Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge...
Old
  (#1)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Arrow Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge... - 1st December 2005, 09:53 PM

Adaab dosto...

Band apni muthi ko khol kyun nahin dete...hum in armaanon ke suukhe patton ko hawa mein urdhaa kyun nahin dete...na jaane kya khazaana soch kar muthi mein daba rakha hai...muskuraaney se kyun darr lagta hai...zindagi jeene se kyun hichkichaahat hai...bus in sawaalon ke chalte kuch likh daala hai...gaur farmaayiegaa...


Ab wo bechaini wo pech-o-taab kahaan honge
Ab wo ishq wo junoon ke aalam kahaan honge

Bin bulaaye hi na chale aayein wo iss taraf
Hasrat-o-yaas ke phir dil ko na gumaan honge

Ab ke chot lagi tau giriyaan huye hum iss kadar
Yaqinan sangrezon mein mere rag-e-jaan honge

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

Larazte, sambhalte, dhulak gaye jo do aansoo
Kehne lage ab aur kya maut ke samaan honge

Manzoor thaa kabhi marna teri nazzron se jaana
Ab tau yeh nashtar mere zabt ka imtehaan honge

Tez hawaon mein naksh-e-pa mit hi jaate hain
Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge

pech-o-taab = predicament
Hasrat-o-yaas = desire and despair
Giriyaan = weep
Sangrezon = people who throw stones
Samaan = articles
Zabt = fore-bearance
naksh-e-pa = footprints
Ayaan = evident (saamne aayeinge)


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
1st December 2005, 10:00 PM

dd kalaam to aapko har baar ki tarah purzor hai.par main samajh nahi paya ki ye kalaam aapne kyun likha hai aakhir aapke dimag me aisa kya aaya jo aap ye kalaam likh baithi.bas aap yunhi likhte rahiye.

aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#3)
mehul jain
haatho se haath milte rah
mehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the rough
 
mehul jain's Avatar
 
Offline
Posts: 1,429
Join Date: Feb 2005
Location: mumbai
Rep Power: 23
1st December 2005, 10:17 PM

khayalt toh bahut aache hai................................likhte rahiyega


meri har chahat se pehle ek chahat hogi
wo chahat hamesha tum hogi
ab to chahna hi reh gaya hai zindagi main
na jane yeh chahat kab puri hogi
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
1st December 2005, 10:20 PM

Parastaar G Adaab,

Bohot khoobsurat kalaam pesh kiya aapne... Filhaal jaldi mein hoon, gar mauka mila aur yaad raha to kuch tafseelaat ki ummeed hai. Filhaal mubaarakbaad aur daad haazir hain qubool kijiye.

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

Yeh sher zyaada pasand aaya. shukriya iss kalaam ko pesh karene ke liye.


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#5)
farhana
Registered User
farhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud offarhana has much to be proud of
 
farhana's Avatar
 
Offline
Posts: 3,383
Join Date: Dec 2002
Location: *~**Khwaabon ke sheher se*~**
Rep Power: 35
1st December 2005, 10:29 PM

waaahhhh paras di....
kya baat hai...jitni kareef karoon utni kam hai.....
bahaut hi behtreen likkha hai aapne har baar ki tarah....yuhin likhte rahiyega....
take care


"Roz Kii Taraah Aaj Bhii Taare
Subha Kii Gard MeiN Naa Kho JaayeiN
Aa ! Tere Gham MeiN Jaagtii AankheiN
Kam Se Kam Aik Raat So JaayeiN."


**~*FaRhAnA*~**
  Send a message via Yahoo to farhana  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Parul
Registered User
Parul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the roughParul is a jewel in the rough
 
Parul's Avatar
 
Offline
Posts: 3,305
Join Date: Jun 2004
Location: Florida,USA
Rep Power: 26
2nd December 2005, 08:02 AM

dear paras ji...

Beautiful creation............ it's an outstanding one as always.......... daad kubul karna.. keep writting and take care!

your fan
parul.
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
2nd December 2005, 09:18 AM

meri paras,

jaanti hu ... mera aa kar choop chaap nikal jana tumhe nahi bhata..


Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

bahut pasand aayi tumhari rachna..........

tumhari meena
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
gam-e-lashkar
Registered User
gam-e-lashkar will become famous soon enoughgam-e-lashkar will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 221
Join Date: Nov 2005
Rep Power: 20
2nd December 2005, 12:41 PM

HAI........JAAN......

I M WAITING FOR MY PERSONAL REPLY.........!!


Band apni muthi ko khol kyun nahin dete...hum in armaanon ke suukhe patton ko hawa mein urdhaa kyun nahin dete...na jaane kya khazaana soch kar muthi mein daba rakha hai...muskuraaney se kyun darr lagta hai...zindagi jeene se kyun hichkichaahat hai...bus in sawaalon ke chalte kuch likh daala hai...gaur farmaayiegaa...

- SUPERB...... Yahi uper ki lines me hi sab kuchh nichor kar dala hai...sare masaalo ka swaad inhi me hi aa gaya....again superrrrrrb ha..ha...ha....


Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

Jaanu....... YE DARD MUJHE DE DO....LEKIN U DARD BHAR BHAR KAR JO APNE KALAAM PER UDEL RAHI HO....ANKHE BHIGI JAATI HAI...BHAGWAAN TUME MERI JHOLI KI B KHUSHIYA.N DE DE..AUR JALD HI SAKOON PAO.......AAMEEN..


Larazte, sambhalte, dhulak gaye jo do aansoo
Kehne lage ab aur kya maut ke samaan honge

EK HAUR DARD JO TEES DIYE JAATA HAI...

Manzoor thaa kabhi marna teri nazzron se jaana
Ab tau yeh nashtar mere zabt ka imtehaan honge

REALLY.....TOO MUCH PAIN

Tez hawaon mein naksh-e-pa mit hi jaate hain
Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge

IS SHER PE EK LINE YAAD AAYI...SHARE KARNA CHAHUNGI...AGAR IZAZET HO TO.....?

Ye ek gaane ki lines hai...

Teri galiyo.n me na rakhenge kadam....aaj k baad..
tujhse milne ko na ab aayenge sanam....aaj k baad..
mera milna samajh lena ek sapna tha...
jo tujhko mil gaya bas vo hi tera apna tha..
teri galiyo.n me na......aaj k baad
tujhse milno ko na aayenge sanam...aj k bad..

ok bye...jaanu ..apna dhyaan rakhna..jyada pain mat lo...jaldi boodhi ho jaogi....


gam-e-lashkar
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd December 2005, 06:00 PM

dd kalaam to aapko har baar ki tarah purzor hai.par main samajh nahi paya ki ye kalaam aapne kyun likha hai aakhir aapke dimag me aisa kya aaya jo aap ye kalaam likh baithi.bas aap yunhi likhte rahiye

Lucky tum kya poochna chahte ho...maine kalaam ke shuroo mein hi bataya ki kya kya khayaal thhe dimaag mein...agar phir bhi koyi sawaal ho tau plz pooch lo...i will honestly try to answer it...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd December 2005, 06:02 PM

shukriya aapka mehul jain ji...shayad pehli baar aapko apni post pe mili hoon...ummiid hai aage bhi mulaqaatein hongi...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd December 2005, 06:15 PM

Talib Sir...

Achha hai aap jaldi mein hain...dissection of my ghazal from limb to limb...is postponed...lol...just kidding...lehaaza aap ghazal ke mutaalliq sawaal kabhi bhi pooch sakte hain...ghazal pasand karne ke liye shukriya...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
2nd December 2005, 06:17 PM

My dear Farhaana...

main tumhari shukraguzaar hoon ki tum waqt nikaal kar mujhe padhti ho...mujhe bhi apne kalaam pe tumhara avataar dekh kar achha lagta hai...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
mehul jain
haatho se haath milte rah
mehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the roughmehul jain is a jewel in the rough
 
mehul jain's Avatar
 
Offline
Posts: 1,429
Join Date: Feb 2005
Location: mumbai
Rep Power: 23
2nd December 2005, 06:25 PM

zaroor mulaqat hogi dd


meri har chahat se pehle ek chahat hogi
wo chahat hamesha tum hogi
ab to chahna hi reh gaya hai zindagi main
na jane yeh chahat kab puri hogi
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
2nd December 2005, 06:56 PM

