Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Personal Messages > Introduction Forum

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
maikash ka interview...!! you may post your questions now...!!
Old
  (#1)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
Post maikash ka interview...!! you may post your questions now...!! - 10th November 2006, 05:10 PM

aadaab dosto

lijiye bakra haazir hai

apne sawaal post kijiye

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#2)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
10th November 2006, 05:22 PM

Quote:
Originally Posted by maikasH View Post
aadaab dosto

lijiye bakra haazir hai

apne sawaal post kijiye

shukriya
maikash
hi
maikash ji
apka real name kya hai??
aur aap kya karte ho???
aapka dard gahra ye ye to samjh sakti hun mein.par ye dard ke karan hi apne likhna shuru kiya ye janna chahti hun.
sakhi with qus....?????????????///

कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#3)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
10th November 2006, 05:24 PM

maikash is phela sawaal kar rahi hu, to kyu na phele aapke barey mai.n thoda sa jaan lu.

1. aapka subh naam aur aapki personel details.

regards

aapki dost

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#4)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
10th November 2006, 05:25 PM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
maikash is phela sawaal kar rahi hu, to kyu na phele aapke barey mai.n thoda sa jaan lu.

1. aapka subh naam aur aapki personel details.

regards

aapki dost
maikash ji
apka name to abhi meine dekh liya biography mein.to baki baatein bataiye.
sakhi

कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
Smile 10th November 2006, 07:30 PM

Ohh Great!!

Abhi tau chehere pe 1000 watts ki muskaan aa gayi hai...ki pehla bakra yuun embarrass feel kar raha hai...let me get my list of questions ready Maikash Sir...

will be back

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
welcome
Old
  (#6)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
welcome - 11th November 2006, 08:52 PM

maikaSh saahab,

sab se pahle meiN aap ka ess interview ke katGhare meiN swaagat karta huuN, aur yeH ummiid karta huuN kii aap ka interview KhuShgawaar rahegaa aur yeH ham sab ke liye ek achchha anubhav rahegaa.. ek kahaawat hai ki koii bhii kaam ka Shuruaat achchha ho to lagbhag aage bhi achchha hi jaata hai..aur aap ke sab se pahle katGhare meiN aane se lagta hai ki Shuruaat achchhi hi ho gaii hai...

yahaaN ke membaraan(jin meiN maiN bhi Shaamil huuN ) aap ke baare meiN jaan.ne ke bohat ichchhuk haiN.. maiN bhi sawaaloN ke saath haazir hota huuN...

-mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
12th November 2006, 11:25 AM

maikaSh saahab,

SSA,

leejiye, ham to haazir haiN aap ke saamne apne sawaaloN ke saath.. ab aap kii baari hai jawaab dene kii..

1. aap kab se Shayri kar rahe haiN, aur aap ka Shayri meiN jhukaab kii wajah kya hai? Shayri ki shuruaat kaise kii aur kab kii...

2. aap ke lagbhag sabhi Sher-o-Shayri meiN maikaShii ka zikr hota hai, kyoN? aur maikash taKhallus aap ne kyoN apnaaya..

3. ziNdagii ka sab se hasiiN pal kaun sa hai?

4. aisa ek pal zaroor aaya hoga zindagii meiN jab aap ne Khud ko kamzor mehsoos kiya hoga, aisa pal kaun sa tha(Shaadi ke waqt ke alaava.. ) mera matlab zindagii ka sab se bura pal...

aap in sawaaloN ka jawaab dejiye, aap ke liye sawaaloN kii bohat lambii line hai abhii hamaare paas..

mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#8)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
13th November 2006, 07:10 AM

Quote:
Originally Posted by sakhi1909 View Post
hi
maikash ji
apka real name kya hai??

Gurvinder Singh Sandhu, ghar ka naam "lovely"

aur aap kya karte ho???

ek indian bar restaurant meiN chef (bawarchi) ka kaam karta huuN

aapka dard gahra ye ye to samjh sakti hun mein.par ye dard ke karan hi apne likhna shuru kiya ye janna chahti hun.

aapka khayaal durust hai

sakhi with qus....?????????????///

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#9)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
13th November 2006, 07:12 AM

Quote:
Originally Posted by sunita virender View Post
maikash is phela sawaal kar rahi hu, to kyu na phele aapke barey mai.n thoda sa jaan lu.

1. aapka subh naam aur aapki personel details.

naam maine bataa diyaa hai aur "personal details" meiN aap kya jaan'na chahti haiN zaraa vistaar se bataayeN to mujhe jawaab dene meiN aasaani hogi

regards

aapki dost

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#10)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
13th November 2006, 07:14 AM

Quote:
Originally Posted by sakhi1909 View Post
maikash ji
apka name to abhi meine dekh liya biography mein.to baki baatein bataiye.
sakhi

jee maine aapke sawaaloN ka jawaab de diya hai

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#11)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
13th November 2006, 07:15 AM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Ohh Great!!

