yahī nahīń ki faqat pyaar karne aa.e haiń
ham ek umr kā tāvān bharne aa.e haiń
vo ek rańg mukammal ho jis se terā vajūd
vo rańg ham tire ḳhāke meń bharne aa.e haiń
ThiThur na jaa.eń ham is ijz kī bulandī par
ham apnī sat.h se nīche utarne aa.e haiń
ye buuńd ḳhuun kī lauh-e-kitāb-e-ruḳh ke liye
ye til sar-e-lab-o-ruḳhsār dharne aa.e haiń
lagā rahe haiń abhī ḳheme ġham kī vaadī meń
ham is pahāḌ se dāman ko bharne aa.e haiń
tire laboń ko milī hai shaguftagī gul kī
hamārī aańkh ke hisse meń jharne aa.e haiń
'nisār' band-e-qabā kholnā muhāl na thā
so ham jamāl-e-qabā band karne aa.e haiń
-Aaga nisaar