Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Lyrics > Hindi/Urdu Lyrics

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Jagjit Singh Ki Ghazlen Likiye Yahan ...!!!
Old
  (#1)
kaisa_dil
Registered User
kaisa_dil is on a distinguished road
 
kaisa_dil's Avatar
 
Offline
Posts: 23
Join Date: Feb 2008
Location: Mumbai
Rep Power: 0
Red face Jagjit Singh Ki Ghazlen Likiye Yahan ...!!! - 9th February 2008, 01:43 PM

BAAT NIKLEGI
TOH PHIR DUR TALAK JAYEGEE
LOG BEWAJEH UDASI KA SABAB PUCHENGE
YEH BHI PUCHENGE
KI TUM ITNEE PARESHAN KYON HO

UNGLIYA UTHENGEE
SOOKHE HUE BALON KI TARAF
EK NAZAR DEKHENGE
GUZRE HUE SALON KI TARAF

CHOODIYON PAR BHI KAI TANZ KIYE JAYENGE
KAPTE HATHON PE PHIKRE KASSE JAYENGE

LOG ZALIM HAIN
HAR EK BAAT KA TANA DENGE
BATON BATON PE MERA ZIKIR BHI LE AYENGE
UNKI BATON KA ZARA SI BHI ASAR MAT LENA
WARNA CHEHRE KA TASUR SE SAMJH JAYENGE

BAAT NIKLEGE TO PHIR DUR TALAK JAYEGEE

...........( Lyrics kiske hain pata nahin.. haan gaya Jagjit Singh ne hai)
.................kaisee lagee yeh ghazal ?
.......................BY : kaisa_dil
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
mausam
Yaadon ka!
mausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant futuremausam has a brilliant future
 
mausam's Avatar
 
Offline
Posts: 6,801
Join Date: Jan 2002
Location: gujarat-India
Rep Power: 46
9th February 2008, 03:55 PM

namaste kais_dilji.....

aapne ghazal puri nahin ki..last ki yeh 2 lines reh gayi hum puri kiye dete hain...

chaahe kuchh bhii ho savaalaat na karanaa unase
mere baare me.n ko_ii baat na karanaa unase


baat nikalegii to phir duur talak jaayegii

written by....kafeel Aezar...

hum bhi apani fav ghazal share kiye dete hain.........Mirza ghalib ji ki likhi hui....


dil-e-naadaaN tujhe hu’aa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai


ham haiN mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ! ye maajraa kyaa hai


ham bhii muuNh meN zabaan rakhate huuN
kaash puuchho ke mudda’a kyaa hai


jab ki tujh bin nahiiN ko’ii maujuud
phir ye hangaamaa ai Khudaa kyaa hai


ye parii-cheharaa log kaise haiN
Ghamzaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai


shikan-e-zulf-e-ambarii kyoN hai
nigah-e-chashm-e-suurmaa saa kyaa hai


sabzaa-o-gul kahaaN se aaye haiN
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai


hamko unse vafaa kii hai ummiid
jo nahiiN jaante vafaa kyaa hai


haaN bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai


jaan tum par nisaar kartaa huuN
maiN nahiiN jaantaa du’aa kyaa hai



ham ne maanaa ke kuchh nahiiN “Ghalib”
muft haath aaye to buraa kyaa hai


Mirza Ghalib




Jaane kya samjha woh mujhe
Jaane kya samjhi main useN

Faasla nazar aaya....Kuch kadmon ke saath se
   
Reply With Quote
Dil Khush ho Gaya
Old
  (#3)
kaisa_dil
Registered User
kaisa_dil is on a distinguished road
 
kaisa_dil's Avatar
 
Offline
Posts: 23
Join Date: Feb 2008
Location: Mumbai
Rep Power: 0
Smile Dil Khush ho Gaya - 11th February 2008, 12:12 PM

Hi Mausam
Ghalib ki yeh Ghazal padhkar
Dil Khush Ho Gaya
Bahut khush hua main
.......Kaisa_dil


Koi Humdum Na Raha
Koi Sahara Na Raha
Hum Kisike Na Rahe
Koi Humra Na Raha
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 03:59 PM

Apne hontoon pe sajana chahta hoon
aa tujhe main gungunana chahta hoon

Apne hontoon pe sajana chahta hoon

koi aansoo tere damaan pe ghira kar
boond ko moti banana chahta hoon

Apne hontoon pe sajana chahta hoon

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad ana chahta hoon

Apne hontoon pe sajana chahta hoon

cha raha hai sari basti main andhera
roshini ko ghar jalana chahta hoon

Apne hontoon pe sajana chahta hoon

aakhiri hichki tere zanoo'n pe aye
mout bhi main shayrana chahta hoon

Apne hontoon pe sajana chahta hoon
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#5)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:00 PM

Badal ki tarha jhoom k, lehra k piein ge
saqi tere maikhane pe hum cha k piein ge

un madbhari aankhoon ko bhi sharma k piein ge
paimane ko paimane se takra k piein ge

saqi tere maikhane pe hum cha k piein ge

badal bhi hai, bada bhi hai, meena bhi hai, tum bhi
itrane ka mausam hai, itra k piein ge

saqi tere maikhane pe hum cha k piein ge

dekhain ge k ata hai kidher se ghum e duniya
saqi tujhe hum samne bithla k piein ge

saqi tere maikhane pe hum cha k piein ge
Badal ki tarha jhoom k, lehra k piein ge

Jagjeet Singh
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#6)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:01 PM

Charag, aftaab gum, bari haseen raat thi
shabab ki nikaab gum, bari haseen raat thi

Charag, aftaab gum, bari haseen raat thi

mujhe pila rahe thay woh k khud hi shamma bujh gai
glass gum, sharab gum, bari haseen raat thi

