Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal
Old
  (#1)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal - 20th June 2005, 10:55 PM

DostoN
ek baar phir humaara pyaar bhara Aadaab kubool kareN

Aaj hum apna dard laayeN haiN aap sab ke saath baantne ke liye.... ye ghazal us waqt kahee thi jab dil dard se behaal ho chukaa tha, ye ek eysi ghazal thi ki jisko sirf aur sirf jazbaat ne kaagaz pe utaara tha........


yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa haiy
mere humdam mujhe bata tujhe huva kyaa haiy

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy

mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy

meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy


Aap sabhi ki aaraa ka intezaar rahega....................

Safiya...
   
Reply With Quote
Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal
Old
  (#2)
Rohin
Registered User
Rohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to beholdRohin is a splendid one to behold
 
Rohin's Avatar
 
Offline
Posts: 3,937
Join Date: Dec 2003
Rep Power: 32
Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal - 20th June 2005, 11:02 PM

yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa haiy
mere humdam mujhe bata tujhe huva kyaa haiy

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy


hai....

mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy


hmmm.....

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy


Bahut khoob....

meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy


Kya baat hai....

Hi Aapa,

Kaise hain aap..... umeed hain aaram farma rahi hongi .....
Aapka yeh dard padhkar gmagin ho gaya hoon mein....
Magar ek baat jaroor kahoonga.... dard chupana bhi khoob jaanti hain aap....

Apna khayal rakhiyega....

Shukriya
Rohin


http://www.thoughtsunbound.com a place for my thoughts
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Amanush...
Tanhaa Raahi
Amanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.comAmanush... is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Amanush...'s Avatar
 
Offline
Posts: 3,700
Join Date: Oct 2003
Rep Power: 54
20th June 2005, 11:20 PM

Ye Ghazal to bahout hi pyaara hai...Safiya ji!

Shukriya

Danny..,


Jeene ke liye mujhe ek sapna dedo
Haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

  Send a message via Yahoo to Amanush... Send a message via MSN to Amanush...  
Reply With Quote
Old
  (#4)
Parastaar
Registered User
Parastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of lightParastaar is a glorious beacon of light
 
Parastaar's Avatar
 
Offline
Posts: 2,814
Join Date: Nov 2003
Rep Power: 27
21st June 2005, 06:08 AM

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

Uff....Safiya jee...

padhte padhte aapki bebaaqi pe naaz ho chala...laga ki saafiya ne kaha...'hey buddy enough is enough! tum apna kaho, tumhari kya aukaat hai...' sach bahut achha laga padhkar...wahi josh, wahi himmat...meri daad kabool kijieyga...bahut der se intezzar thaa apke kalaam ka...

aur tabiyat kaisee hai ab...apna khayal bhi rakhieyga...

beshumaar duaaon ke saath...paras


nayi ruton mein wo kuchh aur qareeb aaye
gayi ruton ka sulagataa sa intezaar bhii ho

mere khuloos kaa andaaz ye bhii sachhaa hai
rakhuun na rabt magar dostii shumaar bhii ho

--Sayyidaa Fatimaa Hasan
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
21st June 2005, 11:48 AM

Safiya Sahiba... Adaab,


Vaade ke mutaabik haazir hoon !!

Beshak ek dilkash, pur-asar kaavish pesh ki hai aapne. Meri jaanib se aap daad kubool farmaiye. Jo ashaar zyada pasand aaye woh yeh hain..

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy

meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy

aur ik baat hai dil mein gar giraaN na guzre tau kehne ki jurrat karta hoon. iss ek sher ke doosre misre mein gar lafzoN ko her pher kiya jaaye to kaisa rahega..

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

yahaN kiss'se ka (s) aur sar-e-mehfil ka (s)..collide nahi ho raha..?

ise agar yuuN kahe tau..

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
sar-e-mehfil mere kiss`se, uchaaltaa kyaa haiy

yeh sirf mera nazariya ho sakta hai, baad isske aap zyaada behtar jaanti hai, Gustakhi mauf..


