Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Wo Phool
Old
  (#1)
ek_wafa
Koshish
ek_wafa will become famous soon enoughek_wafa will become famous soon enough
 
ek_wafa's Avatar
 
Offline
Posts: 214
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 20
Wo Phool - 14th May 2006, 01:45 PM

jeevan khila tha koi aise jaise koi phool
hanste muskurate gulshan ko wo jee raha tha
sawan ki rimjhim se chamak raha tha
purvai ki roshni se damak raha tha


kuch lamhe nahin poori ek zindagi jee raha tha phool
khushi ke ansu reh rehkar pyar se pee raha tha phool
par khushi ko kuch jaldi thi shayad
wo laut gayi, laut_te kadmon ko dekh raha tha phool


abb murjhane ki baari aayi thi
fiza gayi abb khiza ki baari aayi thi
dheere dheere mayus ho raha tha wo phool
jaise apni hi mazaar pe ro raha tha wo phool


dua mangta tha hawa chale kuch zor se
toot kar alag ho jaye wo ikk dor se
ajeeb sa dard jhel raha tha wo phool
jane kyun apne ghum se khel raha tha wo phool


na hawa chali na koi toofan aaya
na hi dhoop thi uspar na hi koi saaya
apne hi aangan mein mara pada tha wo
maali ne usse uthaya jane kahan rakh aaya


Aaina mujhse meri pehli si surat maange
   
Reply With Quote
Re: Wo Phool
Old
  (#2)
ashiq awara,
copy shayar
ashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the roughashiq awara, is a jewel in the rough
 
ashiq awara,'s Avatar
 
Offline
Posts: 445
Join Date: Sep 2005
Location: MUMBAI---- ( mai-khana )
Rep Power: 22
Re: Wo Phool - 14th May 2006, 06:22 PM

Quote:
Originally posted by ek_wafa
jeevan khila tha koi aise jaise koi phool
hanste muskurate gulshan ko wo jee raha tha
sawan ki rimjhim se chamak raha tha
purvai ki roshni se damak raha tha


kuch lamhe nahin poori ek zindagi jee raha tha phool
khushi ke ansu reh rehkar pyar se pee raha tha phool
par khushi ko kuch jaldi thi shayad
wo laut gayi, laut_te kadmon ko dekh raha tha phool


abb murjhane ki baari aayi thi
fiza gayi abb khiza ki baari aayi thi
dheere dheere mayus ho raha tha wo phool
jaise apni hi mazaar pe ro raha tha wo phool


dua mangta tha hawa chale kuch zor se
toot kar alag ho jaye wo ikk dor se
ajeeb sa dard jhel raha tha wo phool
jane kyun apne ghum se khel raha tha wo phool


na hawa chali na koi toofan aaya
na hi dhoop thi uspar na hi koi saaya
apne hi aangan mein mara pada tha wo
maali ne usse uthaya jane kahan rakh aaya
hi wafa ji,
bohat hi accha likhte hain aap. aapka har kalaam dil par ek gehra asar chod jaata hai aapka kalaam padhne ke baad hum pata nahi kyon ek soch mein doob jaate hain. wafa ji dard ko is khubsurti se aap shabdon mein utaarti hai ke uski taareef ke liye to hamare paas alfaaz kam pad jaaye aisa lagta hai jaise saara kissa aankho ke saamne hi bayaan ho raha hai. is awara ke dil se nikli daad kabool kijiye. aap isi tarah likhte rahiy aur apna khayal rakhiye..................


Not Mine.


mai kabhi kuch nahi likhta bas
dusron ka likha post karta hoon
kyonki mai shayar nahi hoon
lekin mujhe shayri bohat pasand hai
  Send a message via Yahoo to ashiq awara,  
Reply With Quote
Re: Re: Wo Phool
Old
  (#3)
ek_wafa
Koshish
ek_wafa will become famous soon enoughek_wafa will become famous soon enough
 
ek_wafa's Avatar
 
Offline
Posts: 214
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 20
Re: Re: Wo Phool - 15th May 2006, 06:35 PM

Quote:
Originally posted by ashiq awara,
hi wafa ji,
bohat hi accha likhte hain aap. aapka har kalaam dil par ek gehra asar chod jaata hai aapka kalaam padhne ke baad hum pata nahi kyon ek soch mein doob jaate hain. wafa ji dard ko is khubsurti se aap shabdon mein utaarti hai ke uski taareef ke liye to hamare paas alfaaz kam pad jaaye aisa lagta hai jaise saara kissa aankho ke saamne hi bayaan ho raha hai. is awara ke dil se nikli daad kabool kijiye. aap isi tarah likhte rahiy aur apna khayal rakhiye..................

