Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Waqt kee tarah hun .....
Old
  (#1)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
Love Waqt kee tarah hun ..... - 8th April 2004, 09:10 AM

Dear friends
Fir se apni ek gazal aapke samne pesh kar raha hun jisme mai hun meri tanhai hai or aap hain


Yun hee ek roj kahin door chala jaunga !
Waqt kee tarah hun haathon se fisal jaaunga !

Apni yaadon ke nisha chhod kar jaata hun mai ..
Dhund lena mujhe yaadon mai main mil jaaunga !

Teri basti kee taraf se jo gali jaati hai ..
Unhi galiyon se mai chupchap gujar jaunga !

Mai saba ban ke tere paas se gujrunga kabhi ..
Tere daaman ko jo chhu lunga to thum jaaunga !

Mar gaya to bhi fana na hone paunga..
Pyaar bankar main fijaaon mai bikhar jaaunga !

Jo kabhi yaad banke aaunga dil mai tere ..
Ashk ban kar teri aankho se chhalk jaaunga !

Ho sake tujhse to kar lena tu noha( marne waale ke liye rona) mera
Tere ashko ko jo chhu lunga sanwar jaaunga !

Ab to hur shaks kee najron se ‘anish’ utar sa gaya ..
Teri yaadon se bhi ek roj utar jaaunga !


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Re: Waqt kee tarah hun .....
Old
  (#2)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Waqt kee tarah hun ..... - 8th April 2004, 09:44 AM

Ab to hur shaks kee najron se ‘anish’ utar sa gaya ..
Teri yaadon se bhi ek roj utar jaaunga !

anish bhai
maan gaye aapko..!!! kya andaaz-e-bayan kiya hai....bejode....fir ek baar mere paas alfaaz nahin hai tareef ke liye....padhte hi labon se barbas Wah nikal aaya.....bahoot khoob likha hai.....mein to aap ka kaayal ho gaya......aise hi likhte rahiye....aapki nazmon ka besabri se intezaar rahega....take care
-Manoj


apne usoolon par ham apne andaaz se chalte hai
karte hai jo "kureel" se gila karte rahein.
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#3)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
8th April 2004, 12:15 PM

Salam,
Umeed karti hu aap theek honge. As I said earlier that you good at writing. Khub likhte hein aap. Specially this one, really great. Dilko chhoo gaayi hein. Ek gana yaad aa gaayi hein: Rahein na rahein hum meheka karenge banke kali banke saba baagein Bafa mein rahein na rahein hum mousam koi ho ish chaman mein rang banke raheinge hum khirama chahat ki khusboo yunhi julfose udegi khiza ho yea bahare yunhi jhumte aur khilte rahenge banke kali banke saba baagein Bafa mein rahein na rahein hum.......Lata Jee ki aawaaz mein.......yunhi likhte rahiyega. Daad kabool kijiyega. Aapka haar ek post qabilein tarif hein, jee haan. Khush rahiye yeh Duwaon ke sath izazat chahungi. Aapna khayal rakhiyega. God bless you. Allah Hafiz.

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
10th April 2004, 05:27 PM

Anish Bhaii,

Beautiful! Kafi behtariin aur umdaa tarike se aap ne apne dil ke dard ko apne dil ke ehsaas ko bayaan kiyaa hai. Abb mere paas lafz tou nahi hai taareef ke liye par umeed hai ki aap dil zaroor samjhegaa mere ehsaas ko.

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#5)
ek_aashique
Registered User
ek_aashique is on a distinguished road
 
ek_aashique's Avatar
 
Offline
Posts: 24
Join Date: Mar 2004
Location: Mumbai
Rep Power: 0
10th April 2004, 06:58 PM

hey there.. anish bhai .. ek baat keh raha hoo..

aapne jo likha hai woh mere dil ka haal hai ..

lagta hai aapke dil me bhi kisi baat ka malaal hai ..

main to gamgeen hoo kyonki mera pyar mere paas nahi..

lagta hai aapke haalaat bhi mujhse alag nahi ...

pade aapke khayal to laga aisa ..

jaise mil gaye mujhe kehne ko haal-e-dil mera...


call me vicky...
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#6)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
hi - 11th April 2004, 09:24 AM

dear manoj bhai
aapne mere ahsas ko padha saraha khushi hui apki post bhi kabil-e-tareef thee apke sare ahsas ko dil se nawazta hai aapka ye dost


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#7)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
hi - 11th April 2004, 03:22 PM

Dear shimul jee
Aapne fir se ek baar mere liye samay nikala iske liye tahe dil se shukriya aapne jo geet bheja mujhe bhi bahut pasand hai ek geet jo mere bhi dil ke karib hai film “thodi see bewafai “ kishor da ka gaya hua pesh kar raha hun

Hazaar raahe bhi mud ke dekhi magar kahin se sada na aai
Badi wafa se nibhai tumne humari thodi see bewafaai !