Ta- Gor Tumhara

Talib.
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#6)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
21st June 2005, 12:00 PM

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy


Safiya ji,,...

kafi dinoN bad aapko padh raha huN .. wakai aapki kalam ka jadoo barkaraar hai ... accha laga ye ehsaas bhi .. par kahiN kahiN kalaam ki rythm toot-ti si nazar aayi... jis tarah Talib ji ne yahaN correct kiya.. par jazbati nazar se dekha jaye to ek pur asar aur pu soz kalaam ..

aapka apna

kunal


KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#7)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
21st June 2005, 03:01 PM

yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa haiy
mere humdam mujhe bata tujhe huva kyaa haiy

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy

Waaaaaaahhh... Bahut khoob!


mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy

WaaaaaaaH... bahut khoob bayaan kiya hai yahaan... Loved it!


meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy

Waaaaah Waahh Waaah... Really well said!!


meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy

WaaaaaH!

Dear Safiya!

Ek aur behad asardaar aur behad khoobsurat ghazal likhne aur humaare beech laane ke liye meri daad kubool kijiyega...Bahut hi khoobsurati se bayaan kiye hain aapne apne ehsaas... Humesha ki tarah aapko padh behad khushi hui... Iase hi likhti rahiye...Mehfil sajaati rahiye...

Apna khayal bhi rakhiyega.. TC


Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#8)
sajidishaq
Guest
 
Posts: n/a
21st June 2005, 06:06 PM

HI

KAISEY HO AAP.MUGHEY AAP KI SHAYREEE BOHT ACHEE LAGEEE.PLS AGAR BURA NAN LAGAY TU KOI KARAKTI KARAKT GHAZAL SEND KAR MUGHEY.MAIN SAD GHAZALS BOHT PASAND KARTA HOON.

THNKS

SAJID
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sukanya
Registered User
sukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the roughsukanya is a jewel in the rough
 
sukanya's Avatar
 
Offline
Posts: 1,239
Join Date: Jul 2004
Location: India
Rep Power: 0
21st June 2005, 09:01 PM

Namaskar Safiya ji

Duusri baar aapko padha.........bahut acha likhti hain Aap........aapki yeh ghazal dil ko chuu gayi

mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy


Mere daad kabul kijeyga
sada kush raho
   
Reply With Quote
Re: Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal
Old
  (#10)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
Re: Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal - 21st June 2005, 09:54 PM

Quote:
Originally posted by Rohin
yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa haiy
mere humdam mujhe bata tujhe huva kyaa haiy

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy


hai....

mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy


hmmm.....

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy


Bahut khoob....

meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy


Kya baat hai....

Hi Aapa,

Kaise hain aap..... umeed hain aaram farma rahi hongi .....
Aapka yeh dard padhkar gmagin ho gaya hoon mein....
Magar ek baat jaroor kahoonga.... dard chupana bhi khoob jaanti hain aap....

Apna khayal rakhiyega....

Shukriya
Rohin
Rohin bhai,

Adaab, aap sunaayeN aap keyseN haiN? hum to aapki duaa se ab behter haiN pehle se, haaN magar aaraam aur parhez abhi aur 6 maheena chalega, kheyr ye waqt bhi guzar hi jaayega aapki duaaOn ke sahaare.

Aap humaara dard paRkar ghumgeen ho gaye aur bas humaara dard batt kar kam ho gayaa, dard agar chupaana naa aaye to vo insaan ko kamzarf banaa deta haiy isiliye hum apne dard ko in ghazaloN ke peeche chipaa deteN haiN. ghazal ko pasand karne ke liye bohot bohot shukriya. aapki raay humaare liye bohot keemti haiy.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
21st June 2005, 09:56 PM

Quote:
Originally posted by Amanush...
Ye Ghazal to bahout hi pyaara hai...Safiya ji!

Shukriya

Danny..,
Danny sahab,

aapko ghazal pasand aayii, bas aur kya chahiye !!

taareef ke liye bohot shukriya...................

