Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
"Ye Adaavat Kaisi"
Old
  (#1)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
"Ye Adaavat Kaisi" - 28th February 2011, 01:11 PM

Mohabbat ki mehfilm ko Aadaab-o-taslimaat,

Kuch naazuk ashaar aap sab ke nazar kar rahaa huuN. Parakhiyega zaruur, aur apni rai se waqif bhi zaruur karwaiyega. Arz kiya hai.....

SaaNsoN meiN na dhal jaye wo rafaaqat kaisi,
Nigah-e-hasrat se na pighal jaye wo nazaaqat kaisi?
Rafaaqat=pyaar, dosti, love

Ruuthkar aagosh meiN simat jaye shokh badan,
Shaane pe sar jhukakar na kiya jo, wo shikayat kaisi?

“Ummid hai bura nahi maaneNge aap” kehte haiN,
Har baar hameN qatl karne ki magar, ye ijaazat kaisi?

Bataur sabuut apni wafaa ka, ta’aruf karwaaya,
Raqiib ko ‘Asalaam’ kehna pa.Daa! ye sharaarat kaisi?

Arsey ki muraad hui puri jab niqaab uthaaya,
Diid-e-raghbat jhuka liiN hamne, ye nadaamat kaisi?
Diid-e-raghbat= eyes full of strong desire
Nadammat=the shame or guilt of sin


Wo jiine nahi dete, hameN marna na manzuur,
Zindagi aur bandagi ki ae “naadaan”, ye adaavat kaisi?
Adaavat=Dushmani, enemity

Aap ki rai ka muntazir,
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला

Last edited by naadaan; 28th February 2011 at 01:17 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
2nd March 2011, 10:46 AM

“Ummid hai bura nahi maaneNge aap” kehte haiN,
Har baar hameN qatl karne ki magar, ye ijaazat kaisi?

Bataur sabuut apni wafaa ka, ta’aruf karwaaya,
Raqiib ko ‘Asalaam’ kehna pa.Daa! ye sharaarat kaisi?


BOHAT KHOOB...............SUPERB!!!!!!




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
4th March 2011, 10:41 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
“Ummid hai bura nahi maaneNge aap” kehte haiN,
Har baar hameN qatl karne ki magar, ye ijaazat kaisi?

Bataur sabuut apni wafaa ka, ta’aruf karwaaya,
Raqiib ko ‘Asalaam’ kehna pa.Daa! ye sharaarat kaisi?


BOHAT KHOOB...............SUPERB!!!!!!
Zainy Ji Aadaab,

Zarra nawaazi aapki jo aapne mere ashaar pe nazar daali. Aapki saraahna ke liye tah-e-dil se shukraguzaar huuN. Apna saath banaye rakhiyega.

Khush rahiye,
Allah Hafez
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
naresh_mehra110
Anshumali
naresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.comnaresh_mehra110 is the among the best Shayars at Shayri.com
 
naresh_mehra110's Avatar
 
Offline
Posts: 7,420
Join Date: Apr 2009
Location: DELHI (INDIA)
Rep Power: 86
4th March 2011, 10:08 PM

Shyam Ji !

Aadaab !!


“Ummid hai bura nahi maaneNge aap” kehte haiN,
Har baar hameN qatl karne ki magar, ye ijaazat kaisi?

Good One .............

Bahut dilkash ghazal likhi hai aapne ... tahe dil se daad hazir hai ... !

aise hi likhte rahen ... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !




YuuN Besabab Aansoo Aate NahiN
Lag Zaroor Koii Baat Dil Ko Rahii Hai ...

Fareb Kaa ChaDhtaa Bazaar Dekh
Insaaf Se Bastii Khaalii Ho Rahii Hai ...


---Naresh Mehra----
  Send a message via Yahoo to naresh_mehra110  
Reply With Quote
Dilchasp!...Boht Dilchasp!
Old
  (#5)
EnigmA
Registered User
EnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to beholdEnigmA is a splendid one to behold
 
EnigmA's Avatar
 
Offline
Posts: 199
Join Date: Oct 2010
Rep Power: 21
Dilchasp!...Boht Dilchasp! - 5th March 2011, 01:21 AM

Adaab Janab "Nadaan" Sahab!

Aapki bazm mein pehli baar aamad hui, aur janab it will be an understatement to say I'm impressed. Ek be-inteha dilchasp ghazl ki nawazish ka shukriya. Ek ek shair perker bebaak dil se waah nikalti gayeee! Dua hai rab se, ho Zor -e-Qalm ar bhi Zyada!
Khush Rahein!


