Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho ...
Old
  (#1)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Post mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho ... - 16th July 2008, 11:13 PM

hum hamesha zindgi ko apni tarah se jine ki koshish karte haiN aur zindgi hume uski tarah se jine ke liye mazboor karti hai shayad issi liye ki kisi din hume zindgi ko zindgi ki tarah jine ka saleeka aa jaye !

muaafi chahunga ...

mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

vo aalam bhi nazar aa jayega tumko bahut jaldi
kahenge log ab bekaar kyoN roodaad karti ho ...


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
17th July 2008, 12:54 PM

tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

bahut khub khisiti,

bahut waqt baad tumhe yaha firse dekha....................Dil se daad! yunhi yaha ki ronak badhate raho....


mausam


Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th July 2008, 01:13 PM

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

bahut khoobsurat likha hai aapne...ye sher hame bahut accha laga.....ek ajeeb sa dard aur shikwa dono is ghazal me.......



zainy
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
17th July 2008, 02:17 PM

wah kya baat hai bahut umda likha hai aapne dil khush ho gaya aapke kalaam se ese hi likhte rahiye.Meri daad aapke kalaam ke liye kubool kijiye


"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"


Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.




  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
hi
Old
  (#5)
yasmeenraaz
Registered User
yasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant futureyasmeenraaz has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,028
Join Date: Jun 2006
Rep Power: 34
hi - 17th July 2008, 03:09 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
hum hamesha zindgi ko apni tarah se jine ki koshish karte haiN aur zindgi hume uski tarah se jine ke liye mazboor karti hai shayad issi liye ki kisi din hume zindgi ko zindgi ki tarah jine ka saleeka aa jaye !

muaafi chahunga ...

mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

vo aalam bhi nazar aa jayega tumko bahut jaldi
kahenge log ab bekaar kyoN roodaad karti ho ...
hi
tumhara ae kalam dil ko choogiya


bhala kaun hai jo tum per aesa zulm dhayae
mujhae batao to uska naam
kaan pakardh kae kheench laaoongi tumharae pass

razia
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
17th July 2008, 03:29 PM

Adab !!!

Mohterem kshitiz ji kese haiN app ???

Dear appne itna acha likha keh ab ager maiN koi shabd tareef meiN likho to woh pheeka pad jaaey ga ... appki yeh Ghazal meri tareef ya meri daad se bahut bahut bahut bala ter hai ...

bus itna keh sakta hon ...app bahut acha likhte haiN , likhte rahiye

Teh dil se appka shuker guzar hon keh app ne apne kalam se mehfil ko ronak bakhshi ...


Khush rahiye ...

Duago
Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#7)
collection
My Collection Only
collection will become famous soon enoughcollection will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 79
Join Date: Apr 2008
Rep Power: 18
17th July 2008, 08:49 PM

   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Love Neha
Registered User
Love Neha will become famous soon enough
 
Love Neha's Avatar
 
Offline
Posts: 366
Join Date: Jan 2008
Location: ~*~PAKISTAN...
Rep Power: 17
17th July 2008, 11:16 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
hum hamesha zindgi ko apni tarah se jine ki koshish karte haiN aur zindgi hume uski tarah se jine ke liye mazboor karti hai shayad issi liye ki kisi din hume zindgi ko zindgi ki tarah jine ka saleeka aa jaye !

muaafi chahunga ...

mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

vo aalam bhi nazar aa jayega tumko bahut jaldi
kahenge log ab bekaar kyoN roodaad karti ho ...
pehla sher hi buhat khubsorat hai...nice


$...!
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
18th July 2008, 08:00 PM

bahut dili rahi apki ghazal,likhte rahen


ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#10)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
18th July 2008, 09:38 PM

Read you after a long time Kshitiz. In fact, replying some post after a long time. I must say, this ghazal has done its job. You've have brought out all your feelings and if she reads it, she'll definitely be shocked for a moment. M sure, something has made you write this. Nice nice nice Hope to see you soon
Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
hum hamesha zindgi ko apni tarah se jine ki koshish karte haiN aur zindgi hume uski tarah se jine ke liye mazboor karti hai shayad issi liye ki kisi din hume zindgi ko zindgi ki tarah jine ka saleeka aa jaye !

muaafi chahunga ...

mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

vo aalam bhi nazar aa jayega tumko bahut jaldi
kahenge log ab bekaar kyoN roodaad karti ho ...