Abhi tau chehere pe 1000 watts ki muskaan aa gayi hai...ki pehla bakra yuun embarrass feel kar raha hai...let me get my list of questions ready Maikash Sir...

will be back

maiN muNtazir huuN mohtarma

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#12)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
13th November 2006, 09:20 AM

Quote:
Originally Posted by Anjana Rahi View Post
maikaSh saahab,

SSA,

Sat Sri Akaal Janaab

leejiye, ham to haazir haiN aap ke saamne apne sawaaloN ke saath.. ab aap kii baari hai jawaab dene kii..

haazir huuN saahab

1. aap kab se Shayri kar rahe haiN, aur aap ka Shayri meiN jhukaab kii wajah kya hai? Shayri ki shuruaat kaise kii aur kab kii...

"shayri kyoN karte haiN" yeh sawaal mujhse pichhle kayii saaloN se barhaa puuchha gaya lekin maNzir-e-aam par iska jawaab imaandaari se dena ek to mere uusuuloN ke khilaaf tha aur duusre tabiyat ne kabhi ijaazat nahiiN di, ab chooNke duusroN se imaandaari ki tavvaqo hai to maiN jhooTh nahiiN boluuNga, jawaab haazir hai :

taqreeban 12 saal se she'r kehne ki kohshish kar raha huuN, saNjeedagi se likhte hue abhi 3-4 saal hi hue haiN

shayri meiN jhukaav ki wajah hai pehli mohabbat meiN "Gham-e-firaaq-e-yaar" se paala padna ( ummiid hai aap samajh gaye hoNge )

shayri ki shuruvaat kaise huii ? iska piichhe bhi ek qissa hai, jab "voh waaqya" pesh aaya to, jaise ke iNsaan ki fitrat hai, dostoN se chaaraagarii ki tavvaqo hui lekin haal-e-dil bayaaN karna na aaya, badii mayousii hoti thi jab dost itni saNjeeda baat "hawaa" meiN uRaa dete the.phir ek din yuuN hua ke hamari hindi ki teacher ne mujhe jagjit singh saahab ki album "desires" tohfe meiN di ,kyoN di ?, ye maiN aaj taq samajh nahiiN paaya, sirf unka ek jumla yaad hai ke "tumhaari aaNkoN meiN zaroorat se zyada thehraav hai", uNhone mujhe is album meiN yeh Ghazal sun'ne ko kaha :

gulshan ki faqat phuuloN se nahiiN, kaaNTon se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya meiN, Gham ki bhi zaroorat hoti hai

Ghazal maine sunii, samajh to khair nahiiN aayi lekin kisi wajah se mujhe sukuun bohat milaa, is tarah mera ta'rruf shayri se hua, GhazleN sun'ne ka silsilaa shuru huaa to shayri ki taraf jhukaav hua, shayri ki kuch kitaabeiN khariidiiN lekin urdu na samajh paane ki wajah se kuch samajh na aata, kitaabeiN hindi meiN thiiN aur har page pe page ke neeche mushkil alfaaz ke matlab bhi hindi meiN diye hote the lekin yuuN shayri padhne meiN voh lutf na aata jo aasaan she'r padhne meiN aata tha to ek din yeh ta'y kiya ke apni pasaNdiida GhazaloN ki dhun par aise lafz likhe jaayeN jo apni haalat bayaaN karte hoN so likha shuru kiya

2. aap ke lagbhag sabhi Sher-o-Shayri meiN maikaShii ka zikr hota hai, kyoN? aur maikash taKhallus aap ne kyoN apnaaya..

sharaab ka meri shayri se bada gehra ta'lluq hai, yuuN samajhiye ke sharaab na hoti to maiN shayar bhi na hota, shayr ban'ne ki koshishoN meiN mubtilaa zaruur hota lekin shayar nahiiN hota, aapka ye aNdaazaah bilkul durust hai ke meri taqreeban har Ghazal aur nazm meiN sharaab pe ek she'r hota hai voh isliye ke maiN sharaab bohat peeta huuN , dauraan-e-maikashii mujhe sochne ya tassavvur karne ki zaruurat mehsuus nahiiN hoti,jo bhi misra zahan meiN aata hai khud-ba-khud aata hai,kabhi kabhaar itna hosh nahiiN hota ke kya likh raha huuN ya kyuN likh raha huuN lekin agli subah jab likhe hue pe nazar padti hai to saari tasveer saaf nazar aati hai , "maikash" taKhallus yahi soch kar tasleem kiya ke mujhe, meri shayri aur mere jeene ke dhaNg ko agar koi ek lafz bayaan kar sakta hai to voh yahi hai