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
21st June 2005, 10:04 PM

Quote:
Originally posted by Parastaar
mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

Uff....Safiya jee...

padhte padhte aapki bebaaqi pe naaz ho chala...laga ki saafiya ne kaha...'hey buddy enough is enough! tum apna kaho, tumhari kya aukaat hai...' sach bahut achha laga padhkar...wahi josh, wahi himmat...meri daad kabool kijieyga...bahut der se intezzar thaa apke kalaam ka...

aur tabiyat kaisee hai ab...apna khayal bhi rakhieyga...

beshumaar duaaon ke saath...paras

Pyaari pyaari Paras,

Aaj kal kahaaN hoti ho, na koee pm , na call ??

kabhi kabhi Paras insaan thak kar bebaak hone par majboor ho jaataa haiy, jab koee bewafa aapki wafaOn ko naa pehchaan kar ultaa app hi se baar baar jawaab talab karta haiy to dil bebaak ho kar yehi poochta haiy ki, mujh par ungli uthaane waale , ek baar to apne girebaaN me jhaaNk kar dekh!

hume bhi aapke dil-kash andaaz-e-bayaaN par naaz haiy, taareef ke liye ye dil aapka mamnoon haiy. aap humesha hi baRe pyaare se andaaz me, himmat-afzaaii kartiN haiN, aur hum khuda ka shukr adaa karteN haiN ki unhone hume aap jeyse dostoN se nawaaza.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
21st June 2005, 10:35 PM

Quote:
Originally posted by sacccha_pyar
yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy


Safiya ji,,...

kafi dinoN bad aapko padh raha huN .. wakai aapki kalam ka jadoo barkaraar hai ... accha laga ye ehsaas bhi .. par kahiN kahiN kalaam ki rythm toot-ti si nazar aayi... jis tarah Talib ji ne yahaN correct kiya.. par jazbati nazar se dekha jaye to ek pur asar aur pu soz kalaam ..

aapka apna

kunal
Kunal sahab,

aap tasfreef laaye aur apni keemtii raay se nawaaza, hum aapke tah-e-dil se shukrguzaar haiN, ye jaan kar khushi huvi ki aapko humaare kalaam me koii baat nazar aayii

kalaam me rawaani ki kami peshi ki jo aapne baat ki, is par hum ne koshish ki ke andaaza laga sakeN ki aapka ishaara kis ashaar ya misre ki taraf haiy, magar mvaaf kijiyega, hume andaaza na ho saka.

Talib sahab ne jis aur ishaara kiya haiy vo bilkul sahee kiya magar vahaan masla rawaani ka hargiz nahi tha, balki huruf ki takraar ka tha, baaqi wazan ya rawaani pe unhone koii baat nahi ki, ye acchha hota agar aap is baat ki bhi nishaan`dehi kar dete ki aapko kami kahaaN nazar aayii to hum shayad vahaan sudhaar laane ki koshish kar sakte.

Tareef aur islaah dono ke liye hum aapke mamnoon haiN, aap sabhi dostoN ki raay humaari liye bohot maayne rakhti haiy.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
21st June 2005, 10:42 PM

Quote:
Originally posted by Pulkit_gupta
yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa haiy
mere humdam mujhe bata tujhe huva kyaa haiy

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy

Waaaaaaahhh... Bahut khoob!


mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy

WaaaaaaaH... bahut khoob bayaan kiya hai yahaan... Loved it!


meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy

Waaaaah Waahh Waaah... Really well said!!


meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy

WaaaaaH!

Dear Safiya!

Ek aur behad asardaar aur behad khoobsurat ghazal likhne aur humaare beech laane ke liye meri daad kubool kijiyega...Bahut hi khoobsurati se bayaan kiye hain aapne apne ehsaas... Humesha ki tarah aapko padh behad khushi hui... Iase hi likhti rahiye...Mehfil sajaati rahiye...

Apna khayal bhi rakhiyega.. TC
Gupta sahab,

Mehfil shayar se nahi ahbaab se sajtii haiy, aap jeyse dost mehfil ki raonak hoteN haiN, aap ne humesha ki tarah taareef ke pool khaRe kar diye, ab hum kya kaheN.

Yehi keh sakteN haiN ki shukriya, shukriya, bohot bohot shukriya !!!

Aap ki yehi mohabbat to hume baar baar yahaan kheench laati haiy, doctor ne ziyada der beythne se sakhti se manaa kiya haiy, magar hum apne aap ko rOk nahi paateN haiN.

Bas ye mohabbat kam na hone dijiyega, aur isi tarah humaari himmat baRaate rahiyega...........................