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
21st July 2008, 12:11 AM

mausam..!

insha allah ! aap log jahaN mauzood rahenge hume to aana hi padega !

aapko bhi dekh ke hume aisi hi khushi hasil hui hai !

hausla afzayi ke liye shukriya !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
21st July 2008, 12:13 AM

zainy jee !

ittefaQ hai ! humne khud bhi issi ashaar ko sabse jiyada pasand kiya !

hausla afzayi ke liye shukarguzaar huN !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
21st July 2008, 12:17 AM

kasif saheb !

aapki daad sar aakhoN pe !

aapne ghazal ko apne keemti waQt se nawaza meharbani aapki !

apna khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
21st July 2008, 12:19 AM

razia jee !

behad khushi hui aapke juzbaat jaan ke !
kabhi aisi naubat aayi to beshaQ aapko yaad karenge !

tareef ke liye shukarguzar rahunga !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
21st July 2008, 12:26 AM

mujeeb saheb !

aap dostoN ki duaeiN aur malik kaa karam hai humari zindgi par !

aap apne bataiye kaise mijaaz haiN ?

janaab aapka tareef karne ka andaaz bhi bahut khoobsorat hai !

aage bhi hausla afzzayi ka muntzir rahunga !

apna khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
21st July 2008, 12:27 AM

neha jee !

tareef ke liye bahut bahut shukriya!


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
21st July 2008, 12:29 AM

baagi saheb !

behad khushi hui jaan ke ki aapne ghazal ko pasand kiya !

insha allah aage bhi aisi khoshisheiN jaari rahenge !

apna khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
22nd July 2008, 12:25 AM

kshitiz saaHeb:


aadaab arz hai!

aik naGhz Ghazal ko paRh ke dil ko mere haMeShaa aik alag saa sukuuN miltaa haii.. aapne Ghazal ke aSh'aar ke saath pooraa iNsaaf kiyaa hai... kuch aSh'aar to apne se lage..! YuuNhi bazm ki raunaq afzA'ii karte raheN.. aur paRhne kaa mauqaa YuuNhi dete raheN,,.! dil se daad hi daad!


KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...

Last edited by Dhaval; 22nd July 2008 at 12:30 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
22nd July 2008, 09:40 AM

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

bahut khoob shitiz ji....sabhi sher tareef ke kabil haiN par yeh sher hume behad acche lage...yoon hi mahfil ji pahchaaN bane rahiye.


duao.n ke saath


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
31st August 2008, 01:00 PM

Kshitiz bhaii,

aadaab arz hai!

yuu.n to ham aap ke puraane chaahne waalo.n me.n se ek hai.n.. ummeed hai hame aap ab talak bhule nahii.n ho.nge..aaj aap ki is Ghazal par nazar paDii... Ghazal hamesha ki tarah aap ne behad achchhi Ghazal kahii hai... paDh kar khushii huii.. yuu.n to sabhi sher achche hai.n, par yeh sher hame sab se achchha laga...

Quote:
ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho
yuu.n hi ilikhate rahe.n.daad qubuul keejiyegaa, apni maujuudgii se bazm me.n raunaq banaaye rakhiye.

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#21)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
31st August 2008, 01:00 PM

shukriya pallavi !

tum kaisi ho ? ummeed karta huN ki sab kuch bahut achha chal raha hoga !

pata nahi kaise maN khud hi nahi jaan paya ki tumne kab ye ghazal padhi ..

khair tareef ke liye bahut bahut shukriya !

yuN hi aati raho !

apna khyaal rakho !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
31st August 2008, 01:04 PM

dhaval bhai !

bahut sharminda huN jo apni liye kii gayi tareef ka shukriya bhi adaa naa kar paya !

darasal meri khud iss ghazal pe dubara nigaah nahi gayi !

hauslaa afzaayi ke liye aihsaan mand huN !
aur ..
tareef ke liye shukarguzaar !

apna khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
31st August 2008, 01:09 PM

sunita jee !