bahut bahut shukriya aapka.....aapne itne dil se iss nazm ko padha...isse saraha...bahut bahut shukriya.....

apna khayal rakhyiega


Aaina mujhse meri pehli si surat maange
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
ranju bhatia
Registered User
ranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the roughranju bhatia is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 544
Join Date: Mar 2006
Location: Delhi
Rep Power: 21
16th May 2006, 11:29 AM

abb murjhane ki baari aayi thi
fiza gayi abb khiza ki baari aayi thi
dheere dheere mayus ho raha tha wo phool
jaise apni hi mazaar pe ro raha tha wo phool


dua mangta tha hawa chale kuch zor se
toot kar alag ho jaye wo ikk dor se
ajeeb sa dard jhel raha tha wo phool
jane kyun apne ghum se khel raha tha wo phool

bahut khub likha hai Wafa aapne...........dard ko bahut ho khubsurat andaz mein pesh kiya hai...........yun hi likhti rahe

with love

ranju


ranjana
   
Reply With Quote
kabhee kabhee
Old
  (#5)
masoomshayer
Registered User
masoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud ofmasoomshayer has much to be proud of
 
masoomshayer's Avatar
 
Offline
Posts: 2,022
Join Date: Dec 2005
Location: delhi
Rep Power: 31
kabhee kabhee - 16th May 2006, 05:25 PM

kabehe kabhee jab insan kuch parh ke bhool jaye ki tech. ke hisab se kavita theek hai ya nahee paribhasha kya hai kavita aur bas mahsoos kare ke ankh nam hai to man lo kavita pooree utree hai har pareeksha main aisee hee hai tumahree kavita jo rula gayee bha gayee bahut wah
Anil


mere ashar ko mahoob samjh ke chhoomte the jo
kho gaye hain woh log ab un kee justzoo hai
  Send a message via Yahoo to masoomshayer  
Reply With Quote
Old
  (#6)
ek_wafa
Koshish
ek_wafa will become famous soon enoughek_wafa will become famous soon enough
 
ek_wafa's Avatar
 
Offline
Posts: 214
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 20
17th May 2006, 05:17 PM

Quote:
Originally posted by ranju bhatia
abb murjhane ki baari aayi thi
fiza gayi abb khiza ki baari aayi thi
dheere dheere mayus ho raha tha wo phool
jaise apni hi mazaar pe ro raha tha wo phool


dua mangta tha hawa chale kuch zor se
toot kar alag ho jaye wo ikk dor se
ajeeb sa dard jhel raha tha wo phool
jane kyun apne ghum se khel raha tha wo phool

bahut khub likha hai Wafa aapne...........dard ko bahut ho khubsurat andaz mein pesh kiya hai...........yun hi likhti rahe

with love

ranju

Ranju ji…

meri koshish aapko pasand aayi…mujhe acha laga…..yahan aane ke liye bahut shukriya

apna khayal rakhyiega


Aaina mujhse meri pehli si surat maange
   
Reply With Quote
Re: kabhee kabhee
Old
  (#7)
ek_wafa
Koshish
ek_wafa will become famous soon enoughek_wafa will become famous soon enough
 
ek_wafa's Avatar
 
Offline
Posts: 214
Join Date: Jul 2005
Rep Power: 20
Re: kabhee kabhee - 17th May 2006, 05:18 PM

Quote:
Originally posted by masoomshayer
kabehe kabhee jab insan kuch parh ke bhool jaye ki tech. ke hisab se kavita theek hai ya nahee paribhasha kya hai kavita aur bas mahsoos kare ke ankh nam hai to man lo kavita pooree utree hai har pareeksha main aisee hee hai tumahree kavita jo rula gayee bha gayee bahut wah
Anil

Anil ji..

aaj meri kavita ne aapki ankhein nam kar di….kavita safal hui….aapke remarks bahut mayne rakhte hain mere liye….aap jaise bade shayar ki ankhein kisi kavita par nam ho jayen…toh kavita ka safal hona swabhavik hai….

….aap sath dete rahyiega..meri himmat bani rahegi….shukriya

apna khayal rakhyiega


Aaina mujhse meri pehli si surat maange
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
phool bhi tum anand'mann' Shayri-e-Ishq 0 22nd April 2005 11:09 AM
phool rohan love Shayri-e-Dard 1 12th January 2003 11:57 PM
phool... ranjha Shayri-e-Ishq 2 7th January 2003 06:02 PM
phool Rohet Shayri-e-Dard 0 17th November 2002 11:11 AM
Phool rohan love Humourous Shayri 1 14th November 2002 12:26 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com