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
21st June 2005, 10:53 PM

Quote:
Originally posted by sajidishaq
HI

KAISEY HO AAP.MUGHEY AAP KI SHAYREEE BOHT ACHEE LAGEEE.PLS AGAR BURA NAN LAGAY TU KOI KARAKTI KARAKT GHAZAL SEND KAR MUGHEY.MAIN SAD GHAZALS BOHT PASAND KARTA HOON.

THNKS

SAJID
Sajid sahab

Aadaab, hum bilkul theek haiN Alhumdolillah, aap sunaayeN aap keyseN haiN ??

Humaari khushnaseebi ki aapko ghazal itni pasand aayii.

Hume buraa kyuN lagega Sajid sahab, agar aap hum se ghazal ki farmaaish kareN to isme buraa maanne ki to bilkul koii baat nahi haiy.
Haan magar ghazal bhejne ke bajaaye kya ye behtar nahi ke hum humesha ki tarah yaheeN post karte raheN aur aap yaheeN par aakar paR liya kareN, doosre sabhi dost ahbaab bhi yehi karteN haiN, Shayri.com banaaya hi isiliye gaya haiy.

Aap agar vo ghazaleN paRna chahteN haiN jo humne isse pehle yahaaN post ki thi to aap humaari profile se haasil kar sakteN haiN,
Aur agar koii mushkil pesh aaye to aap hume pm kar ke battaayeN hum zaroor aapki madad karenge is silsile me.


aur jahaan tak sad Ghazals ka sawaal haiy to aap lucky haiN kyunki humaari ghazaloN me to dard hi dard hota haiY beshumaar.

tareef ke liye shukriya, aur aate jaate rahiyega, yahaan aapko aur bhi acche shayroN ke acche kalaam paRne ko mileNgeN.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
21st June 2005, 10:58 PM

Quote:
Originally posted by sukanya
Namaskar Safiya ji

Duusri baar aapko padha.........bahut acha likhti hain Aap........aapki yeh ghazal dil ko chuu gayi

mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy


Mere daad kabul kijeyga
sada kush raho
Sukanya ji,

Aadaab kubool kijiye,

zah-e-naseeb humaare ki ek baar hume bardaasht karne ke baad aapne hume doosri baar paRne ki himmat ki , humaare liye to yehi taareef bohot haiy

Ye to aapki zarra nawaazi haiy ki aap ye maanti haiN ki hum accha likhteN haiN, jo ashaar aapne pasand kiye hain vo humaare dil ke bohot kareeb haiN. aapki daad sir-aankhoN par.

ab humne aap se umeed baandh li haiy ki aap humesha isi tarah humaari himmat afzaaii karengi, shukriya.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
soni_sonal
kuch baatein kuch yaadein
soni_sonal is on a distinguished road
 
soni_sonal's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: May 2003
Rep Power: 22
23rd June 2005, 01:05 PM

safiya

behad khoobsurati se likha hai aapne
humari daad kubul kijiye

sonal


~~ u never know where ur destiny takes u ~~


There would come a time when
we have to stop loving a person
not because that person started hating us .....
but because we found out that they'd be happier if we let me go.....
   
Reply With Quote
Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal
Old
  (#18)
pallavi_here
to feel & to be felt...
pallavi_here has a spectacular aura aboutpallavi_here has a spectacular aura about
 
pallavi_here's Avatar
 
Offline
Posts: 1,311
Join Date: Feb 2005
Location: On minds
Rep Power: 22
Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal - 23rd June 2005, 04:05 PM

Quote:
Originally posted by Safiya
DostoN
ek baar phir humaara pyaar bhara Aadaab kubool kareN

Aaj hum apna dard laayeN haiN aap sab ke saath baantne ke liye.... ye ghazal us waqt kahee thi jab dil dard se behaal ho chukaa tha, ye ek eysi ghazal thi ki jisko sirf aur sirf jazbaat ne kaagaz pe utaara tha........


yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa haiy
mere humdam mujhe bata tujhe huva kyaa haiy

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy

mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy

meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy


Aap sabhi ki aaraa ka intezaar rahega....................

