Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Maut Bewafa Nahin
Old
  (#1)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
Maut Bewafa Nahin - 6th November 2002, 05:16 PM

Us se zada, mujhe maut ka intezaar hai; dekhte hain, ki pehle kaun gale lagaati hai.

Maut Bewafa Nahin

Bewafa tu jaa, apni bewafaii mat yaad dila,
Guzra hua kal yaad dila-kar, aur zehr mat peela

Dil tutne diya maine, mera ye-hi kasoor tha,
Rokna chahta to nahin rukta, main thoda majboor tha

Andha tha pyar mein, ek sahare ki zaroorat thi,
Tere aane ke baad, zindagi kitni khoobsurat thi..

Tu mehmaan ban-kar chali gayi, kisi aur basti mein,
Aansu apne bhool jaata tha, dekh-kar tujhe hasti mein..

Khushiyan cheenh kar kehti hai ki, "sharminda huun main,"
Are, teri yaad ke sahare hi to, ab tak jinda huun main..

Woh pal to guzar gaya, ab dusra bhi aane wala hai,
Teri taraN maut bewafa nahin.. yeh aashiq jaane wala hai!
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
TOO GOOD
Old
  (#2)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
Sad TOO GOOD - 7th November 2002, 11:57 AM

Its too good....Mr.Sharabi. Well i can guess that u may b any ruined "AASHIQ". May god give u courage. But the one thing that i want to say u is that
"mohabbat na karna jamana bura hai
Kisi se najar ka lagana bura hai"
bye and take care
sanam


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
uff aman
Old
  (#3)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
uff aman - 7th November 2002, 09:18 PM

dearest aman ji,
yaar aapne shabdon ne hame ghayal bana diya, kya gajab likha hai aman aapne,
aisa kyu hota hai me aaj tak samajh na saki,
log kyu aate hai zindagi me jab unhe jana hota hai,
bewafayi hoti hai unki ata to phir jaane kyu,
sapney dikhatey hai jab unhey tanha hi chodna hota hai>>

yaar i LOVED urz words,
specially this one, touched my soul,

Dil tutne diya maine, mera ye-hi kasoor tha,
Rokna chahta to nahin rukta, main thoda majboor tha

Khushiyan cheenh kar kehti hai ki, "sharminda huun main,"
Are, teri yaad ke sahare hi to, ab tak jinda huun main..

Woh pal to guzar gaya, ab dusra bhi aane wala hai,
Teri taraN maut bewafa nahin.. yeh aashiq jaane wala hai!
************************************************** **
LUV PRIYA >>>


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
8th November 2002, 04:34 AM

Shukriya,

dil_e_sikast - Agar aapne yehi baat pehle baatayii hoti, to is waqt main is haal mein na hota. Par koi baat nahin dost, dusre log ise paD kar shyad khud ko sambhaal paayenge.

priya ji - Kya kahuun main aapse; haha aap to har waqt sharminda kar deti hain. Mujhe khushi hui, ki aapko mere lafz pasand aayeN, koshish karuunga ki aisa hi likhta rahuun. Magar, aisa likhne ke liye, dard ki zaroorat hai - waqt ke saath saath, dard bhi gehra hota rahega, aur umeed hai, ki mere shabd bhi.

Thanks once again,
Aman.
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
hi aman
Old
  (#5)
shayri12345
Registered User
shayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the roughshayri12345 is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 2,408
Join Date: Sep 2001
Location: New York
Rep Power: 27
hi aman - 8th November 2002, 06:04 AM

hi aman,
i am sorry if i am making u sharminda, me to bas iskar ke i like ur shayri cuz somehow they represent a lot in my life, but my incentive is not to make ur dard more, no and never,
if i ever made u feel that way, then iw ont do it again,
and if to write like this u have to have more dard,m then i would prefer u dont write anymore, KYU KI ME AAPKO AUR DARD NAHI DENA CHAHTI, VAISI BHI HUM SAB KA DARD SE KUCH AJEEB SA Rishta juda gaya hai,

Priya>
take care.


