Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Wada raha
Old
  (#1)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
Love Wada raha - 18th January 2015, 02:37 PM

Kisi duniya me fir se mil jane ka wada raha
Tuti kasmeen fir se nibhane ka wada raha

Cheen paye na muzhse kisi mazhab ka koi khuda tuzhe
Aali is kadar khud ko banane ka wada raha.

Teri kashmakash teri aankhoon se bayaN hoti hai
Haal-e-dil apna bhi sunane ka wada raha

Sirhana gale laga k roya hai tu maloom hai
Ek-umr tuzhe sine se lagane ka wada raha

Bewafa nahi ke tuzhse door rah ke zinda hooN
Tinka tinka tere gum me jal jane ka wada raha

ShararateeN meri yaad kar ke tu rona nahi
Jee bhar ke tuzhe is baar satane ka wada raha

Pyar ka ghar basane ki jagah kahaN is duniya me
KahiN aur apni jannat basane ka wada raha

Fana ho jay Bhushan, har baar tere ishk me
Tere ishk me har baar mit jane ka wada raha

Bhushan Joshi



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
18th January 2015, 03:18 PM

Waah....behatareen...
Bahut khoob bhushan ji...sabhi sher bahut hi achche. ..



अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sagar Aashna
Registered User
Sagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of lightSagar Aashna is a glorious beacon of light
 
Sagar Aashna's Avatar
 
Offline
Posts: 410
Join Date: Nov 2014
Location: Jammu, J&K.
Rep Power: 14
18th January 2015, 08:11 PM

Bhushan Ji,

Behtareen ghazal huyii hai jenab.
Bohot baRhiya. daad he daad..!

Regards


Sagar Aashna
****************
Qaul thae ke 'Sagar' milengae kal magar
Taareeki musalsal hai, savera nahii hota
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
19th January 2015, 11:36 AM

Bewafa nahi ke tuzhse door rah ke zinda hooN
Tinka tinka tere gum me jal jane ka wada raha

ShararateeN meri yaad kar ke tu rona nahi
Jee bhar ke tuzhe is baar satane ka wada raha

Pyar ka ghar basane ki jagah kahaN is duniya me
KahiN aur apni jannat basane ka wada raha


bahot khoob peshkash bhushan bhai................... likhte rahiye


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
19th January 2015, 05:03 PM

Quote:
Originally Posted by Madhu 14 View Post
Waah....behatareen...
Bahut khoob bhushan ji...sabhi sher bahut hi achche. ..
Madhu ji namaste...

Aapki housala afzahi ka tahe dil se shukriya...
Karam banaye rakhiyega

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
19th January 2015, 05:06 PM

Quote:
Originally Posted by Sagar Aashna View Post
Bhushan Ji,

Behtareen ghazal huyii hai jenab.
Bohot baRhiya. daad he daad..!

Regards
Sagar ji namaste..

Aapki daad sar ankhon pee......zarranawazi ka bohot bohot shukriya.......karam banaye rakhiyega

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
19th January 2015, 05:08 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Bewafa nahi ke tuzhse door rah ke zinda hooN
Tinka tinka tere gum me jal jane ka wada raha

ShararateeN meri yaad kar ke tu rona nahi
Jee bhar ke tuzhe is baar satane ka wada raha

Pyar ka ghar basane ki jagah kahaN is duniya me
KahiN aur apni jannat basane ka wada raha


bahot khoob peshkash bhushan bhai................... likhte rahiye

Shaad bhai adaab

Housala afzahi ka tahe dil se shukriya......

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
20th January 2015, 10:20 AM

Bhusan bhai

Namaste

Khoob Ghazal likhi hay aapne...dil se daad...yuunhi bazm ki shaan ko badhaate rahiye

Aapka

Dhaval


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
20th January 2015, 05:30 PM

Quote:
Originally Posted by bhushan View Post
Kisi duniya me fir se mil jane ka wada raha
Tuti kasmeen fir se nibhane ka wada raha

Cheen paye na muzhse kisi mazhab ka koi khuda tuzhe
Aali is kadar khud ko banane ka wada raha.

Teri kashmakash teri aankhoon se bayaN hoti hai
Haal-e-dil apna bhi sunane ka wada raha

Sirhana gale laga k roya hai tu maloom hai
Ek-umr tuzhe sine se lagane ka wada raha

Bewafa nahi ke tuzhse door rah ke zinda hooN
Tinka tinka tere gum me jal jane ka wada raha

ShararateeN meri yaad kar ke tu rona nahi
Jee bhar ke tuzhe is baar satane ka wada raha

Pyar ka ghar basane ki jagah kahaN is duniya me
KahiN aur apni jannat basane ka wada raha

Fana ho jay Bhushan, har baar tere ishk me
Tere ishk me har baar mit jane ka wada raha

Bhushan Joshi
Subhanallah Bhushan bhai - ab to hum aapke fan ho gaye..

kaatilaana andaaz mein dard-e-jigar bayaan kiya hai aapne..aapki is ghazal par ek sher kehne ko majboor hooN..gustakhi maauf kijiyeGaa


zakhm gehre hai khabhar hai yeh shehar bhar mein
tere shehar mein phir mar jaane ka wada raha

yunHi likhte rahiYeGaa



Qasid


___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#10)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
20th January 2015, 10:53 PM

Quote:
Originally Posted by Dhaval View Post
Bhusan bhai

Namaste

Khoob Ghazal likhi hay aapne...dil se daad...yuunhi bazm ki shaan ko badhaate rahiye

Aapka

Dhaval

Dhaval bhai namaste

Aapne is peshkash ko itni tavajjo di ye meri khushnasibi hai........housala afzahi ka tahe dil se shukriya..

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
bhushan
Registered User
bhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the roughbhushan is a jewel in the rough
 
Offline
Posts: 554
Join Date: Nov 2014
Rep Power: 13
21st January 2015, 04:49 AM

Quote:
Originally Posted by mast View Post
Subhanallah Bhushan bhai - ab to hum aapke fan ho gaye..

kaatilaana andaaz mein dard-e-jigar bayaan kiya hai aapne..aapki is ghazal par ek sher kehne ko majboor hooN..gustakhi maauf kijiyeGaa


zakhm gehre hai khabhar hai yeh shehar bhar mein
tere shehar mein phir mar jaane ka wada raha

yunHi likhte rahiYeGaa
Mast ji namaste

Aapki dwriyadili our zarranawasi hai Mast bhai.....wqrna khaksaar ki itni aukat nahi

Daad sar ankon par.....housala afzahi ka bohot bohot shukriya Mast bhai

Aapka apna
Bhushan



Bhushan Joshi
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com