Dosto!
Bharat aur Pakistan ke majudah Haalaat, amn-pasand
logoN ke liye ik ajeeb si udaasii kaa sabab ban gaye, is se aap sab waaqif haiN hi.
KuChb saaloN pehle, ik shaa’ir ke aisi udaasii par jo jazbaat thay usay, Ahmad Faraaz ki is nazm paRheN aur, aap bhii meHsuus kareN.
……………………………………………………………
Nazm
Dostii kaa haath
guzar gaye ka’ii mausam ka’ii ruteN badliiN
udaas tum bhi ho yaaro, udaas ham bhii haiN
faqat tumhiiN ko nahiiN raNj-e-chaak-daamaanii
kih sach kaheN to dareedah-libaas ham bhii haiN
tumhaare baam ki shamm’eN bhi taabnaak nahiiN
mire falak ke sitaare bhi zard zard se haiN
tumhaare aa’inah-Khaane bhi zaNg-aaluudah
mire suraahi-o-saaGhar bhi gard-gard se haiN
nah tum ko apne Khad-o-Khaal hi nazar aayeN
nah maiN yeh dekh sakuuN jaam meN bharaa kyaa hai
basaaratoN pe woh jaale paRe kih donoN ko
samajh meN kuChh nahiiN aataa kih maajara kyaa hai
nah sarv meN woh Ghuruur-e-kashiida-qaamati hai
nah qumriyoN ki udaasi meN kuChh kamii aayii
nah khil sakay kisi jaanib moHabbatoN ke gulaab
nah shaaKh-e-amn liye faaKhtaa ko’ii aayii
tumheN bhi zid hai kih mashq-e-sitam rahe jaarii
hameN bhi naaz kih jaur-o-jafaa ke aadii haiN
tumheN bhi zo’am Mahaa-Bhaarata laRii tum ne
hameN bhi faKhr kih ham Karbalaa ke aadii haiN
sitam to yeh hai kih donoN ke marGh-zaaroN se
havaa-e-fitnah-o-buuu-e-fasaad aatii hai
alam to yeh hai kih donoN ko wahm hai kih bahaar
aduu ke KhuuN meN nahaane ke b’aad aati hai!
to ab yeh Haal hu’aa is darindagii ke sabab
tumhaare paaNv salaamat rahe nah haath mire
na jeet jeet tumhaarii, nah haar haar miri
nah ko’ii saath tumhaare nah koii saath mire
hamaare shahroN ki majbuur-o- be-navaaa maKhluuq
dabii hu’ii hai dukhoN ke hazaar DheroN meN
ab un ki teerah-naseebii charaaGh chaahti hai
jo log nisf-sadii tak rahe andheroN meN
charaaGh jin se moHabbat ki roshanii phaile
charaaGh jin se diloN ke dayaar roshan hoN
charaaGh jin se ziyaa amn-o-aashtii ki milay
charaaGh jin se diye be-shumaar roshan hoN
tumhaare des meN aayaa huuN, dosto! ab ke
nah saaz-o-naGhmah ki maHfil nah shaa’irii ke liye
agar tumhaari anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo,
maiN haath baRhaataa huuN dostii ke liye
~Ahmad Faraaz
………………………🇮🇳……………🇵🇰………………
(Faraaz ki aawaaz meN is nazm ko yahaaN suniye)
https://youtu.be/8gwok_zmaGE
============================