3. ziNdagii ka sab se hasiiN pal kaun sa hai?

pehla, jab maine pehli baar apni beTii ko baahoN meiN liya, duusra, jab usne pehli baar mujhe "daddy" keh kar pukaara

4. aisa ek pal zaroor aaya hoga zindagii meiN jab aap ne Khud ko kamzor mehsoos kiya hoga, aisa pal kaun sa tha(Shaadi ke waqt ke alaava.. ) mera matlab zindagii ka sab se bura pal...

bohat se haiN, lekin ek lamha aisa hai jisey bhulaana shayad behadd mushkil hai, maiN jab 2 saal ka tha to mujhe mere nana-nani ji ko sauNp diya gaya tha (kyoN ? ye mujhe bhi nahiiN pataa), uNhone ne hi meri parvarish ki, 15 saal unke paas raha phir 1995 meiN maiN IT ki studies ke liye Australia bhej diya gaya aur usii saal meri Nani ji ka INtekaal huaa, ghar waaloN ne ye soch kar mujhe ittelaah nahiiN di ke meri padhaai par asar padega (exams chal rahe the), funeral ho jaane ke baad jab mujhe khabar ki gayi to voh lamha aisa hai jo maiN aaj taq nahiiN bhuul paaya, unki kamii aaj bhi bhi utni hi mehsuus hoti hai jitni us lamhe meiN huii

aap in sawaaloN ka jawaab dejiye, aap ke liye sawaaloN kii bohat lambii line hai abhii hamaare paas..

mayank

lijiye saahab maine aapke sawaaloN ke jawaab "puuri imaandaari" se haazir kiye haiN, kuck aur bhi haiN to ataa kijiye maiN taabedaar huuN

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#13)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
13th November 2006, 11:23 AM

Maikash Saab…

Thoda copy paste karne mein deir ho gayi…lekin lijiey hamare bhi sawaal haazir hain…

1. Pehle tau yeh ki kya shayri virasat mein mili hai aapko…aapke parivaar mein kisika jhukaav is taraf thaa? Agar nahin, tau kya aapki shayri sunkar karibi dost aur rishtedaar chaunke? Unhone aapko protsahan diya?

2. Aapko lagta hai ki shayri karne se gham se nijaat tau nahin milti, magar haan use kaagaz par utaarne se sukoon ka ehsaas zaroor hota hai?

3. Aap apne Ustaad Sahib ka zikr kaafi karte hain, unse aapki mulaqaat kaise huyi, kab huyi…aapne shayri kii or rukh kya unhi se prerna lekar kiya?

4. Sunte hain ki shayar log, moody, sanaki, duniya se be-parwaah, aur kayi baar be-adab bhi hote hain? Aap kya kehte hain?

5. Aapki baaton se lagta hai ki aap kaafi arse se vatan se duur rahe hain, phir aapko aisa mahaul kahan se mila ki aap duusre shayaron se milein ya mushaira vagairah attend karein aur apni shayri mein nikhaar laa sakein?

6. Ek baat aur, what inspires you to write, do you sit down, take a peg or two and start scribbling or do you isolate yourself and then settle down to write, ya phir yoonhi baithe baithe?

Mujhe malum hai ki mere kuchh sawaal baaki members bhi pooch chuke honge…agar aapne unke jawaab de diye hain tau repeat karne ki zaroorat nahin aapko, shukriya in advance…

nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
dheer
Registered User
dheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant futuredheer has a brilliant future
 
dheer's Avatar
 
Offline
Posts: 875
Join Date: Nov 2004
Location: udaipur
Rep Power: 35
13th November 2006, 12:33 PM

acha laga Maikash !! aapke barein mein jaan kar!!!
  Send a message via Yahoo to dheer  
Reply With Quote
Old
  (#15)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
13th November 2006, 12:46 PM

Quote:
Originally Posted by Parastaar View Post
Maikash Saab…

Thoda copy paste karne mein deir ho gayi…lekin lijiey hamare bhi sawaal haazir hain…

1. Pehle tau yeh ki kya shayri virasat mein mili hai aapko…aapke parivaar mein kisika jhukaav is taraf thaa? Agar nahin, tau kya aapki shayri sunkar karibi dost aur rishtedaar chaunke? Unhone aapko protsahan diya?

jee nahiiN, hamaare puure khaandaan meiN kisi ka duur-duur taq shayri se koii lena-dena nahiiN raha

mere ghar meiN mere choTe bhai ko choR kar kisi ko nahiiN pata ke maiN she'r kehta huuN, choTe miyaaN ne shuruvaat meiN kaafi hauslaa badhaaya, ab to khair unko bhi ye ilm nahiiN hai ke bade bhai ka ye marz kis hadd taq jaa pahuNchaa hai