EnigmA
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
5th March 2011, 05:54 PM

Quote:
Originally Posted by naresh_mehra110 View Post
Shyam Ji !

Aadaab !!


“Ummid hai bura nahi maaneNge aap” kehte haiN,
Har baar hameN qatl karne ki magar, ye ijaazat kaisi?

Good One .............

Bahut dilkash ghazal likhi hai aapne ... tahe dil se daad hazir hai ... !

aise hi likhte rahen ... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !
Naresh Bhai, Aadaab.
Aap ki daad sar aaNkhon par janaab. Aapke waqt aur sarahna ke liye tah-e-dil se shukraguzaar thehra. Apna saath banaye rakhiyega.

Khush rahiye
Duaago
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sameer'shaad'
~$uper M0der@tor~
sameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.comsameer'shaad' is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sameer'shaad''s Avatar
 
Offline
Posts: 8,417
Join Date: Feb 2006
Rep Power: 61
5th March 2011, 10:00 PM

Quote:
Originally Posted by naadaan View Post



Ruuthkar aagosh meiN simat jaye shokh badan,
Shaane pe sar jhukakar na kiya jo, wo shikayat kaisi?

Arsey ki muraad hui puri jab niqaab uthaaya,
Diid-e-raghbat jhuka liiN hamne, ye nadaamat kaisi?

Wo jiine nahi dete, hameN marna na manzuur,
Zindagi aur bandagi ki ae “naadaan”, ye adaavat kaisi?

Aap ki rai ka muntazir,
Naadaan

Intzaar khatam Naadaan.... Aapki is rachna ko padh kar bina reply kiye nahi rahaa gayaa... ye upar mentioned chand sheroN ne dil loot liyaa... Jis khuubsurti se aapne alfaazon ka sahaara lekar ishq ke ehsaason aur darde-dil ki shiddat ko bayaaN kiyaa hai wo yaqinan qaabile-tareef hai... Meri Daad qabool karen.... Likhte raheN.

shaad...


Shaad...
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
6th March 2011, 09:42 AM

Quote:
Originally Posted by EnigmA View Post
Adaab Janab "Nadaan" Sahab!

Aapki bazm mein pehli baar aamad hui, aur janab it will be an understatement to say I'm impressed. Ek be-inteha dilchasp ghazl ki nawazish ka shukriya. Ek ek shair perker bebaak dil se waah nikalti gayeee! Dua hai rab se, ho Zor -e-Qalm ar bhi Zyada!
Khush Rahein!
Janaab Enigma Saheb, Aadaab,
SDC ki mehfil ki yehi khuubsurti hai. There's a veritable buffet on offer! Take your pick. Aapne apnaa kimati waqt khaksaar ke ashaar ko diya or saraaha bhi, aapki inaayat hai janaab. Aap ki daad ke liye ham shukraguzaar thehre. Ab jab ta'aruf aur rafta dono hi ho gayeN haiN, to aaiNda bhi aap ke saath ki ummid rahegi.

Apna khayaal rakhiyega,
Khush rahiye
Allah Hafez
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
naadaan
Registered User
naadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud ofnaadaan has much to be proud of
 
naadaan's Avatar
 
Offline
Posts: 567
Join Date: Jul 2009
Location: Dubai
Rep Power: 29
9th March 2011, 04:40 PM

Quote:
Originally Posted by sameer'shaad' View Post
Intzaar khatam Naadaan.... Aapki is rachna ko padh kar bina reply kiye nahi rahaa gayaa... ye upar mentioned chand sheroN ne dil loot liyaa... Jis khuubsurti se aapne alfaazon ka sahaara lekar ishq ke ehsaason aur darde-dil ki shiddat ko bayaaN kiyaa hai wo yaqinan qaabile-tareef hai... Meri Daad qabool karen.... Likhte raheN.

shaad...
Sameer Bhai ASW,

Apni bazm meiN aapki shirqat par nihayat hi khushi hui. Aapki daad sar aaNkhoN par janaab. Hausla afzaai ka aapka andaaz bhi Mashallah niraala hi hai!

AaiNda bhi aap ki tawajjo ka talabgaar rahuNga.

Aap ke waqt ke liye shukriya.

Apna khayaal rakhiyega,
Duaago
Naadaan


"Wo kaun hai jinhe tauba ki mil gai fursat,
HumeN gunah bhi karne ko zindagi kam hai."
-Anand Narayan Mulla.

वो कौन है जिन्हें तौबा की मिल गई फुरसत,
हमें गुनाह भी करने को ज़िंदगी कम है.
-आनंद नारायण मुल्ला
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com