Jahaan se tum mod mud gaye the wo mod ab bhi wahin pade hain..
Hum apne pairo me jaane kitne bhwanr lapete hue khade hain..
Badi wafa se ………

Kabhi kisi roz youn bhi hota humari halat tumahari hoti ..
Jo raate humne bitai mur kar wo raat tumne gujaari hoti ..
Badi wafa se ……

Tumhe ye jid thi ke hum bulate hume ye ummid wo pukaren..
Hai naam hothoon pe ab bhi lekin aawaz mai pad gai daraaren..
Badi wafa se …..

Ye geet bahut kuchh mahsoos karne bahut kuchh yaad karne pe majboor kar deta hai
Hai na??????

Duaon ke saath aapka ek badnaam dost


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#8)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
hi - 11th April 2004, 03:24 PM

dear aashiq
apne jis andaz se tarif kee wo bhi kabile taarif hai aapka dil se shukr guzar hun ke aapne yanhaa aakar meri koshish ko saraha


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
11th April 2004, 03:28 PM

dear raahi jee
aapne tareef kee to dil khush ho gaya aapko shukriya ada karta hun aapne apna waqt meri gazal kee sarhana karne mai diya isliye shukriya or ummid karta hun ke aap aage bhi hosla afjai ke liye apna samay denge


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Re: Waqt kee tarah hun .....
Old
  (#10)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
Re: Waqt kee tarah hun ..... - 12th April 2004, 09:22 PM

Quote:
Originally posted by anish_ekshayar
Dear friends
Fir se apni ek gazal aapke samne pesh kar raha hun jisme mai hun meri tanhai hai or aap hain


Yun hee ek roj kahin door chala jaunga !
Waqt kee tarah hun haathon se fisal jaaunga !

Apni yaadon ke nisha chhod kar jaata hun mai ..
Dhund lena mujhe yaadon mai main mil jaaunga !

Teri basti kee taraf se jo gali jaati hai ..
Unhi galiyon se mai chupchap gujar jaunga !

Mai saba ban ke tere paas se gujrunga kabhi ..
Tere daaman ko jo chhu lunga to thum jaaunga !

Mar gaya to bhi fana na hone paunga..
Pyaar bankar main fijaaon mai bikhar jaaunga !

Jo kabhi yaad banke aaunga dil mai tere ..
Ashk ban kar teri aankho se chhalk jaaunga !

Ho sake tujhse to kar lena tu noha( marne waale ke liye rona) mera
Tere ashko ko jo chhu lunga sanwar jaaunga !

Ab to hur shaks kee najron se ‘anish’ utar sa gaya ..
Teri yaadon se bhi ek roj utar jaaunga !
Dost fhir deri se hazir ho raha hu....par koyii gham nahi...jitna padhta jaa raha hu..utna sakoon mil raha hai..sach tum mai ek jassbaton ka dariyaa behta hai...yaar lagta hai har dil ki kahani se wakif hoo tum....hmmm bass yu hii shayri.com ki mehfil ko sajate rehana.....iss umid kai saath..izazat..Sanju!


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Re: hi
Old
  (#11)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Re: hi - 13th April 2004, 08:30 PM

Quote:
Originally posted by anish_ekshayar
Dear shimul jee
Aapne fir se ek baar mere liye samay nikala iske liye tahe dil se shukriya aapne jo geet bheja mujhe bhi bahut pasand hai ek geet jo mere bhi dil ke karib hai film “thodi see bewafai “ kishor da ka gaya hua pesh kar raha hun

Hazaar raahe bhi mud ke dekhi magar kahin se sada na aai
Badi wafa se nibhai tumne humari thodi see bewafaai !