Safiya...
safiya ji....
aap 2nd time padh rahi hu aapko... pehli baar dont knw q reply nahi kar saki thi.. but... i must sayy.. u write so welll just keep writing.. & we wd love to share ur feeling.....
take care


Pallavi...

******
Your attitude towards life decides Life's attitude towards you...
   
Reply With Quote
Old
  (#19)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
25th June 2005, 04:33 AM

Quote:
Originally posted by soni_sonal
safiya

behad khoobsurati se likha hai aapne
humari daad kubul kijiye

sonal
Sonal ji,

Bohot bohot shukriya aapka ki aapne humaare likhe huve ko saraaha aur hume izzat baqshi, aap khud bhi yakeenan ek khoobsoorat sahqshiyet haiN isiliye is kalaam me khoobsoorti dhoond nikaali aapne. thankyou.

Safiya...
   
Reply With Quote
Re: Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal
Old
  (#20)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
Re: Re: ye_dard_ye_sitam_ye maajra kya haiy ...........Ek Ghazal - 25th June 2005, 04:38 AM

Quote:
Originally posted by pallavi_here
safiya ji....
aap 2nd time padh rahi hu aapko... pehli baar dont knw q reply nahi kar saki thi.. but... i must sayy.. u write so welll just keep writing.. & we wd love to share ur feeling.....
take care
Pallavi ji,

Aadaab,

ye humaari kismet ki kharaabi thi shayad ki isse pehle aap jawaab na de paayiiN, kheyr koee baat nahi , vo kehteN haiN na , ke "der aaye durust aaye"

Lekin ab agar aap kaayal ho hi gayeeN haiN humaari tukbandi ki to ab hume humesha aapse jawaab ki umeed rahegi, aapka bohot bohot shukriya Ghazal ko pasand karne ke liye. hume khushi haiy ki aaj kitne saare dost humaare saath humaari feelings ko share karna chahteN haiN, hum aapke mamnoon haiN.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
Zeba
Registered User
Zeba has a spectacular aura aboutZeba has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 585
Join Date: Jan 2003
Rep Power: 23
25th June 2005, 06:43 AM

bohot khoob likha hai aapne safiya ji, mujhe behad khushi hui aap ki yeh gazal padh ke.

zeba
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
25th June 2005, 11:35 PM

Quote:
Originally posted by Zeba
bohot khoob likha hai aapne safiya ji, mujhe behad khushi hui aap ki yeh gazal padh ke.

zeba
Aadaab,

Bohot bohot shukriya Zeba sahiba, hume bhi aapse apni ghazal ki taareef sun kar be had khushi huvi, himmat afzaaiii ke liye hum aapke mamnoon haiN.

Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
Taish
"Taish meN hai Taish"
Taish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.comTaish is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Taish's Avatar
 
Offline
Posts: 5,535
Join Date: Jan 2005
Location: Lost In The Cobwebs Of Mah Mind...!!
Rep Power: 48
26th June 2005, 12:01 PM

safiya dd very well written.bahut hi khoobi se aapne apne khayalaton ko pesh kiya hai i just loved reading each and every line of it.bas itna hi kahunga ki u ppls just do keep writing like this.

aapka LUCKY



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
http://alfaaz-e-taish.blogspot.in/

Ishq hota tha, ishq karte haiN,
Vo zamana tha, ye zamana hai...

----Taish

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
  Send a message via Yahoo to Taish Send a message via Skype™ to Taish 
Reply With Quote
Old
  (#24)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
27th June 2005, 10:02 AM

Quote:
Originally posted by ghayal_shayar
safiya dd very well written.bahut hi khoobi se aapne apne khayalaton ko pesh kiya hai i just loved reading each and every line of it.bas itna hi kahunga ki u ppls just do keep writing like this.

aapka LUCKY
Lucky ji,

aap itne pyaar se taareef karenge to hum chahheN bhi to likhna nahi choR sakte haiN. aapki taareef ke liye bohot bohot shukriya.
ye jo aap jeyse dost comments deteN haiN, aapko nahi pataa ki ye hum jeyse likhne waaloN ke liye kitne besh-keemtii hoteN haiN.


Safiya...
   