2. Aapko lagta hai ki shayri karne se gham se nijaat tau nahin milti, magar haan use kaagaz par utaarne se sukoon ka ehsaas zaroor hota hai?

jee nahiiN maiN nahiiN maanta ke Ghazal ya nazm likhne se "Gham se nijaat" milti hai ya sukuun haasil hota hai, haaN apne tajurbe se maiN ye zaruur keh sakta huuN ke jab kabhi maiN apni shayri ke zariye khud se voh baat keh paane meiN kaamyaab hua huuN jo maiN kabhi kisi aur ko nahiiN samjhaa paaya to pal bhar ke liye thodi tassalli zaruur hoti hai

3. Aap apne Ustaad Sahib ka zikr kaafi karte hain, unse aapki mulaqaat kaise huyi, kab huyi…aapne shayri kii or rukh kya unhi se prerna lekar kiya?

unse meri mulaqaat yahiiN shayri.com pe hi huii, voh pehle shaKhs haiN jinhone mujhe beh'r meiN she'r kehne ke liye uksaaya aur bohat madadd bhi ki, mujhe shayri ka jitna thoda bohat ilm aaj hai unhiiN ki ba'daulat hai

jee bilkul, mujhe unki shayri padh kar bohat kuch seekhne ko milaa hai lekin shayri ki aur rukh to maiN bohat pehle se kar chuka tha haaN sahi raasta unhone ne hi dikhaaya aur maiN itne saaloN baad aaj bhi unke naqsh-e-qadam pe chalne ki koshish kar raha huuN

4. Sunte hain ki shayar log, moody, sanaki, duniya se be-parwaah, aur kayi baar be-adab bhi hote hain? Aap kya kehte hain?

maiN is baat se sehmat nahiiN huuN, jis tarah do iNsaan ek jaise nahiiN hote usii tarah do shayar bhi ek jaise nahiiN ho sakte, aur shayar bhi iNsaan hi hote haiN !

5. Aapki baaton se lagta hai ki aap kaafi arse se vatan se duur rahe hain, phir aapko aisa mahaul kahan se mila ki aap duusre shayaron se milein ya mushaira vagairah attend karein aur apni shayri mein nikhaar laa sakein?

jee maiN hindustaan se pichhle 6 saal duur raha huuN
maine abhi taq koi mushaira attend nahiiN kiya hai
maiN abhi taq kisi duusre shayaroN se nahiiN milaa huuN
shayri meiN "agar" nikhaar aaya hai to uski wajah shayad mehnat hai jo maiN har baar pehle se zyada karne ki koshish meiN rehta huuN

6. Ek baat aur, what inspires you to write, do you sit down, take a peg or two and start scribbling or do you isolate yourself and then settle down to write, ya phir yoonhi baithe baithe?

what inspires me to write ...? .....i don't know how to answer that coz i never "plan" to write
no, i never sit down thinking i "have" to write something today, i never force myself to write,and no i do not isolate myself but yes when i'm writing i prefer to be left alone, at that particular time i'm completely oblivious to whats happening around me....and its usually the time when i'm drinking

Mujhe malum hai ki mere kuchh sawaal baaki members bhi pooch chuke honge…agar aapne unke jawaab de diye hain tau repeat karne ki zaroorat nahin aapko, shukriya in advance…

mere khayaal meiN saare jawaab ho gaye jee

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 13th November 2006 at 12:49 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#16)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
14th November 2006, 10:10 AM

namskaar mere dost maikasH ji

kya haal hai??????

ssub logo ke sawal maine dekh liye ab main bhi kuch puchhna chahunga apse mere sirf do hi sawal hai aapse bas

1: "maikashi ji aap ki zindagi me aisa koi pal aaya hai jis pal me aapko laga ho k aap ko wo sab kuch mil gaya ho jo aapne chaha ho jo aapne khuda se badi mannato me manga ho ? aur wo kya hai?"

2: maiksah ji ek aisi khwasish batayiye jo aapne khuda se bar bar mangi ho par aapki wo aarzoo adhuri hi reh gyi ho wo aarzoo main janna chahta hu iska koi jawab hai to keh dijiyenga"

apna khayal rakhiyenga maikash ji
khus rahiye

jai shree karishna...........

aapka dost
dhaval

*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
14th November 2006, 12:25 PM

MaikaSh bhaaii,

aap ne itni iimaan-daari ke saath sawaaloN ke jawaab diye haiN us ke liye tah-e-dil se Shurkiya... Aap ke jawaab bohat achchhe rahe aur aap ke baare meiN jaan kar KhuShi huii..aap ki muKhtasaar fasaana-e-zindagii paRh kar Ghaalib jee ka ek Sher yaad aa gaya..