Pae Lagu Guru Ji,

Band apni muthi ko khol kyun nahin dete...hum in armaanon ke suukhe patton ko hawa mein urdhaa kyun nahin dete...na jaane kya khazaana soch kar muthi mein daba rakha hai...muskuraaney se kyun darr lagta hai.

Arey, Prologue hi itna pyaara tha ke kalaam ki khaasiyat isi se bayaan ho gayi. Humaari khush naseebi jo itne do behtereen kalaam aapse ek hi din mein parhne ko mil gaye. Bohot bohot khoob Guru Ji. Intezaar rahega.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
...
Old
  (#15)
kuhulika
Registered User
kuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant futurekuhulika has a brilliant future
 
kuhulika's Avatar
 
Offline
Posts: 2,269
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 37
... - 2nd December 2005, 09:37 PM

very nice Paras ji


SHWETA


jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#16)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
hi - 2nd December 2005, 10:39 PM

dear paras di

whole of the shayri was full of emotions, though I like it all...my fav is:

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge


aaaaaaaaa^hhhhhhh

Priya


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
musharrafhusain
Registered User
musharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the roughmusharrafhusain is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 1,310
Join Date: Mar 2003
Location: Karachi, Pakistan
Rep Power: 25
3rd December 2005, 11:24 AM

paras meri behan

tumhari is ghazel ko parh ker mujhe khayal aayaa ke meri behan to aaj kal tabar toar hamle ker rahi hai.
yaani ghazel per ghazel aur ashaar per ashaar.
aur yahan mein yeh bhi naheen keh paa raha hoon ke paras kem likho. kyunke itna achcha likhna to likha hi jaanaa chahiye,
aur jab meri behan likhe to phir kyaa baat hai.
shabaash paras ; bohat hi khoob likha hai, aur naqsh-e-kafe-paa ki to kyaa baat hai.
mujhe bohat pasand aayee yeh ghazel.
bas is mein mujhe tum se jo ikhtilaaf hai voh yeh hai ke paras is one and only. koee paras is se pehle naa aayee hai aur naa aayegi. aayeinge to bohat mager meri behna, meri paras bas ek hi hai voh sab per ayaan hai. us jaisi ho sakte hain mager voh naheen. samjeen.
bas dua hai ke isi tarah likhti raho, aur aage barhti raho.

mager is likhne likhaane mein apna khayal rakhna naa bhoolna.

God bless you.

musharrafhusain

Last edited by musharrafhusain; 3rd December 2005 at 11:27 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
3rd December 2005, 05:55 PM

wah didi.. bahoot khoob likha hai aapne.. aur mai mushi sir ki baat se sehmat hoon.. koi aapaki tarah ho sakata hai lekin aap nahi ban sakata...

likhate rahiye didi taaki hume padhane ka mauka milta rahe.. aur apana achhe se khayaal rakhiyega


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Re: Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge...
Old
  (#19)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
Re: Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge... - 4th December 2005, 05:28 AM

Hi Paras di,

Aaya hoon mein bahut din baad...
kuch masroof tha aaj hua hoon kuch free...

So i am glad i had time to read and did not miss this...
wonderfully written....

