|
|
|
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
Dard Se Pyaar -
21st September 2007, 02:51 PM
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
Sukoon dhoondhte dhoonte ye jaana hai maine
Ab har Raqeeb mera yaar ho gaya hai
Mujhe khushi na dena doston mujhe aadat nahin hai Muskurane ki
"Ehsaas" ko Gammon se pyaar ho gaya hai
|
|
|
|
|
Moderator
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 64
|
21st September 2007, 03:18 PM
Quote:
Originally Posted by Widhani
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
Sukoon dhoondhte dhoonte ye jaana hai maine
Ab har Raqeeb mera yaar ho gaya hai
Mujhe khushi na dena doston mujhe aadat nahin hai Muskurane ki
"Ehsaas" ko Gammon se pyaar ho gaya hai
|
dear amit.........bahut dard bhara likha hai aapne, vaise agar sirf shayri ki baat kareN to bahut khoob hai.....par etna dard accha nahi laga....kush raha karo aur kushi bhara hi likha karo.
dua karti hoon aapko zamane ki har kushi miley
aapki diii
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
.....Sunita Thakur.....
यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
21st September 2007, 03:51 PM
Hi Sunita Di, Thanks a ton for appreciating...
Par badkismati se jitna dard in alfaazon se jhalakta hai usse kahin zyada zakhmi hoon main.. Mian bhi hasna chahta hoon but its not so easy for me..
Ek gaana yaad aata hai...
Zindagi ne zindagi bhar gum diye..
Jitne bhi mausam diye num diye...
Shayad waqt kabhi ye zakhm bhar de....
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 195
Join Date: Mar 2006
Location: in my love's heart
Rep Power: 21
|
nice... -
21st September 2007, 03:58 PM
wah...bhot hi dil ko chu sayi aapki kavita...sachmuch bhot khoobsurat likha h amit..god bless u dear..tc..
@~~**AapKi aNAmIkA**~~@
|
|
|
|
|
Ranjhan bin Adhuri
Offline
Posts: 683
Join Date: Jul 2007
Location: Musafir hu yaaro,na ghar hai na thikana
Rep Power: 23
|
21st September 2007, 07:39 PM
Hello Amit ji
bahut hi pyara likha hai aapne,
ye wali lines to kamaal ki hai ke
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 2,270
Join Date: Jul 2005
Location: New Delhi.(India)
Rep Power: 38
|
21st September 2007, 10:05 PM
Quote:
Originally Posted by Widhani
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
Sukoon dhoondhte dhoonte ye jaana hai maine
Ab har Raqeeb mera yaar ho gaya hai
Mujhe khushi na dena doston mujhe aadat nahin hai Muskurane ki
"Ehsaas" ko Gammon se pyaar ho gaya hai
|
hello ji
Amit ji
aajtak apki shayad hi kisi post ka reply diya ho meine... lekin jitni bhi posts padhi hai sab bahut hi dard bhari hai... per bahut kucch kehti hai apki posts
sacch bahut pasand aayi apki ye rachna mujhe... or mein reply karne se apne ko rok nahi payi...
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
bahut pasand aaya apka ye sher mujhe
bas aise hi likhte rahiye aap... per kabhi kabhi muskura liya kijiye.. apne liye na sahi oron ke liye hi sahi
tc ji
SHWETA
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai
uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai
kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
22nd September 2007, 12:26 PM
Quote:
Originally Posted by aapki_anamika
wah...bhot hi dil ko chu sayi aapki kavita...sachmuch bhot khoobsurat likha h amit..god bless u dear..tc..
|
Yahan aane aur appreciate karne ke liye bahut bahut shukriya Shweta Ji.
Muskurate rahiye...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,254
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 31
|
har kahushi -
22nd September 2007, 07:50 PM
Quote:
Originally Posted by Widhani
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
Sukoon dhoondhte dhoonte ye jaana hai maine
Ab har Raqeeb mera yaar ho gaya hai
Mujhe khushi na dena doston mujhe aadat nahin hai Muskurane ki
"Ehsaas" ko Gammon se pyaar ho gaya hai
|
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 850
Join Date: Nov 2005
Location: mumbai
Rep Power: 23
|
frnd 4 ever -
22nd September 2007, 08:19 PM
Quote:
Originally Posted by Widhani
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
Sukoon dhoondhte dhoonte ye jaana hai maine
Ab har Raqeeb mera yaar ho gaya hai
Mujhe khushi na dena doston mujhe aadat nahin hai Muskurane ki
"Ehsaas" ko Gammon se pyaar ho gaya hai
|
Aadab Amit ji,
kaise hain aap?