iss badnasibi ( jo apni hi ki gayi tareef ka shukriya naa adaa kar saka ) ke liye aapse bhi muaafi kaa talabgaar huN !

tareef tah e dil se Qabool ki gayi !

shukriya !

apna khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
31st August 2008, 01:16 PM

mayank bhai !

kaise haiN aap ? ummeed karta huN ki malik ka karam hoga !

bhai bhoola to unhe jata hai jo yaad nahi aate ! aap jaise dost to dil meiN basar karte haiN !

ittefaaQan hume bhi ye hi ashaar iss ghazal meiN sabse jiyada pasand aaya iss baat kaa ilm to ghazal likhte waQt hi ho gaya thaa !

bhai aapki tareef sar aakhoN pe ..

yuN hi apne pyaar se nawaazte rahiye !

aur

apna khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
amrit_sharad
Just a normal guy
amrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really nice
 
amrit_sharad's Avatar
 
Offline
Posts: 480
Join Date: Apr 2003
Location: HindusTaaN...
Rep Power: 26
2nd September 2008, 03:57 AM

KshitiZ SahiB.......

BahuT SamaY baaD AaP Ka QalaaM PaD Raha hooN BahuT Hi AccHa Likha! Hai Maza Aaya! Par Bhai ! Aakhir Kuch Lines Change Kar Raha hooN!!
MaaZa NahiN AaYa!!!

Is LiyE

ShayaD! AaP ko AccHa Na LagE!!!

MaaFii ChahuuGa! PehLe See Hii!! Bolne Waloo Ke Muh To NahiN Rok SakTa IsliYe!


Vo Aalam Bhi NazaR Aa JayegA Tumko BahuT JalDi |
LoG KaheeGe! KyoN KshitiZ Ki ZindaGi BarBaaD KarTi Ho ||


ChalTa Hoon.....

AaP Ka DosT
--------------
Amrit

Last edited by amrit_sharad; 2nd September 2008 at 04:03 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
2nd September 2008, 10:21 AM

namaste Kshitij saHeb!!
aapkee ghazal achchhee hai!! kuchh sher bahut pasand aaye!! do aik baateN likh rahaa huN um'meed hai keh aap tawaj'jo denge!!

mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

:aamtaur pe yuN, sanam ;; yeh kuchh alfaaz faqat beh'r nibhaane ke liye istemaal kiye jaate hai. matlab keh bhartee keh. koshish yeh rahe keh in se bachaa jaaye. aur kaheeN kaheeN inkaa istemaal laazmee bhee ho jaataa hai. dono tarah ke sher aapkee ghazal meN hai...

aapke matle kee aik soorat pesh kar rahaa huN.

muhab'bat meN hameN tum kisliye barbaad kartee hoN,
nah ham se baat kartee hoN,nah ham ko yaad kartee hoN!

shaayad farq nazar aaye!

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

iskee bhee aik soorat yeh ho saktee hai

khudaa jaane yeh kaise shouk kaisee aadateiN taubaa,
kutar ke par parindoN ke, unhe azaad karti hoN!


khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

waise to sher Theek hai!! magar meree soch hai keh riwaayatee ghazal meN mehboob par ilzaam lagaane ke liye yeh zabaan o bayaan Theek naheeN. aagey aap behtar jaante hai!!

================================================== ====
aik baar phir se achchhee ghazal pe meree daad qabool kijiye!!

dheer
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#27)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
2nd September 2008, 06:13 PM

Janaab dheeraj sahib !

Khaakhsaar pe aapki nazar padi ,zarra khud ba khud aaftaab ho gaya

Huzoor aapki zubaan se jo bhi aarasta hua hai yakinan sau feesadi sahi hai !

Agar aapki ijaazat ho aur gustakhi muaaf ho ....

