Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Chand ashaar
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Chand ashaar - 10th June 2016, 02:19 PM

Har raat ho rahmat ki shab har maah bhi ramzaan ho
Qayam rahey barso talak sab momin- ul -imaan ho

Aao ibaadat bhi karey sab maghfirat bhi paa sakey
Zeest bhi baad-e-marg sab ka aye khuda aasaan ho

Dil mai ho taqwa- e -khuda tabdeel ho sab ke amal
Har fard par tera musalsal faiz aur ehsaan ho

Be-daar ho sab jo ke terey zaat se munkir rahey
Hamd-o-sana se teri inn ki ek alag pehchaan ho

Ikhlaas se bharpoor ho kirdaar-e-momin aye khuda
Dey jannat- ul -firdaus jo terey liye qurbaan ho

Makhlooq hai hum terey ye zeest bhi nemat hai teri
Hum toh karenge ab ada jo bhi tera farmaan ho
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
10th June 2016, 02:38 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Har raat ho rahmat ki shab har maah bhi ramzaan ho
Qayam rahey barso talak sab momin- ul -imaan ho

Aao ibaadat bhi karey sab maghfirat bhi paa sakey
Zeest bhi baad-e-marg sab ka aye khuda aasaan ho

Dil mai ho taqwa- e -khuda tabdeel ho sab ke amal
Har fard par tera musalsal faiz aur ehsaan ho

Be-daar ho sab jo ke terey zaat se munkir rahey
Hamd-o-sana se teri inn ki ek alag pehchaan ho

Ikhlaas se bharpoor ho kirdaar-e-momin aye khuda
Dey jannat- ul -firdaus jo terey liye qurbaan ho

Makhlooq hai hum terey ye zeest bhi nemat hai teri
Hum toh karenge ab ada jo bhi tera farmaan ho

Ali ji namaskaar...aapke ashiyaar muje poore samaj nahi aaye, haa last wala acchi tarah samaj paaye hu, aapne jo urdu lafz likhe hai unko samaj pana mushkil hai agar aap unke hindi meiN matlab bhi samja de bahut accha lgega.

umeed hai meri baat ka bura nahi lagega balki aap meri baat ko samjogey, yahan main hi nahi mere jaise kai aur na-samaj hai jinko urdu acchi tarah nahi aati...so please


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
10th June 2016, 03:57 PM

Sunita ji maafi chahta hu alfaaz ke matlab dena bhool gaya

Lijiye aapke iss guzarish ko pura karta hu

Shab=night
Momin-ul-imaan= true & faithful muslim
Maghfirat= gunaaho se mukti
Zeest= zindagi
Baad-e-marg= after death
Taqwa-e-khuda=fear of god
Tabdeel=change
Amal=practices
Fard=individual
Musalsal=continous
Faiz=grace
Be-daar=aware
Munkir=nastik/infedil
Hamd-o-sana=praise of God only
Ikhlaas=sincerity/honesty
Kirdaar-e-momin=character of a muslim
Jannat-ul-firdaus= highest place in paradise
Makhlooq=creation here it refers to human being
Nemat=gift
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
Thumbs up 10th June 2016, 08:50 PM


jazakallah
mashaallah tareef ko alfaaz nahen hain mujahid saheb
hamrey dilon ki tarjumanee ker di hey aap ney
Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Har raat ho rahmat ki shab har maah bhi ramzaan ho
Qayam rahey barso talak sab momin- ul -imaan ho

Aao ibaadat bhi karey sab maghfirat bhi paa sakey
Zeest bhi baad-e-marg sab ka aye khuda aasaan ho

Dil mai ho taqwa- e -khuda tabdeel ho sab ke amal
Har fard par tera musalsal faiz aur ehsaan ho

Be-daar ho sab jo ke terey zaat se munkir rahey
Hamd-o-sana se teri inn ki ek alag pehchaan ho

Ikhlaas se bharpoor ho kirdaar-e-momin aye khuda
Dey jannat- ul -firdaus jo terey liye qurbaan ho

Makhlooq hai hum terey ye zeest bhi nemat hai teri
Hum toh karenge ab ada jo bhi tera farmaan ho


sabaa kiyani
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
10th June 2016, 10:55 PM

Shukriya saba ji

Na-cheez ko iss qabil samajhte ka
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com