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane

Aisa hii kuchh aap ka haal raha, aur esi baat ne aap ko Shayri ki aur mauRa..

Ab aap jaldi se hame apne bachpan se lekar ab tak ki saari baateN bata deejiiye, bohat man ho raha hai jaanane ka ki aap bachpan main Shaitaan the ya achhe bachhe the, Mujhe lagta hai kii aap zaroor Shaitaan hoNge, kyoN kii jo bachpan meiN jaise hote haiN, baRe ho kar achchhe ban jaate haiN..

aap itni achchhi Shayri kar lete haiN, to kya aap ne apni liKhi Sher-o-Shayri ki koii kitaab bhii chapaawaayii hai..?

ek aur Aakhiri sawaal(aaj ka), Aap ke nazar meiN zindagii kii kya haisiyaat hai, aur kya aap zindagii jee paaye haiN, Aap jaise 'Shaahkaar' ke nazar meiN zindagii ka falsafa kya hai?

Intizaar rahega aap ke jawaaboN ka...

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#18)
garima
Paagal Pathik
garima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of lightgarima is a glorious beacon of light
 
garima's Avatar
 
Offline
Posts: 1,997
Join Date: Jan 2005
Location: In the heart of universe
Rep Power: 26
14th November 2006, 07:37 PM

ab tak ke saare sawaal jawaab padh chuki hoon... mai to samajhti thi ki mai bahoot batuuni hoon par itte saare sawaalo ka jawaab mai nahi de paati.. isliye sirf ek sawaal...

(aapse permission le li thi yeha puchhane ke liye)

Aap kab se khood ka khayaal rakhana shuru karenge... ya mujhe aana padega.. ghaata to aapko hi hai... mujhe to mera kharch milne waala hai na :P

Anant se bhi aage... itni si khwahish hai :)
  Send a message via Yahoo to garima Send a message via Skype™ to garima 
Reply With Quote
Old
  (#19)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
15th November 2006, 06:05 AM

Quote:
Originally Posted by dhavalrami4you View Post
namskaar mere dost maikasH ji

namaste miyaaN

kya haal hai??????

haal achcha hai janaab...shukriya

ssub logo ke sawal maine dekh liye ab main bhi kuch puchhna chahunga apse mere sirf do hi sawal hai aapse bas

1: "maikashi ji aap ki zindagi me aisa koi pal aaya hai jis pal me aapko laga ho k aap ko wo sab kuch mil gaya ho jo aapne chaha ho jo aapne khuda se badi mannato me manga ho ? aur wo kya hai?"

jee nahiiN aisa koii pal abhi taq to nahiiN aaya, aapke sawaal ke duusre hisse'y ka jawaab maiN nahiiN de sakta, uummiid hai ke aap muaaf kar deNge

2: maiksah ji ek aisi khwasish batayiye jo aapne khuda se bar bar mangi ho par aapki wo aarzoo adhuri hi reh gyi ho wo aarzoo main janna chahta hu iska koi jawab hai to keh dijiyenga"

aarzoo'yeiN to bohat si haiN jo adhuuri reh gayiiN bhai, sabsi badii jo hai vo to maiN bataa nahiiN sakta ( mazrat ki dharkhuvaast maiN aapse kar chuka huuN ), uske baad do ek aisi khwaahisheiN haiN jo ke agar waqt palaT ke aa sakta to maiN koshish zaruur karta ke puuri ho paatiiN, unmeiN se pehli hai india air force join karna , duusri hai india ki cricket team meiN khelna

apna khayal rakhiyenga maikash ji
khus rahiye

duaa'oN ka bohat shukriya bhai

jai shree karishna...........

aapka dost
dhaval
jais shri krishna

maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#20)
Aman_rahi
Paigaam-e-Aman
Aman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really niceAman_rahi is just really nice
 
Aman_rahi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,689
Join Date: Oct 2004
Location: Patiala, Punjab, India. Now:Pune, India
Rep Power: 26
22nd November 2006, 01:37 PM

Janab Maikash (Gurvinder) ji....SSA....

thuvanu pad ke changa lagya.... thuvadi ghazal pad ke har vaari sochda si ki thuvade naal kade vi gal nahi ho saqi..... par vekho khuda da karishma... aaj tusi haazir ho.....

dil nu changa lagya.....

jaande...jaande ek gal kehnda jaavaan..... sharab katt hi hove taan changa hai..... main sharab vich ruldi hui zindagi vekhi hai... te vekh rehaan haan..... apne ghar vich....

guzarish karaanga...ki katt piya karo....

Ek swaal....

ek khaalis urdu te beher kitthon sekh saqde haan....???? yaani koi kataab....???