Arz karma chaahta huN

mujhe iss baat kaa bakhoobi aihsaas hai ki ghazal meiN haaN ,huN, hi ,wagairah wagairah ka istemaal bahut achha nahi mana jata PAR JANAAB GHAZAL PADHI BHI JATI HAI AUR TARANNUM BHI KI JATI HAI

kabhi kabhi hume lahze ka aihtaraam karne ke liye kisi mukammal lafz ke bajaay aise hurf istemaal meiN lane padte haiN !

taQniki taur pe hume iss tarah ki shirkat par koi pabandi bhi nahi hai !

haaN ye baat aur hai ki ghazal kaa anjaam hamesha padhne waloN ke haath meiN hota hai ! aur kisi bhi shay meiN ferbadal ki baharsorat gunjaaish hoti hai !

ek baat aur kahna chahunga !

ek shayar hamesha vo hi likhta hai jo apne iird gird dekhta hai ya mahsoos kartaa hai ! main yahaN hadees nahi bayaN kar raha huN sirf ghazal kar raha huN !
baki ..
aapka mashwara sar aakhoN par

daad tah e dil se Qabool ki gayi !
apna khyaal rakhiye !


andaaz

Last edited by kshitiz; 2nd September 2008 at 06:43 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
2nd September 2008, 06:35 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
hum hamesha zindgi ko apni tarah se jine ki koshish karte haiN aur zindgi hume uski tarah se jine ke liye mazboor karti hai shayad issi liye ki kisi din hume zindgi ko zindgi ki tarah jine ka saleeka aa jaye !

muaafi chahunga ...

mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

vo aalam bhi nazar aa jayega tumko bahut jaldi
kahenge log ab bekaar kyoN roodaad karti ho ...

Kshitiz ...Ji aap ke kamal ke baremain kya kahein la jawab hai....
aur yeh kya aap itne sikayat kisse kar rahe hain.........?

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho



bahot hi achha hai per mohabbat pe sawal nehin karte ........
2lins meri taraf se .........

Dur kshitiz pe jab chaand nazar aaya
aise laga meri meheboob mujhse milne aaya ........



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
2nd September 2008, 09:21 PM

sharad bhai !

maiN aapke juzbaatoN ki Qadar karta huN !

aage aapki hasratoN ka khyaal rakha jayega !

abhi ijaazat dijiye !
chalta huN !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
2nd September 2008, 09:25 PM

diya jee !

ye to ek shayar ke khayaalat haiN ! waise mujhe apni zindgi meiN kabhi kisi se koi shikayat nahi rahi !

Dur kshitiz pe jab chaand nazar aaya
aise laga meri meheboob mujhse milne aaya ........

bahut khoob .. daad humari taraf se bhi Qabool ki jaye !

baki

tareef ke liye behad shukarguzaar huN
apna khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
2nd September 2008, 09:46 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
diya jee !

ye to ek shayar ke khayaalat haiN ! waise mujhe apni zindgi meiN kabhi kisi se koi shikayat nahi rahi !

Dur kshitiz pe jab chaand nazar aaya
aise laga meri meheboob mujhse milne aaya ........

bahut khoob .. daad humari taraf se bhi Qabool ki jaye !

baki

tareef ke liye behad shukarguzaar huN
apna khyaal rakhiye !
Sukriya aap ke naam dekh ke younhi ek line likhne ko maan ki....aap ko pasand aayi ..hume khusi mil gayi .......aise gazal to aap likhte hi achhe ho ...aap humesha yeh dard thread pe rahete ho...kabhi mahfil ishq pe bhi aaya kijiye .......hum to wahan humesha rahete hain...........Chhote chhote nagme likhne ki souk hai hume ..sayad aapko pasand aaye ..

Diya



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
3rd September 2008, 02:34 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
Janaab dheeraj sahib !

Khaakhsaar pe aapki nazar padi ,zarra khud ba khud aaftaab ho gaya

Huzoor aapki zubaan se jo bhi aarasta hua hai yakinan sau feesadi sahi hai !

Agar aapki ijaazat ho aur gustakhi muaaf ho ....