Charag, aftaab gum, bari haseen raat thi

likha tha jis kitaab main, k ishq to haraam hai
hui wohi kitaab gum, bari haseen raat thi

Charag, aftaab gum, bari haseen raat thi

laboon se lub jo mil gaye, laboon se lub hi sil gaye
sawal gum, jawab gum, bari haseen raat thi

Charag, aftaab gum, bari haseen raat thi

Jagjit Singh

My Fav Ghazal din main kam az kam 5 times na suno to chain nhi ata
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:02 PM

Chaak jigr k si laite hain
jaise bhi ho ji laite hain

Chaak jigr k si laite hain

dard milay to seh laite hain
askh milain to pi laite hain

Chaak jigr k si laite hain

aap kahain to mar jaein hum
aap kahain to ji laite hain

Chaak jigr k si laite hain

bezari k andhyare main
jeene wale ji laite hain

Chaak jigr k si laite hain

hum to hain un phoolon jaise
jo kaantoon main ji laite hain

Chaak jigr k si laite hain

Jagjit Singh
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:03 PM

Dard apnata hai paraye kon ?
kon sunta hai aur sunaye kon ?

Dard apnata hai paraye kon ?

kon dohraye purani baatain ?
ghum abhi soya hai, jagaye kon ?

Dard apnata hai paraye kon ?

woh jo apne hain, kya woh apne hain ?
kon dukh jhaile, azmaye kon ?

Dard apnata hai paraye kon ?

ab suko'n hai to bholne mein hai
lekin us shaks ko bulaye kon ?

Dard apnata hai paraye kon ?

aaj phir dil hai kuch udaas udaas
dekhiye aaj yaad aye kon ?

Dard apnata hai paraye kon ?

Jagjit Singh
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#9)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:04 PM

Dard k phool bhi khilte hain, bikhar jatay hain
zakhm kaise bhi hoon, kuch roz mein bhar jatay hain

Dard k phool bhi khilte hain, bikhar jatay hain

us dareeche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi
sar jhukaye huye chup chaap guzr jatay hain

rasta rokay khari hai yahi uljhaan kab se
koi pooche to kahain kya, k kidher jatay hain

Dard k phool bhi khilte hain, bikhar jatay hain

narm aawaz, bhali batain, mohazab lehje
pehli barish mein hi yeh rang utar jatay hain

Dard k phool bhi khilte hain, bikhar jatay hain

Jagjit Singh
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#10)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:06 PM

Hazoor aap ka bhi ehtaraam karta chaloon
idher se guzra tha socha, salam karta chaloon

Hazoor aap ka bhi ehtaraam karta chaloon

nigah dil ki yehi aakhiri tamana hai
tumhari zulf k saye main shaam karta chaloon

Hazoor aap ka bhi ehtaraam karta chaloon

unhain yeh zidd k mujhe dekh kar kisi ko na dekh
mera yeh shoq k sab se kalaam karta chaloon

Hazoor aap ka bhi ehtaraam karta chaloon

yeh mere khwab ki duniya nahi sahi, lekin
ab agaya hoon to kuch din qayaam karta chaloon

Hazoor aap ka bhi ehtaraam karta chaloon

Jagjit Singh
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#11)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:07 PM

Hosh waloon ko khabar kya, bekhudi kya cheez hai
ishq kijiye phir samajhye, zindagi kya cheez hai

Hosh waloon ko khabar kya ....

un se nazrain kya mileen, roshan fizain hogaein
aaj jana pyaar ki jadugari kya cheez hai

Hosh waloon ko khabar kya ....

bikhri zulfoon ne seekhai, mausamo'n ko shairi
jhukti aankhoon ne bataya, maikashi kya cheez hai

Hosh waloon ko khabar kya ....

hum laboon se keh na paye un se haal e dil kabhi
aur woh samjhe nahi yeh, khamoshi kya cheez hai

Hosh waloon ko khabar kya ....

Jagjit Singh

i think aj k liye itna kaafi hain waisy mery pass jagjeet singh k bahut collection hai
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#12)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
11th February 2008, 04:08 PM

Tum itna jo muskura rahe ho
kya ghum hai jis ko chupa rahe ho

aankhoon main nami hansi luboon par
kya haal hai kya dekha rahe ho

ban jaein ge zehr peete peete
yeh ashk jo peete ja rahe ho

jin zakhmoon ko waqt bhar chala hai
tum kyun unhain chaire ja rahe ho

rekhaoon ka khel hai muqadar
rekhaoon se maat kha rahe ho

tum itna jo muskura rahe ho

Jagjit Singh
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#13)
kaisa_dil
Registered User
kaisa_dil is on a distinguished road
 
kaisa_dil's Avatar
 
Offline
Posts: 23
Join Date: Feb 2008
Location: Mumbai
Rep Power: 0
11th February 2008, 04:22 PM

Eyesflicker jee
Aaj mera mood ban gaya
kya chuni hi ghazlen likhi hain yahan
wallah dil chir diya apne
baas yuhi likhte rahiye
.........kaisa_dil
Maan liya aap Jagjit Singh ke real Ashiq hain


Koi Humdum Na Raha
Koi Sahara Na Raha
Hum Kisike Na Rahe
Koi Humra Na Raha
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is Off
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Jagjit Singh Ki Ghazlen Likiye Yahan ...!!! kaisa_dil Hindi/Urdu Lyrics 0 9th February 2008 03:56 PM
Jeevan Kya Hai....-JAGJIT SINGH farhana Ghazal Section 4 27th October 2005 09:47 PM
Har ek ghar...jagjit singh khilona Ghazal Section 2 20th September 2005 02:10 PM
Jagjit singh friendnidhi Hindi/Urdu Lyrics 3 20th November 2004 11:35 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com