Jahaan se tum mod mud gaye the wo mod ab bhi wahin pade hain..
Hum apne pairo me jaane kitne bhwanr lapete hue khade hain..
Badi wafa se ………

Kabhi kisi roz youn bhi hota humari halat tumahari hoti ..
Jo raate humne bitai mur kar wo raat tumne gujaari hoti ..
Badi wafa se ……

Tumhe ye jid thi ke hum bulate hume ye ummid wo pukaren..
Hai naam hothoon pe ab bhi lekin aawaz mai pad gai daraaren..
Badi wafa se …..

Ye geet bahut kuchh mahsoos karne bahut kuchh yaad karne pe majboor kar deta hai
Hai na??????
Salam,
Umeed karti hu aap theek honge. Shukriya aapka. Derse main mail check ki aur iss liye derse reply kar rahi hu. Aapka gana bhi khub thi. Mehsoos karati hein? Yaad dilati hein? Majboor toh hum sabhi hein shayad, hein na? Tahe dilse shukriya aapka, for a nice song & your reply. Khush rahiye yeh Duwa hamesha rahegi aapke liye aur sabke liye bhi. Aapna khayal rakhiyega. God bless you. Allah Hafiz.

Duaon ke saath aapka ek badnaam dost
Badnaam woh bhi dost? Keya kehna! Ab hum kuch kahein toh keya kahein?

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
Ajforu
Registered User
Ajforu is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 64
Join Date: Apr 2003
Location: Chicago
Rep Power: 21
14th April 2004, 04:40 AM

hi....hw ru?
I like ur poetry...very touchy..
impressive..haan
well........ all the best for the next poetry..n keep writing.
bye
take care....from KOMAL>>


bichad k tujhse naa milna toh ek bahana tha,
mujhe to sirf tera waada aazmana tha.
   
Reply With Quote
hi sanjoo
Old
  (#13)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
Love hi sanjoo - 14th April 2004, 05:02 PM

sanjoo dost

bahut bahut mafi chahta hun ke maine aapke post ko aaj padha aisa bhi nahi hai ke mai aaj hee online hua par such kahun to mai in dino bus ek gazal shayri.com par post karta or chala jaata i m sorry
aapke tareef humesha aapke is dost ko hosla deti hai aap jaisa to nahi par haan aap ke bahut kareeb tuk pahunch jaun to samjhunga kee mai bhi aakhir shayr ban gaya wah wah kya line mili hai isi se ek sher likh deta hun

tere pyaar ne aakhir anish ko bhi bana diya shayar
wrna to bekar hee kagz khraab karta tha !

thnx for reply


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
hi komal
Old
  (#14)
anish_ekshayar
Registered User
anish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the roughanish_ekshayar is a jewel in the rough
 
anish_ekshayar's Avatar
 
Offline
Posts: 399
Join Date: Apr 2003
Location: Alwar (Rajasthan)
Rep Power: 24
Love hi komal - 14th April 2004, 05:05 PM

dear komal jee
aapne mere hosle buland karne mai meri maddad kee thnx waise jo likha wo jajbaat the jo aapne padha wo ahsaas the or tinki aapne tareef kee wo alfaaz the mai to kanhi tha hee nahi mai janha khamosh hun mujhko wanha se suniye
ek baar fir se shukriya kabool kijiye
ek sher aapke naam par ye mera banaya nahi mere dil ke kareeb hai

aankh kahti hai ke ai dil tune mujhko khraab kiya !
dil ye kahta hai ke ai aankh tune mujhko kho diya !
maloom nahi padta ke sahi konsee hai baat..
dono ne milke yaar hume to dubo diya !


anish

tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko !
meri baat or hai maine to mohobbat kee hai !!


:) anish.paliwal@gmail.com:)
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Waqt waqt ki baat hain Firoz Sayyad Shayri-e-Dard 1 8th October 2010 03:57 PM
Das ki tarah GOPALKDAS Aapki Shayri 0 22nd June 2008 02:53 AM
waqt be-waqt tum mujhe yun aajmaya na karo santosh_kumar Shayri-e-Ishq 2 11th February 2008 02:21 AM
Waqt-Waqt Ka Khel Hai!!!! Ghulam Ali Shayri-e-Dard 0 26th January 2006 02:34 PM
Waqt Waqt ki Baat lachar Shayri-e-Ishq 0 26th April 2003 03:29 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com