Reply With Quote
Taareef!
Old
  (#25)
gumnam
Registered User
gumnam is on a distinguished road
 
gumnam's Avatar
 
Offline
Posts: 143
Join Date: Apr 2004
Location: Delhi
Rep Power: 21
Taareef! - 27th June 2005, 01:42 PM

Hi Safiya Ji!

Aap shayad mujke janti nahi hongi, par bahut se log mujhe yahan ... mera matlab .. Shayari ki is duniya mein jaante hain.

Khair....

Achanak aapki GHazal par nazar gayi aur phir to ek ek Sher ko bas paarhte hi chale gaye.

Aisa laga ki mera zindagi ka sach aapke alfaazon mein jhalak aaya ho.. apne wakai kabile taarif Ghazal likhi hai

Khaas baat hai ki Ghazal mein beher, Kafiye ka bohat dhyan rakha hai aapne, aur Jazbaat... woh to jo dil mein hote hain to apne aap hi Kalam ke raste kagaz pe utar aate hain...


Bas ab aour kyaa kahoon...
Aise hi Dil- ko - chhoo lene wali Ghazalein Share karti rahiye..

Aadab......


----Gumnam
Take care to get what you like,
Or you will be forced to like what you get.
  Send a message via Yahoo to gumnam  
Reply With Quote
Old
  (#26)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
28th June 2005, 09:49 AM

Dearest Safiya Ji,

Pehle toh aapki is haseen mehfil mein deri se pahunchne ke liye maafi chaahte hai.

Ek gehre dard se larazta kalaam jo dil ki teh tak dard jaga jaata hai. Anmol jazbaat aur shadeed dard bakhubi is kalaam mein bayan kiya hai. Bohot khoob Safiya Ji. Apne nayaab kalaamo ka silsila uhi chalaye rakhiye.


Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#27)
saqib_sahili
Sukhan-Nawaz
saqib_sahili will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 53
Join Date: Jan 2004
Rep Power: 21
8th July 2005, 08:14 PM

Salam safiya ji,

tareefoon ki ambaar to pehley hi lagi hui hai phir bhi kahain gey ke aisa fun aisa andaz gar khuda har kisi ko nawazey to shayad hum sub main ek safiya ji mojud ho very well said ap ki Ghazal ki sub se achi baat jo hamain lagi woh lafzoon ki rawani aur jazbaat ka izhar bahaut khood plz do keep sharing

ap ke ghazal ko padh ker ek sher yaad aa raha hai jo shayad hum ne apni shayri aur ghazal ke collection main bhi nahi likha yahaan share karta hoon


na hota gar charcha-e-kais zer-e-nazar apney

mohabbat hum bhi kartey dil main aarzoo rakhtey

( saqib sahili )


Uski Shanoo.n pe jis ki har sham guzarti SAQIB
Wo zindagi kabhi merey naam thi hi nahi
   
Reply With Quote
Old
  (#28)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
8th July 2005, 08:24 PM

Uffffff,
ye kya likh gayi hai aap, dil ko jinjhhor ke rakh diya,

dil se tariff kabool ki jiye

kadeer


--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Re: Taareef!
Old
  (#29)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
Re: Taareef! - 11th July 2005, 04:59 AM

Quote:
Originally posted by gumnam
Hi Safiya Ji!

Aap shayad mujke janti nahi hongi, par bahut se log mujhe yahan ... mera matlab .. Shayari ki is duniya mein jaante hain.

Khair....

Achanak aapki GHazal par nazar gayi aur phir to ek ek Sher ko bas paarhte hi chale gaye.

Aisa laga ki mera zindagi ka sach aapke alfaazon mein jhalak aaya ho.. apne wakai kabile taarif Ghazal likhi hai

Khaas baat hai ki Ghazal mein beher, Kafiye ka bohat dhyan rakha hai aapne, aur Jazbaat... woh to jo dil mein hote hain to apne aap hi Kalam ke raste kagaz pe utar aate hain...


Bas ab aour kyaa kahoon...
Aise hi Dil- ko - chhoo lene wali Ghazalein Share karti rahiye..

Aadab......

