Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Tum mujhe na mili By "Khaaq"
Old
  (#1)
Fasil
Registered User
Fasil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Dec 2005
Rep Power: 0
Tum mujhe na mili By "Khaaq" - 20th November 2006, 11:34 AM

Isse likhne ke pure credits jate hai "Khaaq" bhai ko..

Mein tho bas share kar raha hu..

*************-------------------**************----------------******

tum mujhe na mili mana yeh kismat thi humaari,
par ik deed(1) bhi na di yeh berukhi thi tumhaari.

mujhko bhi logon ne chaddar se dhaank diya hai,
to surkh reshami libas zeenat(2) badha raha hai tumhaari.

yun to kuch baasi gul afshaanee(3) bhi hue hain mujh par,
to tere kuche(4) ki saba(5) gul-e-tar(6) naqsh(7) bana rahi hai tumhari.

yaar-o-azeez(8) ro rahe hain waqt-e-rukhsat-e-yaar(9) mein,
tere bhi zaar zaar(10) ho rahe hain judaai mein tumhaari.

main bhi to aaj char kandhon pe jaa raha hoon,
lo kandhon par hi doli bhi uth rahi hai tumhaari.

wafaa ka naam liye rah-e-ishq(11) mein fanaa(12)(mortality) hua hun main,
teri jafaaon(13) se muhabbat bhi fanaa(dead) hui hai aaj humaari.

tu bhi sitaron ki apni ik nayi duniya mein jaa rahi hai,
main bhi sitaron ke paar, jaa raha hun duniya se tumhaari.

jeete ji woh shakl dikhaane na aayi "khaaq", to na sahi,
jab ji chaahe ruk jana, tere raste mein hi hai mazaar(14) humari

1. deed - sight
2. zeenat - beauty
3. gul afshaanee - to scatter flowers
4. kuche - lane
5. saba - wind
6. gul-e-tar - fresh flowers
7. naqsh - picture
8. yaar-o-azeez - friends & relatives
9. waqt-e-rukhsat-e-yaar - time of seperation of friend
10. zaar - weeping
11. rah-e-ishq - path of love
12. fanaa - mortality or death
13. jafaaon - unfaithfulness
14. mazaar - grave
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
a.waheed
Registered User
a.waheed is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 3
Join Date: Nov 2006
Rep Power: 0
20th November 2006, 01:32 PM

assalam alaikum
bahot khub bhai.aur bahot khub aapke khaak bhai ko bhi.
kafi dard bhara kalam hai aapka

ek sher aapke liye meri aur se.

ES JALTI HUE SHAMA KO BUZA DE KHAAK
TERA GAM ANDHERE SAMZATE HONGE.

WAHEED(RAHI) KA SALAM PAHUNCHE
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Fasil
Registered User
Fasil is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 5
Join Date: Dec 2005
Rep Power: 0
23rd November 2006, 10:21 PM

a.waheed bhai shukriya
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
"kameene","laffange parindo.n" ki "badmaash compny" parveen komal Shayri-e-Dard 9 17th August 2010 11:59 PM
sadamaa to hai mujhe bhii ki tujhase judaa huu.N mai.n..... "Qateel Shifai" Dhaval Shayri-e-Mashahoor Shayar 2 7th June 2010 08:56 AM
हम "ग़ज़ल" की "धुन" और "हवाओं" की "खुशबू" कí nalinmehra Aapki Shayri 11 23rd May 2009 09:24 AM
.." Meri jaan-e-jigar mujhe shayar na bana dena " .. heart_killer Shayri-e-Ishq 13 18th April 2009 12:29 PM
" "CHAHTA HU USE MAIN KUCH ISTARHA SE........". ........"mera wajud" Dhaval Shayri-e-Ishq 0 26th August 2006 11:20 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com