AMIT ji aapke khayal,aapke ehsaas,aapke likhne ka andaz,.........
wah kya baat hain,
Amit ji aapki tarif karna hamare bas ke bahar ki baat ho gayi hain,
yakin kijiye,aapka likha ek_ek ashaar kabil tarif hota hain.
apki is nazam NE,,, hamare dil ko chu liya hai.
dilse nikli daad kabul kijiye,
KHUSH RAHIYE,
APNA KHAYAL RAKHIYE,
ALLAH HAFIZ
Apki dost
Sweet HASSONI,
( Badrul HaSSaN ki SoNi )
()""""()()""""()
( ,'o' ) ( ,'o' )
(,) (,) (,) (,)
SoNY _ Badrul HASSAN
forever..
and ever and ever!
**********(¨`·.·´¨) Always *************
`·.¸(¨`·.·´¨) Keep
(¨`·.·´¨)¸.·´ Smiling!
`·.¸.·´
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
23rd September 2007, 12:03 PM
Quote:
Originally Posted by PUNJABAN HEER
Hello Amit ji
bahut hi pyara likha hai aapne,
ye wali lines to kamaal ki hai ke
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
|
Hi Heer Ji,
Sach kahoon to ye lines mujhe bhi kaafi pasand hain. ek aashiq ki daastan yahi hoti hai...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 1,254
Join Date: Jun 2007
Location: Jalandhar
Rep Power: 31
|
Kisi ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta -
23rd September 2007, 12:10 PM
Kisi ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta
Mandiron sey chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik aadh sapna ho to phir accha bhi lagta hay
Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta
Yeh accha hay Kay aapas Kay bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag main zara as khoon shamil kar
Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta
Mujhey aksar sitaron sey yeh awaz aati hay
Kisi Kay hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggar ho jayega chalni yeh ankhein khoon say royengi
Ae dil Befaiz logon sey nibah kar kuch nahi milta
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 465
Join Date: Aug 2007
Rep Power: 19
|
24th September 2007, 12:31 AM
apke dard par main sirf...wah...wah...wah...hi karoongi...kyunki mujhe apko iss halat mein dekhkar ek sukoon milta hai...kyun...aap jante ho...kaash issme koi sacchaii hoti...
..♥♥..Mera Tumhara..kya Rishta hai..kuch bhi Nahi..
Agar kabhi..Gujarta dekho..kya Tum Mujhe..bulaoge..
Shayad Nahi..
Agar jo phir Hum..kabhi na Mile to..
Kya Tum yaad aaogoge..Nahi..
Kiuki..Tum Mere..koi Nahi..
Main janti hun..Magar..
Ho jab Mere koi Nahi..kiu lagte ho Mujhko Paraye nahi....♥♥..
..nm..
...mahuaa...
|
|
|
|
|
a broken shadow...
Offline
Posts: 1,164
Join Date: Mar 2007
Location: london
Rep Power: 21
|
24th September 2007, 05:19 AM
bahut acha likha hai amit ji. dard ko bahut hi achi tarah se bayaan kiya hai aapne. dhua to yehi karenge k aap humesha khush rahe and haste rahe. daad hajir hai janab, kabul kijiye,
aapka dost
manish
Life is filled with goodbyes, a million goodbyes, and it hurts every time....and every time my heart dies a little...
Darkness falls on me like rain... just one drop at a time....
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
24th September 2007, 11:25 AM
Quote:
Originally Posted by kuhulika
hello ji
Amit ji
aajtak apki shayad hi kisi post ka reply diya ho meine... lekin jitni bhi posts padhi hai sab bahut hi dard bhari hai... per bahut kucch kehti hai apki posts
sacch bahut pasand aayi apki ye rachna mujhe... or mein reply karne se apne ko rok nahi payi...
