Mehfil ko nacheez ka Salam -
15th July 2009, 11:52 AM
Salam Ailukum, Namashkar aur Sat Sri Akal aap sabhi ko.
Doston mera naam Shyam hai aur jumma jumma kuch din hua ki likhna shuru kiya hai. Aapke site pe shayad teen saal se visit karta raha magar jaisa ke kehta hain k waqt se pehle..... Main professional copywriting karta tha magar sabun tel bech kar pet to bhar jata hai lekin ji nahi bharta tha. Sher O Shayri padhna bahot achha lagta tha aur muktalif logon ki hazaron soch, falsfay, Jazbaat bhi mehsus karne ka mauqa mila aap ki site pe. Thodi himmat juta kar main bhi koshish kar raha hun chand zyati khayalat pesh karne ki. Iltiza hain k padhiyega zaroor aur apne suggestion/comments/criticism bhi bhejiyega taki behtari ki or badh sakun. Jo thoda bahot likha hai woh "Aapki Shayri" aur "Ghazal" forum mein hai. Tawajjo ka muntazir rahunga.
Aap sab ka Shukriya
Shyam Singh
Last edited by naadaan; 15th July 2009 at 11:54 AM..
|