Akhihaan milaake chan'na paavi na Judayi Vey .......

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Jisnu Lagey, ohi'yo jaane, Kaun Jaane peer parayi!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Last edited by shayri12345; 8th November 2002 at 07:26 AM..
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#6)
Ishiqka
Ishiqka
Ishiqka is on a distinguished road
 
Ishiqka's Avatar
 
Offline
Posts: 293
Join Date: Oct 2002
Location: toronto
Rep Power: 22
Thumbs up hi - 8th November 2002, 06:16 AM

how is Aman there? i dont know you much but seems like u write really good. mera bhi dard tha aisa lekin meine uss dard ko aapni zindgi ko maut nehi di. uss dard ko maine kissi aur se baant liya hai aur voh samajte hain mera dard aur pyaar bhi aur zyada karte hain. hum yeh nehi kehte ke aap yehi karo lekin aapka dard baantnein ko koi tho hoga? agar humne kuch zyada hi keh dala tho please maaf karna. chinta hoti hai jaab koi aisa likhta hai. maaf karna. take care please and smile always
ishiqka


Jee rahe hai kaise ye hum hi jaane
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
alpeshp
Registered User
alpeshp is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 13
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 0
Thumbs up 8th November 2002, 06:49 AM

waah waah kya kamaal kaa sher likha hai. hume bahot pasand aaya. kash maut ki tarah woh bhi bewafa naa hoti. lekin yesh "kash" bahot badi cheez hai. ek baat kahunga ki waqt ke sath apna dard aur ghehra mat karna. mein is dard mein itna dub chuka hoo ki ab bahar aane ki koi gunjaish nahi hai.
   
Reply With Quote
Arrrrrr
Old
  (#8)
dil_e_sikast
Nacheej shayra
dil_e_sikast will become famous soon enoughdil_e_sikast will become famous soon enough
 
dil_e_sikast's Avatar
 
Offline
Posts: 557
Join Date: Sep 2002
Location: india(gujarat)
Rep Power: 23
Red face Arrrrrr - 8th November 2002, 07:07 AM

Amanji,
agar ye pehle bataya hota to aap is haal main nahi hote. is haal me nahi hote to aap ye itni pyaari aur dardbhari gazal nahi likhte aur agar ye dardbhari nahi hoti to ham padhte nahi aur agar ham padhte nahi to ham milte nahi aur agar ham milte nahi to aaj bhi ajnabee hote......to jo kuchh hota hai achchhe ke liye hi hota hai. Aur aapne priyaji ko jo likha hai ki "dard ke sath jakhm gehra hota jayega" ye to bilkul galat baat hai, aapne suna nahi hai ki waqt har marj ka ilaz hai. To khuda kare ki aapka jakhm bhi bhar jaye. Han ek baar aur ki hamara naam dil_e_sikast nahi, sanam hai. Thik hai to ab ijajat chahenge.Ummid karte hai ki kahi kisi mod par phir mulakat hogi. Aur apne gam par afsos na kare qki ye gam bahot naseeb walo ko milta hai. aur kisi ne kaha hai ki..

"Meri jindagi par na muskura, muje jindagi ka gam nahi
Jise tere gam se ho wasta, wo sannata bahar se kam nahi"
-sanam


taqdeer ne kya kam sataya hua tha
jo ab ye bewaqt hi tuje satane aa gaye
logo ne nahi dekha apne girebaan main
aur dekho 'sanam' ko aajmane aa gaye
-> SaNaM
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
maut tak ko sabar nahin lachar Shayri-e-Dard 1 12th October 2006 12:36 PM
'Mein Maut Se Nahin Darta...!' Amanush... Shayri-e-Dard 22 5th December 2005 06:33 PM
Hum Bewafa Nahin... mohsin khan Shayri-e-Ishq 0 6th January 2005 04:30 PM
wo bewafa nahin prem_tanha Shayri-e-Dard 12 23rd July 2003 08:11 PM
bewafa hum nahin dost_tera Shayri-e-Dard 0 24th June 2002 05:15 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com