Kis kadar insaan ka imaan dooba hai
Apne aham ke liye doosre ka sir kaata hai
Ye kaisi duniya hai jahan vahshat hi vahshat hai
Aadmiyat ka aks aadmi ne hi jhuthlaaya hai
Jaanwar bhi ladta hai to roti ke tukde ke liye
Insaan zameen ke tukde ke lie bana darinda hai
Kya milega mazhab ke naam pe nafrat baantke
Khuda kabhi na dahshatgardon ka hua hai
Main jab kisi roz koi saaz chhedne ka sonchta hun
Usi roz dil ne deewaaron par dard paaya hai
Bahra ho chuka hai aadmi ya kaan dhank liye hain
Siwa matlabparasti ke zubaa par kuch nahi aata hai
Ho sakta hai tere chahne se aman na aaye ‘Kaash’
Par duaaen nek rakhne me aakhir kya jaata hai