Thuvada apna.....

**(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*)**
*·.¸Paigaam -e- Aman¸.·*
**(¸.·´(¸.·* *·.¸)`·.¸)**

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
inhan ankhaaon vicho kadi, tere hanju vaghe si.....
aaj ki hoye, jehda ^AMAN^ da lahoo vagda ae......

AMAN RAHI

Last edited by Aman_rahi; 22nd November 2006 at 01:44 PM..
  Send a message via Yahoo to Aman_rahi  
Reply With Quote
Old
  (#21)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
26th November 2006, 11:34 AM

Quote:
Originally Posted by Anjana Rahi View Post

MaikaSh bhaaii,

aap ne itni iimaan-daari ke saath sawaaloN ke jawaab diye haiN us ke liye tah-e-dil se Shurkiya... Aap ke jawaab bohat achchhe rahe aur aap ke baare meiN jaan kar KhuShi huii..aap ki muKhtasaar fasaana-e-zindagii paRh kar Ghaalib jee ka ek Sher yaad aa gaya..

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane

Aisa hii kuchh aap ka haal raha, aur esi baat ne aap ko Shayri ki aur mauRa..

Ab aap jaldi se hame apne bachpan se lekar ab tak ki saari baateN bata deejiiye, bohat man ho raha hai jaanane ka ki aap bachpan main Shaitaan the ya achhe bachhe the, Mujhe lagta hai kii aap zaroor Shaitaan hoNge, kyoN kii jo bachpan meiN jaise hote haiN, baRe ho kar achchhe ban jaate haiN..

miyaaN puuri dastaaN bataana to mushkil hai, shayad na-mumkin aur "na-munaasib" bhi , aap jo baat khusuusan jaan'na chahte haiN , huqm kijiye maiN jawaab zaruur duuNga

bachpan meiN maiN bohat "chup-chaap" saa raha huuN aur ek achcha iNsaan ban'ne meiN bhi shayad nakaamyaab hi raha huuN

aap itni achchhi Shayri kar lete haiN, to kya aap ne apni liKhi Sher-o-Shayri ki koii kitaab bhii chapaawaayii hai..?

izzat-afza'ii ka shukriya bhai

jee nahiiN abhi taq ko'ii kitaab nahiiN chhapvaayi, kuch arsaa qabl iraada kiya to tha lekin phir bohat ga'ur karne ke baad ye mehsuus hua ke abhi bohat kuch seekhna baaqi hai aur mujhe ye qata'ii nahiiN lagta ke mere sukhan meiN aisa koi "khiNchaav" hai jispe mujhe faKhr ho....mukhtsar lafzoN meiN baat kehna chahuN to ustaad saahab ka ek she'r kahuuNga:

jo bikne meiN madadd karti hai aksar
mere she'roN meiN voh khushbuu kahaaN hai

ek aur Aakhiri sawaal(aaj ka), Aap ke nazar meiN zindagii kii kya haisiyaat hai, aur kya aap zindagii jee paaye haiN, Aap jaise 'Shaahkaar' ke nazar meiN zindagii ka falsafa kya hai?

is sawaal ka jawaab jaaN nisaar akhtar saahab ke do misre ba'khuubi de sakte haiN, mula'iiza kijiye

ziNdagii jis ko teraa pyaar milaa vo jaane
ham to naakaam rahe chaahane vaaloN kii tarah

meri nazar meiN ziNdagii ki haisiiyat "kuch bhi nahiiN" hai, itna kehna shayad kaafi hogai agar aap mutmayin na hue hoN to mujhe tafseel se jawaab dene meiN koi pareshaani nahiiN hai

jee nahiiN maiN us ziNdagii ki ek choTa sa hissa bhi nahiiN jee paaya huuN jiska maine tassavvur kiya tha

ziNdagi ka falsafaa samjhna aur samjhaana behadd mushkil hai, mere hisaab se ye iNsaan ke zabt,himmat,hausle aur bardaasht karne ki hadd ka ek musalsal imtehaan hai

Intizaar rahega aap ke jawaaboN ka...

ummiid hai aapke (aaj ke) sawaaloN ka jawaab dene meiN maiN kaamyaab ho paaya huuN

Mayank

bhai jaise ke maine aapko pehle hi bataya tha ke computer kharaab tha isliye aapke khat ka jawaab dene meiN ta;kheer ho gayi jiske liye behadd sharmiNdaa aur mazrat'khwaa huuN, ab sab kuch "baraabar" hai

shukriya

maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 26th November 2006 at 12:46 PM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#22)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
26th November 2006, 11:51 AM

Quote:
Originally Posted by garima View Post
ab tak ke saare sawaal jawaab padh chuki hoon... mai to samajhti thi ki mai bahoot batuuni hoon par itte saare sawaalo ka jawaab mai nahi de paati.. isliye sirf ek sawaal...