Take Care
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
5th December 2005, 02:38 AM

Sweet parul...

kaisee ho...deri ke liye muaafi chahti hoon...tumko pasand aata hai mera likha tau samjho mera likhana bhi safal ho gaya...

apna khayal rakhna


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
5th December 2005, 02:42 AM

Meena ji...

is sher mein itni kashish hogi malum nahin thaa...sabko yehi pasand aaya hairaani huyi.....jee aapne sahi kaha mujhe bahut taqleef hoti hai jab aap maun se jawaab deti hain...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
5th December 2005, 02:48 AM

Mere azeez Gam-e-lashkar ji...

aapke jawaab se tau dil baag baag ho gaya...itni shiddat se aap iss kalaam ki or tavajjo deinge malum na thaa...aur please aap itne pareshaan na hon...yeh bus lehjaa hai meri shayri kaa aur kuch nahin...kuch tasavvur, kuch dekhi suni baatein, zara see aap beeti...isliye aap befiqr rahein...itni udaas nahin hoon main...lol...jab dard ne nishaan nahin chodhaa tau umr kya khaak asar karegi?... ...aap apna khayaal rakhieyga


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan

Last edited by Parastaar; 5th December 2005 at 02:51 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
5th December 2005, 02:53 AM

My favorite candyboy...

kaise ho...prologue achha laga na? don't know bus apne aap hi likha gaya...milte rehna...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: ...
Old
  (#24)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: ... - 5th December 2005, 02:54 AM

shukriya kuhulika...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
5th December 2005, 02:56 AM

hello priya...

tumhein yeh sher pasand hai...mujhe malum kaunsa hai?

Larazte, sambhalte, dhulak gaye jo do aansoo
Kehne lage ab aur kya maut ke samaan honge


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#26)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
6th December 2005, 08:36 PM

Quote:
Originally posted by musharrafhusain
paras meri behan

tumhari is ghazel ko parh ker mujhe khayal aayaa ke meri behan to aaj kal tabar toar hamle ker rahi hai.
yaani ghazel per ghazel aur ashaar per ashaar.
aur yahan mein yeh bhi naheen keh paa raha hoon ke paras kem likho. kyunke itna achcha likhna to likha hi jaanaa chahiye,
aur jab meri behan likhe to phir kyaa baat hai.
shabaash paras ; bohat hi khoob likha hai, aur naqsh-e-kafe-paa ki to kyaa baat hai.
mujhe bohat pasand aayee yeh ghazel.
bas is mein mujhe tum se jo ikhtilaaf hai voh yeh hai ke paras is one and only. koee paras is se pehle naa aayee hai aur naa aayegi. aayeinge to bohat mager meri behna, meri paras bas ek hi hai voh sab per ayaan hai. us jaisi ho sakte hain mager voh naheen. samjeen.
bas dua hai ke isi tarah likhti raho, aur aage barhti raho.

mager is likhne likhaane mein apna khayal rakhna naa bhoolna.

God bless you.

musharrafhusain
Lol...

Bhayyia tabar-toar? meri dictionary mein yeh lafz nahin thaa...lol...apni behan ke liye sabhi ke aise khayaalaat hote hain...lekin aapne yahan keh kar phir meri aankhein nam kee hain...ummiid hai apke yeh ehsaas yoonhi iss behan ke liye bane raheinge...bahut qeemti bahut, ahem hain mere liye...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
6th December 2005, 08:39 PM

wah didi.. bahoot khoob likha hai aapne.. aur mai mushi sir ki baat se sehmat hoon.. koi aapaki tarah ho sakata hai lekin aap nahi ban sakata...

Hmmn Garima...paras di tau ek hi hai na? mere banane ke baad wo saancha todh diya thaa bhagwaan ne...lol


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
6th December 2005, 08:41 PM

i guess...tumhara shukriya tau karna hi padega, tumne waqt nikaala tau di ke liye...

shukriya rohin!


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Re: Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge...
Old
  (#29)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge... - 6th December 2005, 08:51 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar


Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

Larazte, sambhalte, dhulak gaye jo do aansoo
Kehne lage ab aur kya maut ke samaan honge

Guddo Didi..

MaiN kayi baar kehta huN sabse ... ki maiN nageene talashta huN.. aur mil bhi aasani se jate hai .. sab hairaan ho jate hai is baat ko sun ke ... aapke is kalaam main do nageene bhi chun hi liye ... dekehe inhe aur koi kahe ki ye nageene se kam hai ... mujhe nahi lagta .... bohat khoob yuN hi likhti rahiye

aapka bhai


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#30)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
6th December 2005, 08:57 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
wah didi.. bahoot khoob likha hai aapne.. aur mai mushi sir ki baat se sehmat hoon.. koi aapaki tarah ho sakata hai lekin aap nahi ban sakata...

