tarahi gazal - humne kis kis ko -
31st December 2021, 12:05 AM
तरही ग़ज़ल - हबीब जालिब के मिसरे पर कोशिश
इस तरह रब्त बिछड़ के भी बनाए रक्खा
अहद जो कर नहीं पाए वो निभाए रक्खा
तेरी यादों के चराग़ों को जलाए रक्खा
सुब्ह को भी शब-ए-फ़ुरक़त सा सजाए रक्खा
उसको सीने से लगाना भी कोई क़ुरबत थी
हमने ता-उम्र उसे दिल में बसाए रक्खा
चाहे जिसने भी किया क़त’-ए-तअल्लुक़ लेकिन
हमने इल्ज़ाम तो ख़ुद पर ही लगाए रक्खा
गिरह
दिल से निकला ही नहीं उसका तसव्वुर वरना
“हमने किस किस को ख़यालों में बसाए रक्खा” #
# हबीब जालिब का मिसरा
जो रहे ढूँढते इक दूजे के चेहरे में सदा
हमने ज़ाहिर न किया तुमने छुपाए रक्खा
सारे रिश्तों को किया ताज-महल जैसा हसीं
और तह-ख़ाने में जज़्बों को दबाए रक्खा
ज़िंदगी फूल थी सहला के अगर चल देते
तुमने पर बोझ सा काँधे पे उठाए रक्खा
एक ही ख़्वाब था एक उम्र को काफ़ी “ज़र्रा”
जिसकी ताबीर ने हर रात जगाए रक्खा
- ज़र्रा
tarahi gazal - Habeeb Jaalib ke misre par koshish
is tarah rabt bichhaD ke bhi banaae rakkha
ahd jo kar naheen paae vo nibhaae rakkha
teri yaadoN ke charaagoN ko jalaae rakkha
sub’h ko bhi shab-r-furqat sa sajaae rakkha
usko seene se lagaana bhi koi qurbat thi
humne ta-umr use dil mein basaae rakkha
chaahe jisne bhi kiya qat’-e-ta’alluq lekin
humne ilzaam to KHud par hi lagaae rakkha
girah
dil se nikla hi naheen uska tasavvur varna
“humne kis kis ko khayaalon mein basaae rakkha” #
# habeeb jaalib ka misra
jo rahe dhoondhte ik dooje ke chehre mein sada
humne zaahir na kiya tumne chhupaae rakkha
saare rishtoN ko kiya taaj-mahal jaisa haseeN
aur tah-KHaane mein jazboN ko dabaae rakkha
zindagi phool thi sahla ke agar chal dete
tumne par bojh sa kaaNdhe pe uthaae rakkha
ek hi khwaab tha ek umr ko kaafi “zarraa”
jiski taabeer ne har raat jagaae rakkha
- zarraa
maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
|