Gumnam sahab,

Aapne sahee farmaayaa ki hum aapko jaante nahi the, aur jaante bhi keyse , aap gumnaam jo thehre

Lekin dekheN kitni der laghti haiy jaan pehchaan banaane meN. Ab aap bhi hume jaanteN haiN aur hum aapko

Jawaab dene meN jo hum se talqhi huvi haiy uske liye maa`zrat-khwaan hain,
umeed haiy ki aap humaari ye pehli ghalatii mvaaf kar denge, kyunki abhi to dostii ki shurooaat haiy, abhi to hume bohot saari ghalatiyaaN karni haiy

Ghazal ki jo aapne taareef ki haiy vo sun kar dil ko behad khushi huvi,
kyunki iskaa matlab haiy duniya me dil pe chott lekar ghoomne waale hum akele hi nahi, is zakhm ke maare aur bhi bohot haiN.

Radeef, kafiya aur beher ki jahaaN tak baat aatii haiy to janaab hum to baRi koshish karteN haiN ki inhe baandh kar chaleN magar phir bhi ye be-lagaam ghoRoN ki tarah idhar udhar ho hi jaateN haiN. Aap humaari mehfil meN tashreef laaye aur hume izzat baqshi, hum aapke tah-e-dil se mashkoor haiN.

ab ye silsila tootna nahi chahiye

shukriya
Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
11th July 2005, 05:18 AM

Quote:
Originally posted by candyboy
Dearest Safiya Ji,

Pehle toh aapki is haseen mehfil mein deri se pahunchne ke liye maafi chaahte hai.

Ek gehre dard se larazta kalaam jo dil ki teh tak dard jaga jaata hai. Anmol jazbaat aur shadeed dard bakhubi is kalaam mein bayan kiya hai. Bohot khoob Safiya Ji. Apne nayaab kalaamo ka silsila uhi chalaye rakhiye.
Salim sahab,

Aapne to vo kahaawat sunii hi hogi ke "der aaye durust aaye"
aur veyse hum bhi aapka jawaab waqt pe nahi de paaye, to baat ab baraabar ho gayee.

humaare is adna se kalaam ne aapke dil me dard jaga diya isse ziyada ab iski khusnaseebi bhala kya ho sakti haiy.

Jazbaat aapke hoN ya humaare sabhi anmol hoteN haiN, isiliye hum baRe pyaar se motiyoN ki tarah inko ek maalaa me pirone ki koshish me laghe rehteN haiN.
Aap to jaanteN haiN ki chott khaaye beghair dard ka pataa nahi chaltaa, aur jis dil me dard na ho , naa hi vo acchha liikh sakta haiy aur naahi kisi ka likha samajh saktaa haiy.

isiliye badksimetii se ye dard bohot zaroori haiy is sukhan ki duniya ko aabaad rakhne ke liye

aur ye dard hi ka rishta haiy aapke aur humaare beech jo humaare diloN ko baandhe rakhta haiy.

Aap yakeen maaniye ki ye aap logoN ki hausla-afzaaii hi haiy, jo ye bandi roz kalam uthaane ki himmat kartii haiy, agar aap ka saath yuN hi banaa rahe to InshaAllah hum zaroor likhte raheNge.

bohot bohot shukriya
Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
11th July 2005, 05:26 AM

Quote:
Originally posted by saqib_sahili
Salam safiya ji,

tareefoon ki ambaar to pehley hi lagi hui hai phir bhi kahain gey ke aisa fun aisa andaz gar khuda har kisi ko nawazey to shayad hum sub main ek safiya ji mojud ho very well said ap ki Ghazal ki sub se achi baat jo hamain lagi woh lafzoon ki rawani aur jazbaat ka izhar bahaut khood plz do keep sharing

ap ke ghazal ko padh ker ek sher yaad aa raha hai jo shayad hum ne apni shayri aur ghazal ke collection main bhi nahi likha yahaan share karta hoon


na hota gar charcha-e-kais zer-e-nazar apney

mohabbat hum bhi kartey dil main aarzoo rakhtey

( saqib sahili )
Saqib sahab,
Aadaab,

Waah waah, subhaanAllah , kya sheyr yaad aayaa haiy aapko, bohot acche !!!
Janaab aapki bohot bohot nawaazish , aap ki taareef ki kaabil nahiN haiN hum, magar phir bhi aapke in lafzoN ne hume kitni izzat baqshi haiy, aap soch nahi sakte.