Hmmn Garima...paras di tau ek hi hai na? mere banane ke baad wo saancha todh diya thaa bhagwaan ne...lol

jee Paras di to ek hi hai.. koi Paras didi jaisa ban sakata hai.. lekin paras didi nahi ho sakata hai... banane aur hone me kaafi fark hota hai didi .. hai na?

bhagwaan ne jo sancha banaaya hoga. wo sirf aapke liye banaaya hoga us par kisi aur ka haq nahi ho sakata hai..


Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Re: Re: Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge...
Old
  (#31)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Re: Re: Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge... - 7th December 2005, 08:55 PM

Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
Guddo Didi..

MaiN kayi baar kehta huN sabse ... ki maiN nageene talashta huN.. aur mil bhi aasani se jate hai .. sab hairaan ho jate hai is baat ko sun ke ... aapke is kalaam main do nageene bhi chun hi liye ... dekehe inhe aur koi kahe ki ye nageene se kam hai ... mujhe nahi lagta .... bohat khoob yuN hi likhti rahiye

aapka bhai
Yeh huyi na baat!

maine tau soch tum bahut khafa ho...aise bahut achhe lagte ho...guddo didi ki tareef karte huye...sach...yoonhi raha karo khush khush...

luv you, di


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
7th December 2005, 08:56 PM

Quote:
Originally posted by garima
jee Paras di to ek hi hai.. koi Paras didi jaisa ban sakata hai.. lekin paras didi nahi ho sakata hai... banane aur hone me kaafi fark hota hai didi .. hai na?

bhagwaan ne jo sancha banaaya hoga. wo sirf aapke liye banaaya hoga us par kisi aur ka haq nahi ho sakata hai..

Yup! perhaps!




nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
8th December 2005, 11:49 AM

Ab wo bechaini wo pech-o-taab kahaan honge
Ab wo ishq wo junoon ke aalam kahaan honge

Bin bulaaye hi na chale aayein wo iss taraf
Hasrat-o-yaas ke phir dil ko na gumaan honge

Khoobsurat bayaani guruji...!



Abke chot lagi tau giriyaan huye hum iss kadar
Yaqinan sangrezon mein mere rag-e-jaan honge

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

Second sher was something...just Loved it...!


Manzoor thaa kabhi marna teri nazzron se jaana
Ab tau yeh nashtar mere zabt ka imtehaan honge

hawaon mein naksh-e-pa mit hi jaate hain
Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge

Waaaaaaaaahhhh... kya keh diya hai...!

Dear Guruji,

Humesha ki tarh bahut hi khoobsurat likha hai aapne...Bahut accha laga padhkar... Yun hi likhti raho...Aur apna khayaal rakhna acche se... Love u...


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#34)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
13th December 2005, 10:17 AM

Sorry pulkit for the late reply...

tumne masroofiyat mein waqt nikala...aur itni shiddat se padha aur sarahaa...aage bhi kabhi kabhi inhi galiyon mein milnaa...


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#35)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
8th July 2009, 02:36 PM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Adaab dosto...

Band apni muthi ko khol kyun nahin dete...hum in armaanon ke suukhe patton ko hawa mein urdhaa kyun nahin dete...na jaane kya khazaana soch kar muthi mein daba rakha hai...muskuraaney se kyun darr lagta hai...zindagi jeene se kyun hichkichaahat hai...bus in sawaalon ke chalte kuch likh daala hai...gaur farmaayiegaa...