(aapse permission le li thi yeha puchhane ke liye)

Aap kab se khood ka khayaal rakhana shuru karenge... ya mujhe aana padega.. ghaata to aapko hi hai... mujhe to mera kharch milne waala hai na :P

namaste docotr sahiba

mohtarma aap doctor log to chahte hi yahi haiN ke hum namuraadoN ko is ziNdagii ki qaid se kabhi aazaadi mile hi na

yaqeen kijiye jitna mere bas meiN hai apna khayaal utna to maiN zaruur rakhta huuN, misaal ke ta'ur par :

"saaNs lena kabhi nahiiN bhuultaa"

aapke ye sawaal padh kar kuch dinoN pehle shuru ki apni ek Ghazal ka she'r yaad aaya, mula'iiza kijiye

bujhta hai ai chiraGh-e-ziNdagii to bujh hi jaa
ab ham se terii aur hifaazat nahiiN hotii

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#23)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
26th November 2006, 01:01 PM

Quote:
Originally Posted by Aman_rahi View Post
Janab Maikash (Gurvinder) ji....SSA....

thuvanu pad ke changa lagya.... thuvadi ghazal pad ke har vaari sochda si ki thuvade naal kade vi gal nahi ho saqi..... par vekho khuda da karishma... aaj tusi haazir ho.....

dostaaN da huqm hoya janaab, haazar hona peya

dil nu changa lagya.....

jaande...jaande ek gal kehnda jaavaan..... sharab katt hi hove taan changa hai..... main sharab vich ruldi hui zindagi vekhi hai... te vekh rehaan haan..... apne ghar vich....

tuhadi gal apni jagah theek hai

guzarish karaanga...ki katt piya karo....

guzaara huNda mere veer taaN zaruur kar laiNdaa, eh gal vere hath-vas di nahiiN rahi, tuhaadi guzaarish 'choN jehda pyaar jhalak rehaa usde layi tuhada karzdaar rahaaNgaa

Ek swaal....

ek khaalis urdu te beher kitthon sekh saqde haan....???? yaani koi kataab....???

internet te search karo taaN badiiyaaN websites ne jitthe tuhaanu beher de article mil jaange, urdu sikhna chahuNde ho taaN shayri padheya karo te jad kise she'r wich eho jeha lafz mile jehda samajh na aave ta usde matlab search karo, je ko kitaab hai taaN mainu isdii khabar nai, maiN khud esey tarah sikkheya, maiN tuhanu ik-do link PM wich bhej deyaNga oh dekh laina shayad kuch madadd mile

Thuvada apna.....

badi mehrbaani janaab

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
bhaut khoob doston
Old
  (#24)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
bhaut khoob doston - 26th November 2006, 05:43 PM

maikash ji ko hamesha se hi jaane ki ichha rahi thi

aur aaj jaana bhaut kuch aapke bare mai bhaut achha laga

  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Old
  (#25)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
27th November 2006, 08:54 PM

Maikash bhaaii,

SSA aur namaste:

Bhaaii, aap ke baare meiN maiN kuchh bhii nahiiN jaanta tha.. ess interview ke bahaane aap ko thoRa bohat jaan saka... aur haaN sach maaniye jitna jaana huuN aap ke baare meiN, mere dil meiN aap ke liye ijjat baRhi hai.... Pahle meiN aap ko ek achchhe Shaayar ke haisiyat se hi jaanta tha.. lekin aap ko interview paRh kar yeH bhi pata chala kii aap jitne achchhe Shaayar haiN utne nek insaan bhii haiN..

YahaaN par par maine mehsoos kiya hai kii sabhii log dil se liKhate haiN aur bohat Khuub liKhate haiN. par sabhii zakhm khaaye huye haiN(chand Khush qismat aihbaaboN ko chhor kar) koii dunya se, koii mehboob se, koii Ghar waaloN se, etc etc.. sab kiii apni apni pareShaaniaaN haiN... aur bas usi dard, usi pareShaani ko mehsoos kar lafzoN ke SaanChe Dhaal kar yahaaN bayaaN karte haiN.. ek dilkaSh Sher, Ek Shayri, ek Ghazal ban jaati hai magar par dil ke zakhm phir se taazaH ho jaate haiN.... aap ne bhii kaha hai kii 'shayri meiN jhukaav ki wajah hai pehli mohabbat meiN "Gham-e-firaaq-e-yaar" se paala padna.." to mera aap se yeH sawaal hai kii Kya ham kabhii dard se duur rah kar nahiiN liKh sakte aur kyaa shayri kaa daa'era yahiiN (dard meiN duub kar haal-e-dil bayaaN karna)taq hai.., aur agar ham uss dard se baahar aa kar bhii liKh sakeN to kitna baRhiya hogaa.... kitna achchha lagegaa jab log kisii ke dard par nahiiN, fan par 'waah waah' kareNge...