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
bahut pasand aaya apka ye sher mujhe
bas aise hi likhte rahiye aap... per kabhi kabhi muskura liya kijiye.. apne liye na sahi oron ke liye hi sahi
tc ji
|
Hi Kuhulika Ji,
Kehte hain na Khuda ke ghar mein der hai andher nahin. Aap der aaye par durust aaye. :-)
Aapne is "ehsaas" ko apna keemti waqt diya. yakeen mainye bahut achha laga.
Aur jahan tak meri muskurahat ka sawaal hai, kisi din wo kbhi kar guzrunga...
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
24th September 2007, 12:05 PM
Quote:
Originally Posted by silent-tears
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
|
Hi Silent Tears Ji,
Is Baat ka bas itna hi jawab de sakta hoon:
Kisi raat kabhi mere saath, ye haseen anokhi baat ho gayi
Sune the jiski bewafai ke kisse, us zindagi se mulaqat ho gayi.
Maine kaha kyon dost, zamana tumse kyon hara hai
Wo boli maine Ehsaas ko Nahin "Ehsaason” ne mujhko mara hai"
Log kehte hain use bewafa, use badnaam karte hain
Jane kyon ye log zindiagi ki sugaat nahin samjhte hain
Ye nahin karti bewafaai, balki ye duniya iska hi roop hai
Aaina hain ashq karmo ka apne, Har zakhm apna swaroop hai..
Aap bahut achha likhte hain...
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
24th September 2007, 01:28 PM
Quote:
Originally Posted by munfairy
Aadab Amit ji,
kaise hain aap?
AMIT ji aapke khayal,aapke ehsaas,aapke likhne ka andaz,.........
wah kya baat hain,
Amit ji aapki tarif karna hamare bas ke bahar ki baat ho gayi hain,
yakin kijiye,aapka likha ek_ek ashaar kabil tarif hota hain.
apki is nazam NE,,, hamare dil ko chu liya hai.
dilse nikli daad kabul kijiye,
KHUSH RAHIYE,
APNA KHAYAL RAKHIYE,
ALLAH HAFIZ
|
HI Sony Ji,
aap jaise dost itni duayein dete hain ki mujhe kuch ho hi nhain sakta. Main bahut achha hoon Sony Ji. Aur sach maniye ki ab to mujhe bhi aadat ho gayi hia aapke replies ki. Jab tak post par aapki nazar na pade, yakeen maniye, chain nahin aata.
bahut bahut shukriya har baar ki tarah is baar bhi humare jazbaat samajhne ke liye aur pasand karne ke liye.
Aapka dost,
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
24th September 2007, 02:15 PM
Quote:
Originally Posted by silent-tears
Kisi ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta
Mandiron sey chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
|
Sapney aankon mein nahin dil mein saja e-dost
Needon se karke chahat kuch nahin milta
Pal bhar ko roshni apni hasraton mein karle
Mandir mein karke ibadat kuch nahin milta
Quote:
Originally Posted by silent-tears
Koi aik aadh sapna ho to phir accha bhi lagta hay
Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta
|
Khud hi ko karke fanah apni mohabbat jataa use
Uski Sang-dili ki karke shikayat kuch nahin milta
Quote:
Originally Posted by silent-tears
Yeh accha hay Kay aapas Kay bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
|
Azmana hai to azma le pal bhar ko aaj khud ko
Aazmakar doston ki neeyat kuch nahin milta
Quote:
Originally Posted by silent-tears
Amal ki sookhti rag main zara as khoon shamil kar
Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta
|
Berang zindagi ko aaj apne lahoo se rangeen karle
Fakat indradhanush ki hasrat... kuch nahin milta
Quote:
Originally Posted by silent-tears
Mujhey aksar sitaron sey yeh awaz aati hay
Kisi Kay hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta
|
Sitare to aate hi hain andhera hone ke baad
Karke aansuon pe inayat kuch nahin milta
Quote:
Originally Posted by silent-tears
Jiggar ho jayega chalni yeh ankhein khoon say royengi
Ae dil Befaiz logon sey nibah kar kuch nahi milta
|
Bewafaiyan bhi aayengi ruswaiyan bhi hongi
Par karke aashiqi se nafrat kuch nhain milta
Tohfa hai ye zindagi teri maa ka tujhpe
Isse kehkar qayamat kuch nahin mlita...
