Fir teri yaad aayi...................... -
27th January 2003, 04:34 PM
Ek aur kavita pesh kar raha hoon,
-----------------------------------------------------------------------------------
Bhatak raha tha beech samandar mein,
door kahin ek kashti nazar aayi.
Aaj fir, mujhe teri yaad aayi.
Barson se sukhi thi yah dharti,
fir se aaj, zoron ki barsaat aayi.
Aaj fir mujhe teri yaad aayi.
Kab se sukhe pade the nayan mere,
Aasuon ne aaj fir, kari inki tarai.
Haan, aaj fir, mujhe teri yaad aayi.
Mera jeevan, ek band kal kothri saa,
Barson baad aaj, suraj ki kiran nazar aayi.
Aaj fir, mujhe teri yaad aayi.
Tumhare saath bitaaye hue un dino ki yaaden,
na jane kab, ho gayi thi mujh se parai.
Wo haseen yaaden, aaj fir se mujhe yaad aayi.
Aaj fir se mujhe teri yaad aayi,
Haan, aaj fir, mujhe teri yaad aayi.
-------------------------------------------------------------------------------------
|