Jafa ke baad wafa karna achha lagta hai -
31st May 2021, 05:06 PM
Ghazal
Jafa ke baad wafa karna achha lagta hai
Wafa ke baad jafa karna sasta lagta hai l
Junune ishq men ho jata hai fana insaan
Irada had se guzarne ka pakka lagta hai l
Mehek rahi hai fiza bhini bhini khushbu se
Eh rasta baag men jane ka rasta lagta hai l
Khushi se kar rahe hain log har jagah tareef
Hamare dor ka aaghaaz sachha lagta hai l
Hamare shehr ki mitti ki eh hi hai taseer
Ehan to koi paraya bhi apna lagta hai l
Eh hi tariqa hai koshish karo badho aage
Han kamyab na hone se dhakka lagta hai l
Jahan saliqe se rishta nibhaya jata hai
kisi ke dil ko nahin koi sadma lagta hai l
Taqaza karte nahin ke oh hamko yaad karen
Han rooth jate hain apne to jhatka lagta hai l
Khayal bhai behen ka oh rakhta hai parwaaz
Jo nek aur samajhdar ladka lagta hai l
By Mujeeb Parwaaz
|