Kaash yahi baat main khud ko bhi samjha paata
To jeena mere liye bhi thoda asaan hota
Aaj meri jebon mein kaash
Meri maut ka samaan na hota
Fakat marne ke intzaar mein zindagi na katti meri
Apni muskurahaton par main khud hairaan na hota
Aaj meri Jebon mein kaash
Meri Maut ka samaan na hota...
Aaj meri Jebon mein kaash
Meri Maut ka samaan na hota...
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
24th September 2007, 02:22 PM
Quote:
Originally Posted by Mahuaa
apke dard par main sirf...wah...wah...wah...hi karoongi...kyunki mujhe apko iss halat mein dekhkar ek sukoon milta hai...kyun...aap jante ho...kaash issme koi sacchaii hoti...
|
Hi Mahuaa Ji,
Main ye achhe se janta hoon ki mere dard par aap sirf wah...wah.. hi karengi aur yakeen maniye main bhi khuda se yahi dua karunga ki aapki ye wah wahi aur mera dard, dono kabhi khatam na ho.
|
|
|
|
|
Zakhm-e-Rooh
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 34
|
hi -
24th September 2007, 02:25 PM
Quote:
Originally Posted by Widhani
Koi shikayat nahin koi ranjish nahin
Na hi koi gila ya shikwa hai ab
Har Wo zakhm jo usne ne diya tha kabhi
Wo dard bhi achha lagta hai jab
Mujhe dawa na dena zakhm nasoor hain mere
Dawa se har zakhm aur Sulagne laga hai
Kuch de sako to maut ki duayein de do
Mujhe Zindagi se darr lagne laga hai
Sukoon dhoondhte dhoonte ye jaana hai maine
Ab har Raqeeb mera yaar ho gaya hai
Mujhe khushi na dena doston mujhe aadat nahin hai Muskurane ki
"Ehsaas" ko Gammon se pyaar ho gaya hai
|
hamesha ki tarah is bar bhi tumne kamaal kar diyaa amit, jabardast ahsaah hai tumhaare dard kaa izhaar karte hue. bahut khoob.....................................
dil se dad kabool karna,yunhee likhate rehna.
regards
manu
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 465
Join Date: Aug 2007
Rep Power: 19
|
24th September 2007, 07:09 PM
Quote:
Originally Posted by Widhani
Hi Mahuaa Ji,
Main ye achhe se janta hoon ki mere dard par aap sirf wah...wah.. hi karengi aur yakeen maniye main bhi khuda se yahi dua karunga ki aapki ye wah wahi aur mera dard, dono kabhi khatam na ho.
|
ab apka kin shabdo mein shukriya ada karun...apki yahi duaye to jeene ka hausla deti hai...ummeed hai ki aap taumar mujhe yun hi khushiyan dete rahenge...chahe kuch bhi ho...or ha...jab tak aap hai...or main hun...iss zameen par...tab tak main bhi yahi dua karungi ki mujhe yun hi dhair sari khushiyan milti rahe...thnx a lot...
..♥♥..Mera Tumhara..kya Rishta hai..kuch bhi Nahi..
Agar kabhi..Gujarta dekho..kya Tum Mujhe..bulaoge..
Shayad Nahi..
Agar jo phir Hum..kabhi na Mile to..
Kya Tum yaad aaogoge..Nahi..
Kiuki..Tum Mere..koi Nahi..
Main janti hun..Magar..
Ho jab Mere koi Nahi..kiu lagte ho Mujhko Paraye nahi....♥♥..
..nm..
...mahuaa...
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
25th September 2007, 09:58 AM
Quote:
Originally Posted by musafir ek pal
bahut acha likha hai amit ji. dard ko bahut hi achi tarah se bayaan kiya hai aapne. dhua to yehi karenge k aap humesha khush rahe and haste rahe. daad hajir hai janab, kabul kijiye,
aapka dost
manish
|
Thanks a lot for Appreciating Manish Ji. Dard hai,,, jhalakta rahega...
Thanks,
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
27th September 2007, 11:34 AM
Quote:
Originally Posted by Mahuaa
ab apka kin shabdo mein shukriya ada karun...apki yahi duaye to jeene ka hausla deti hai...ummeed hai ki aap taumar mujhe yun hi khushiyan dete rahenge...chahe kuch bhi ho...or ha...jab tak aap hai...or main hun...iss zameen par...tab tak main bhi yahi dua karungi ki mujhe yun hi dhair sari khushiyan milti rahe...thnx a lot...
|
Hi Mahuaa Ji,
Mujhe nahin pata tha kio meri koi bhi baat kisi ko jeene ka hausla bhi de sakti hai par ab jab ye ho hi gaya hai, to main samjhoonga ki meri zindagi poori tarah se bekaar nahin gayi...