Arz karma chaahta huN

mujhe iss baat kaa bakhoobi aihsaas hai ki ghazal meiN haaN ,huN, hi ,wagairah wagairah ka istemaal bahut achha nahi mana jata PAR JANAAB GHAZAL PADHI BHI JATI HAI AUR TARANNUM BHI KI JATI HAI

kabhi kabhi hume lahze ka aihtaraam karne ke liye kisi mukammal lafz ke bajaay aise hurf istemaal meiN lane padte haiN !

taQniki taur pe hume iss tarah ki shirkat par koi pabandi bhi nahi hai !

haaN ye baat aur hai ki ghazal kaa anjaam hamesha padhne waloN ke haath meiN hota hai ! aur kisi bhi shay meiN ferbadal ki baharsorat gunjaaish hoti hai !

ek baat aur kahna chahunga !

ek shayar hamesha vo hi likhta hai jo apne iird gird dekhta hai ya mahsoos kartaa hai ! main yahaN hadees nahi bayaN kar raha huN sirf ghazal kar raha huN !
baki ..
aapka mashwara sar aakhoN par

daad tah e dil se Qabool ki gayi !
apna khyaal rakhiye !
namaste Kshitij saHeb!
iz'zatafzaayee ke liye shukriyaa. aapkee ghazal pasand aayee aur agar phir us pe daad nah dee jaaye to yeh Theek naheeN. so chalaa aayaa. aur naachiz ke likhne nah likhne se koii farq naheeN paRtaa. maiN to aik taalib e ilm huN. maiN kyaa meree hastee kyaa.

aapne meree baat ko tawaj'jo dee uske liye shukriyaa! aapkaa kahnaa sahe hai keh taran'num aur beh'r ko nibhaane ke liye kuchh joR toR karnee paRtee hai. is se mujhe bhee inkar naheeN. kahnaa sirf itnaa thaa keh agar sher kee koee doosaree soorat soojh jaaye to us par ghaur karne meN harj hee kyaaa hai.
aur sab se baRee baat hai keh agar ghazalkaar apnee ghazal se mutmayin hai to phir kuchh kahne ko rah hee naheeN jaataa. ... khudaa kareN zor e kalaam aur ziyaadah.

khaaknasheeN
dheer
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#33)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
4th September 2008, 08:22 AM


mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho

Kyaa baaat hai.... bahut khoob...


tumhi ko shauk tha behad humi se dil lagaane kaa
aur ab milna naa ho baabat issi fariyaad karti ho

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

Kya baat hai...!!


tumhari yaad meiN aksar ye aakheiN bheeg jati haiN
wafa ke silsile kyoN iss Qadar bedaad karti ho

vo aalam bhi nazar aa jayega tumko bahut jaldi
kahenge log ab bekaar kyoN roodaad karti ho ..

Waah waah wahh..

Kshitiz bhai,

Fie ek baar aisa laga jaise saamne baithkar sunaa rahe ho tum... bahut hi khoobsurat bayaani hai... aur kal tumhaari awaaz me ise sunkar, ispe charcha karke ise padhna aur bhi achcha laga... Dil se dheron daad kubool karna... Apna khayal rakhna... aur mehfilen raushan kar rakhna

Kshitiz bhai... ek baat aur kahoonga... Jis tarah se aapne aur Dheer bhai ne is ghazal par charcha ki mujhe behad aanad aaya... Kaafi samay ke baad laga ke shayri ka level ooncha uthha raha hai... Aap dono ko shukriya kehna chaahoonga aur ummeed karoonga ke aisi friendly takraar hoti rahen taaki hum bhi kucch seekh paayen...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai

Last edited by Pulkit_gupta; 4th September 2008 at 08:29 AM..
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#34)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
4th September 2008, 03:54 PM

dheer sahib !

Talib e iilm nahi ... aap tp sahib e iilm haiN !

maine pehle bhi kaha thaa aur ab bhi kahta huN ki aapke mashware sar aakhoN pe haiN !

maine shuruaati daur meiN aise kayi Qalaam likhe jinka taQneekiyoN se door door tak kaa koi vaasta naa tha .. !
aaj maiN jaanta huN ki vo Qalaam taQniki taur pe ghazal kahlaane ka haQ nahi rakhte haiN !
baavzood iske aaj tak maine unn meiN koi radd o badal nahi ki ..! wazah saaf hai
jab pehli baar maine unhe likha tha to vo meri dil ki awaaz thi aur ab maiN jo bhi radd o badal karunga vo mere dimaag se hogi ! khair ...

dubara ki gayi izzat o afzaayi kaa tah e dil se shukarguzaar huN !

aage bhi aapki nazar e inaayat ka talabgaar rahunga !

ijaazat di jiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
7th September 2008, 02:26 AM

pullu bhai !