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#26)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
4th December 2006, 12:03 AM

Quote:
Originally Posted by Mayank View Post

aadaab , namaste aur SSA Mayank bhai

aapne ye bohat achcha sawaal puucha hai aur is se aapke fiqr-o-khayaal ke mayy'aar ka aNdaazah bhi hota hai , bohat khoob

aapko Javed Akhtar saahab ka ek she'r sunaata huuN :

talKhiyaaN kaise na hoN ash'aar meiN
mujh pe jo guzrii mujhe hai yaad sab

agar aap sirf yahaaN ki baat kar rahe haiN to maiN itna hi kahuuNga ke shayri jin logoN ko viraasat meiN "nahiiN" milii hai unke liye ye ek bohat lamba safar hai ab ye apne apne hauNsle ki baat hai ke koi kitnii duur taq chal paata hai, mere jaise taalib-e-ilm ko jitna seekhne ko mil jaaye utna hi kam hai, kehne se ye muraad hai ke shayri meiN jis din zabaan par pakaD mazboot ho jaayegi us din sukhan meiN voh ta'seer bhi aa jaayegi ke "achche sun'ne waale" fann par hi "waah waah" kareNge

mera ye maan'na hai ke shayar wohi likhta hai jo mehsuus karta hai, to ismeiN koi burii baat nahiiN agar apne dard ke dayre meiN reh kar likhte haiN , waqt ke saath saath taKhayyul-o-taGhazzul meiN bhi nikhaar aata hai, shayri ek hunar hai aur har kisi ko ismeiN mahaarat haasil nahiiN hoti haaN mehnat kareiN aur jaldbaazi se kaam na leiN to waqt ke saath saath sukhan meiN nikhaar yaqeenan aata hai aur aise meiN ek shayar ek aam baat ko radeef-o-qaafiye meiN sajaa kar badi aasaani se keh leta hai

aap soch rahe hoNge ke kitne aise bade naam haiN jo filmoN ke liye gaane vaghera likhte haiN to voh kaise likhte haiN, sochna jaayaz bhi hai, yahaaN vohi "fann meiN mahaarat" ya kahiye ke "zabaan par pakad" waali baat la'goo hoti hai

khush rahiye

rab raakha
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................

Last edited by maikasH; 4th December 2006 at 12:06 AM..
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#27)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
4th December 2006, 05:18 PM

MaikaSh saahaab,

SSA,

maiN aap ka mamnoon-o-mutaShakkir huuN ki aap ne aap ne mere sabhii sawaaloN ke maakul jawaab diye haiN, ummeed hai yeH 'interview' aap ke liye khush-gawaar raha hoga.. apna Khayaal raKhiyega..

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#28)
maikasH
Birha Tu Sultan
maikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant futuremaikasH has a brilliant future
 
Offline
Posts: 1,810
Join Date: Aug 2001
Rep Power: 10
22nd December 2006, 09:20 PM

chaliye miyaaN yeh baab to khatm hua , praveen saahab ka interview chal raha hai to maiN is thread ko unstick kiye deta huuN

sawaaloN ka shukriya aur ummiid hai ke dostoN ko apne jawaab mil gaye hoNge

shukriya
maikash

.........................................

is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai

maikash
...............................
 Send a message via ICQ to maikasH Send a message via Yahoo to maikasH  
Reply With Quote
Old
  (#29)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
22nd December 2006, 09:55 PM

Maikash Bhai..

Aapke baare me jaan ke bahut acha laga..

Aap ek beehtreen insaan aur shayar hain!

Aman ji ne jo guzarish ki aapse.. vahi main bhi karna chaahungi.. Maine bhi isse zindagi khaak hoti dekhi hain aur dekh rahi hun..

Jaanti hun aapke haath me nahi hai.. par gar thodi bahut koshish karoge to shaayad kuch mumkin ho paaye... baaki aapki marzi..

May God Bless you!

Take Care..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
*How to Answer the Tough Interview Questions* Mayank Chit-Chat & General Discussion Forum 2 17th October 2007 05:14 PM
interview questions....Interesting *AALISHAN* Humourous Shayri 0 9th September 2005 07:58 PM
maikash dil_ke_tukde Shayri-e-Dard 0 31st August 2002 01:51 AM
maikasH maikasH Shayri-e-Dard 5 12th October 2001 05:28 PM
maikash sagar29in Shayri-e-Sharaab 1 6th June 2001 01:44 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com