AM

Dear friends
Aaj apni ek purani see rachna se aap ko fir se rubaroo kar raha hun kain dino se yanha aaya nahi aaj kuchh aap sabhi kee yaaden mujhe yanha le aayi hain aapki mahfil main fir se ek baar aana mujhe bahut achha sa ahsaas de jaata hai

Dard jo tumne kabhi mujhko diya le jaa raha hun !
Dard kee sarhad kanha tak hai yahi samjha raha hun !

Teri yadon ke ghane jangal main khud ko paa raha hun ..
Chup se ek lamhe se khud ko aaj main bahla raha hun !

Tu kabhi mera nahi tha jaanta hun hamsafar ..
Main magar ab tak tera hee aks hun dhundhla raha hun !

Mujhko ab tak ye guma kee ek shaks hai ab bhi mera ..
Tere haathon kee chhuan maathe pe apne paa raha hun !

Muddton tak baith kar jis guthhi ko tha suljha raha ..
Ab jara sulhi to main fir use uljha raha hun !

--Anish Paliwal


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
8th October 2007, 12:19 PM

Adaab Anish ji kese ho aap.................
Aaj pehli baar apko padha aur bahut hi khubsoorat laga apka likha. apne dard ki koi sarhad nahi hoti aur jo nahi samjhe use kese samjhaya jaye aapka likha dil pe dastak de gaya........ese hi umda kalaam se mehfil ko mehkate rahiye.........apna khayal rakhiye.........tack care


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
Smile hi - 8th October 2007, 12:31 PM

Quote:
Originally Posted by anish_ekshayar View Post
Dear friends
Aaj apni ek purani see rachna se aap ko fir se rubaroo kar raha hun kain dino se yanha aaya nahi aaj kuchh aap sabhi kee yaaden mujhe yanha le aayi hain aapki mahfil main fir se ek baar aana mujhe bahut achha sa ahsaas de jaata hai

Quote:
Dard jo tumne kabhi mujhko diya le jaa raha hun !
Dard kee sarhad kanha tak hai yahi samjha raha hun !
bahut khoob anish ji kyaa bat kahi hai aap ne jawab nahee aap ka aur aap ke is sher ka

Quote:
Teri yadon ke ghane jangal main khud ko paa raha hun ..
Chup se ek lamhe se khud ko aaj main bahla raha hun !
yeh bhi kamal ka sher hai janaab

Quote:
Tu kabhi mera nahi tha jaanta hun hamsafar ..
Main magar ab tak tera hee aks hun dhundhla raha hun !
masaalaha mahobbat yahi to hai

Quote:
Mujhko ab tak ye guma kee ek shaks hai ab bhi mera ..
Tere haathon kee chhuan maathe pe apne paa raha hun !
dil loot liyaa aap ke is sher ne to,sach men aankho se gujarr kar dil men utar gaya janab

Quote:
Muddton tak baith kar jis guthhi ko tha suljha raha ..
Ab jara sulhi to main fir use uljha raha hun !
yeh sher thora kamzor lagaa mujhe janaab

--Anish Paliwal

anish ji aap ko kaafe vaqt baad padhaa magar sach men vahii jaadu barkarar hai hai aap ki ghazal men jo kuchh arse pehle thaa. aap ki tanhaaiyon men yaado ke jangal sulag pade. yeh ghazal aaj bhi yaad hai mujhe janaab


http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=48610



bahut khoob ghazal kahi hai aap ne dil se mubarakbaad kabool kare.
yunhee likhate rahe
regards
aap ka dost
manu

Last edited by acharya_mj; 8th October 2007 at 12:43 PM..
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
sarhad par bhi ....... Qasid Shayri-e-Dard 25 14th December 2014 10:46 PM
Bikne laga sarhad ka imaan Vipinbox Shayri-e-Dard 19 1st April 2006 02:40 PM
Dard kee sarhad ......! anish_ekshayar Shayri-e-Dard 11 16th March 2006 11:45 PM
Sarhad (Musharrafhusain jee kee jee ka khas gour chahoonga) masoomshayer Shayri-e-Dard 21 3rd March 2006 03:28 PM
koi sarhad nahi hoti.... mani_unique Shayri-e-Ishq 0 24th June 2004 10:38 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com