vo kahte haiN naa ki jo insaan pasand ho uskii har adaa pasand hoti hai !

hum to faQat aapke dost hone kaa najaayaz faayda uttha rahe haiN !

bas upar wale se yehi dua karte haiN ki ye mohabbat yooN hi barQaraar rahe aur ye rafaQatoN ke daur yooN hi chalte raheiN !

ghazal pasand aayi iski behad khushi hai aur aage bhi aisi koshishoN ko anjaam dene ki koshishoN meiN rahunga !

daad tah e dil se Qabool ki gayi !

aap apna khyaal rakho !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#36)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
22nd September 2008, 06:48 AM

Bilkul durust farmaaya Nawaab Kshitiz, insaan ko zindagi jeene ka saleeqaa na aayaa aur zindagi hai ki insaan ko ghutne tekne ke liye majboor kar hi deti hai…aapka zindagi se shiqaayat ka yeh andaaz khuub man bhaaya…arse baad shayri ki iss mehfil mein lautne kii iss wajah ko main salaam karti hoon…aur aapki iss nayaab peshkash pe kuchh kehne ki gustakhi kar rahi hoon…

Khalvat mein aa ke mil, kabhi yaaron ki mehfil mein
Humse katraa ke jaati ho, hamein nashaad karti ho

Tujhse milne ke hum mushtaaq rahe hain barson se
Tum ho ki na milne kii, roz wajah ijaad karti ho


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 22nd September 2008 at 06:51 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#37)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
23rd September 2008, 02:25 AM

kshitiz bhai Salaam..

Hazrat aap ki yeh ghazal do teen baar paRhi aur kaafi pasand aayee. Mubarak baad qubool kijiye. Darj-e-zel sher kuch zyada pasand aaye mujhe.

ye kaisa shauk hai tumko tumhari kaisi fitrat hai
kutar ke par parindoN ke unhe azaad karti ho


woh kehte hain na..

cheen ke binaayee zia bakshi hai.
kuch nahi aapke ehsaan ko dohrata huun.

aur yeh bhi..

khuda jane ki humse chup ke milne kis se jati ho
kis se phone pe bateiN humare baad karti ho

..likhte rahein..mehfil sajaate rahein janaab. Filhaal izaazat.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#38)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
2nd October 2008, 05:47 PM

paras !

Khalvat mein aa ke mil, kabhi yaaron ki mehfil mein
Humse katraa ke jaati ho, hamein nashaad karti ho

Tujhse milne ke hum mushtaaq rahe hain barson se
Tum ho ki na milne kii, roz wajah ijaad karti ho

buzm aapke intezaar meiN hai ki aap kab tashreef layengi !

tareef kaa bahut bahut shukriyaa !

aur ashaaroN ke liye daad Qabool karo

apnaa khyaal rakho !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#39)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
2nd October 2008, 05:51 PM

talib bhai !

cheen ke binaayee zia bakshi hai.
kuch nahi aapke ehsaan ko dohrata huun.

bahut khoob !

bas itnaa kahnaa chaahungaa ki aapki hauslaa afzaayi hamesha hi kalam ki rawaani banaaye rakhti hai !

taareed ke liye shukriyaa bhai

yuN hi aate jaate rahiye !

apnaa khyaal rakhiye !


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#40)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
2nd October 2008, 06:09 PM

kitna sahi likha hai...
mohabbat meiN hume tum kyoN yuN hi barbaad karti ho
naa humse baat karti ho naa humko yaad karti ho

unki ye nainsafi hai...unko ek akma karna hi chahiye yaa bat kare ya yaad kare
acha laga padke khyaal

sakhi


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
'Eissa Kyon Karti Ho...?' Amanush... Shayri-e-Dard 16 18th April 2010 11:54 PM
phir ajj kyon woh hume sambhalta nahi samyasar1 Shayri-e-Dard 2 5th August 2008 05:20 AM
Aye barbaad mohabbat sun! Afshan Shayri-e-Dard 15 15th September 2004 11:23 AM
barbaad mohabbat ahsan Shayri-e-Dard 1 1st March 2004 10:30 PM
barbaad mohabbat farhana Humourous Shayri 0 1st January 2003 04:00 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com