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 16
Join Date: Aug 2007
Rep Power: 0
|
27th September 2007, 07:41 PM
Amit ji namaskar
aapke alfazo me aapka dard chalkata hai aap bhaut hee acha likhte hai aapko padh kar bhaut accha laga khuda aapko sakun de
|
|
|
|
|
Registered User
Offline
Posts: 465
Join Date: Aug 2007
Rep Power: 19
|
thnx... -
28th September 2007, 12:09 PM
Quote:
Originally Posted by Widhani
Hi Mahuaa Ji,
Mujhe nahin pata tha kio meri koi bhi baat kisi ko jeene ka hausla bhi de sakti hai par ab jab ye ho hi gaya hai, to main samjhoonga ki meri zindagi poori tarah se bekaar nahin gayi...
|
hello Amit ji...
apki zindgi kabhi yun hi zaya ho hi nahi sakti...aisa apko lagta hoga...ki apki zindgi kisi ke kaam ki nahi...lekin shayad apko ye nahi pata ki har shakhsh ki zindgi kisi na kisi ke liye uski zindgi se bhi jiyada mayne rakhti hai...khair...
shukriya apka...ki apne mere liye duaye ki...
apna khyal rakhiye...
..♥♥..Mera Tumhara..kya Rishta hai..kuch bhi Nahi..
Agar kabhi..Gujarta dekho..kya Tum Mujhe..bulaoge..
Shayad Nahi..
Agar jo phir Hum..kabhi na Mile to..
Kya Tum yaad aaogoge..Nahi..
Kiuki..Tum Mere..koi Nahi..
Main janti hun..Magar..
Ho jab Mere koi Nahi..kiu lagte ho Mujhko Paraye nahi....♥♥..
..nm..
...mahuaa...
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
28th September 2007, 01:54 PM
Quote:
Originally Posted by acharya_mj
hamesha ki tarah is bar bhi tumne kamaal kar diyaa amit, jabardast ahsaah hai tumhaare dard kaa izhaar karte hue. bahut khoob.....................................
dil se dad kabool karna,yunhee likhate rehna.
regards
manu
|
Hi Manu Ji,
hamesha ki tarah is baar bhi mera saath dene ke liye tahe dil se shukriya dost. Milte rahna.
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
28th September 2007, 04:27 PM
Quote:
Originally Posted by Mahuaa
hello Amit ji...
apki zindgi kabhi yun hi zaya ho hi nahi sakti...aisa apko lagta hoga...ki apki zindgi kisi ke kaam ki nahi...lekin shayad apko ye nahi pata ki har shakhsh ki zindgi kisi na kisi ke liye uski zindgi se bhi jiyada mayne rakhti hai...khair...
shukriya apka...ki apne mere liye duaye ki...
apna khyal rakhiye...
|
"Apna Khayal Rakhiye"
Kitne paraya lagte hain ye alfaaz aapke muh se.. Aapki isi nazakat par kaha hoon...
Subah Shaam meri Maut ki Ibadat karte Wali
Aaj meri salamati ki baat karti hain
Unhe dilruba kahoon apni ya raqeeb hai wo meri
Apna khayal rakhne ko kehti hai
|
|
|
|
|
Couldn't Care Less
Offline
Posts: 2,652
Join Date: Mar 2007
Location: Delhi
Rep Power: 30
|
30th September 2007, 05:35 PM
Quote:
Originally Posted by Tanah Safar
Amit ji namaskar
aapke alfazo me aapka dard chalkata hai aap bhaut hee acha likhte hai aapko padh kar bhaut accha laga khuda aapko sakun de
|
Hi Tanah Safar Ji,
Main aapke baare mein zyada to nahin janta par yahan aakar mujhe aur achha likhne ke liye prerit karne ke liye bahut bahut dhanyavaad..
Aapka dost...
|
|
|
Thread Tools |
|
Display Modes |
Rate This Thread |
Linear Mode
|
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
Powered by vBulletin® Version 3.8.5 Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com
|
|