Aapko ye ghazal itni pasand aayee, iske to naseeb sanwar gaye, kal shaam hi se ithlaatii phir rahi haiy, kaaboo hi me nahi aa rahi
Ye aapki nazar ka kamaal haiy, bas yuN hi apni nazr-e-karam banaaye rakhiyega. Hum bhi InshaAllah koshish jaari rakhengeN.
jawaab dene me jo talqhi huvi haiy uske liye mvaafi chahtii hoon.

aapki mamnoon
Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#32)
Safiya
Registered User
Safiya will become famous soon enoughSafiya will become famous soon enough
 
Safiya's Avatar
 
Offline
Posts: 127
Join Date: Apr 2005
Location: doston ke dil me
Rep Power: 21
11th July 2005, 05:31 AM

Quote:
Originally posted by Kadeer
Uffffff,
ye kya likh gayi hai aap, dil ko jinjhhor ke rakh diya,

dil se tariff kabool ki jiye

kadeer
Kadeer sahab,

are are janaab , dil ko sambhaaliye zara, humaara ye maqsad hargiz na tha ki aapka dil jhinjhoR ke rakhdeN

Ye to aapki inaayat haiy ki aap humaari mehfil meN tashreef laaye aur is ghazal ko is laayak samjha ki ispe commment bhi kiya,

hum aapke behad mashkoor haiN, bas yehi iltejaa haiy aapse ki isi tarah humaari himmat baRaate rahiyega. by the way hume aapka avatar bohot achha lagha.

Bohot nawaazish
Safiya...
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
30th September 2015, 05:28 PM

Quote:
Originally Posted by Safiya View Post
DostoN
ek baar phir humaara pyaar bhara Aadaab kubool kareN

Aaj hum apna dard laayeN haiN aap sab ke saath baantne ke liye.... ye ghazal us waqt kahee thi jab dil dard se behaal ho chukaa tha, ye ek eysi ghazal thi ki jisko sirf aur sirf jazbaat ne kaagaz pe utaara tha........


yeh dard, yeh sitam, yeh maajraa kyaa haiy
mere humdam mujhe bata tujhe huva kyaa haiy

yuN kab talak tu karegaa shiqaayateN mujh se
meiN maanta huN jurm,de bhi de saza kyaa haiy

mera ghum tujh se abhi tak haiy agar poshida
bevajah mujh se mera haal poochtaa kyaa haiy

mujh ko to dekh liya,jaanch liya, jaan liya
tera bhi rang dikha tu bhi to bataa kyaa haiy

meri rusvaaiyoN meN tu bhi haiy shareek mera
mere kiss`se, sar-e-mehfil uchaaltaa kyaa haiy

hum ek umr se vaakif haiN, ab na samjhaaO
ke ishq kya haiy,wafa kya haiy aur jafa kyaa haiy

meri nayyaa tu sambhaale ye tere bas me nahi
doob jaane de mujhe itnaa sochtaa kyaa haiy


Aap sabhi ki aaraa ka intezaar rahega....................

Safiya...

waqt ke panno.N meiN dabi aik daasta nikaal laaye hai ham,
Saafiya ka likha aik paigaam mehfil ko suna aaye hai ham


Saafiya ji.........behad khoobsurat kalaam...agar aap ab bhi kabhi sdc par aati hai to please regular ho jayeN hame aapki rachna bahut kamaal ki lagi.



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...


   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
SUPER GHAZAL OF THE YEAR - Winner Ghazal Dhaval Ghazal Section 36 11th October 2010 02:59 PM
Ghazal: Tum aao to sahii (ek Rumaani Ghazal) Mayank Shayri-e-Ishq 30 29th March 2009 08:32 PM
AshruO Khaali Ne Ghazal Lakhato Gayo-- Gujju Ghazal acharya_mj Shayri-e-Dard 3 16th September 2006 10:19 AM
Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN... Ameen Asim Aapki Shayri 1 16th November 2005 02:46 PM
Ya Ilaahi Ye Maajra Ky Hai ! Riyazrizvi Shayri-e-Dard 2 5th October 2005 08:28 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com