Ab wo bechaini wo pech-o-taab kahaan honge
Ab wo ishq wo junoon ke aalam kahaan honge

Bin bulaaye hi na chale aayein wo iss taraf
Hasrat-o-yaas ke phir dil ko na gumaan honge

Ab ke chot lagi tau giriyaan huye hum iss kadar
Yaqinan sangrezon mein mere rag-e-jaan honge

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

Larazte, sambhalte, dhulak gaye jo do aansoo
Kehne lage ab aur kya maut ke samaan honge

Manzoor thaa kabhi marna teri nazzron se jaana
Ab tau yeh nashtar mere zabt ka imtehaan honge

Tez hawaon mein naksh-e-pa mit hi jaate hain
Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge

pech-o-taab = predicament
Hasrat-o-yaas = desire and despair
Giriyaan = weep
Sangrezon = people who throw stones
Samaan = articles
Zabt = fore-bearance
naksh-e-pa = footprints
Ayaan = evident (saamne aayeinge)


Bohat khoob!!..behad khoobsurat aur dil ko chu lene waale ehsaas hain parastar jii............aaj pehli baar aapki koi post padh rahi huun..........saare ke saare sher behad uumda haiN...

maqte se talluq ek baat kehna chahungi.............paras ek hai, aur ek hi hai.......shayed aap jaisa aur koi nahi......aap jaisa kabhi koi aur ayaan nahi ho sakta.........

hats off to this superb post..............

pls keep coming and keep writing............

all your frnds miss you a lot here........




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#36)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
10th July 2009, 08:29 PM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Ab wo bechaini wo pech-o-taab kahaan honge
Ab wo ishq wo junoon ke aalam kahaan honge

Bin bulaaye hi na chale aayein wo iss taraf
Hasrat-o-yaas ke phir dil ko na gumaan honge

Ab ke chot lagi tau giriyaan huye hum iss kadar
Yaqinan sangrezon mein mere rag-e-jaan honge

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

Larazte, sambhalte, dhulak gaye jo do aansoo
Kehne lage ab aur kya maut ke samaan honge

Manzoor thaa kabhi marna teri nazzron se jaana
Ab tau yeh nashtar mere zabt ka imtehaan honge

Tez hawaon mein naksh-e-pa mit hi jaate hain
Baad mere yahaan kayi ‘paras’ ayaan honge

pech-o-taab = predicament
Hasrat-o-yaas = desire and despair
Giriyaan = weep
Sangrezon = people who throw stones
Samaan = articles
Zabt = fore-bearance
naksh-e-pa = footprints
Ayaan = evident (saamne aayeinge)


Paras diii
aapki shayri aapki pehchaan hai, aapki shayri mein bahut kuch aisa hota hai jo ki mujhe mere ahsaaso.n se milta julta lagta hai, aisa mahsoos hota hai ki mere ahsaas aapki kalam se likhey ja rahe haiN.

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

es sher ko padkar to bas...............dil tadap utha.
superb

aapki sunita


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#37)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 87
8th November 2009, 12:10 AM

Bahut khub....!

SuperB Lines........

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge

tahe dil se daad......hazir hai....

khush rahiye....
apna khayal rakhiyega...
duaaon ke saath....




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Old
  (#38)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
Thumbs up 9th November 2009, 01:16 PM

Parastaar sahiba kya kahe aapne to mujhe bhi mushkil me daal diya, samajh me nahi aa raha kin alfazo me tareef karu......waise to har sher khoobsurat tha par yaqeen maniye kuch to baat hain is sher me.

Mere seene se sambhal ke kheinchna inko
Ki har ik teer se lipte mere armaan honge


Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654

Last edited by sunita thakur; 9th November 2009 at 02:01 PM.. Reason: some confusion
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
' Mere Baad Phool Na Rakhna Mere Mazaar Par...! ' Amanush... Shayri-e-Dard 38 16th December 2009 06:13 PM
Ghazal:Gar chhupaa sab hai phir ayaan hai kyaa? Mayank Ghazal Section 14 11th July 2006 08:26 PM
mere mit jane ke baad Mehboob Ali Shayri-e-Dard 0 15th April 2004 04:29 PM
mere marne ke baad love_shoaib Humourous Shayri 0 9th March 2004 08:16 PM
kabhi khayaal unko bhi mere aate honge maikasH Shayri-e-Dard 0 7th November 2001 08:48 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com