Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Mashahoor Shayar

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
miltee hai
Old
  (#1)
joe_arg261986
Registered User
joe_arg261986 has a spectacular aura aboutjoe_arg261986 has a spectacular aura aboutjoe_arg261986 has a spectacular aura about
 
joe_arg261986's Avatar
 
Offline
Posts: 173
Join Date: Sep 2003
Location: india(mumbai)
Rep Power: 0
Post miltee hai - 29th September 2003, 10:36 PM

1. miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN

[ KHoo-e-yaar = lover's nature/behavior/habit, naar = fire,
iltihaab = flame, 'azaab = sorrow ]

2. kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

[ jahaan-e-KHaraab = world of problems, shab = night,
hijr = separation ]

3. taa phir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar
aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

[ taa = so that, 'ahad = promise ]

4. qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

[ qaasid = messenger ]

5. mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

[ bazm = meeting/"mehafil", saaqee = bar tender ]

6. jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

[ munkir-e-wafa = one who denies loyalty, fareb = illusion/fraud
badGHumaaN = suspicious, baab = company ]

7. maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

[ muztarib = anxious/disturbed, wasl = meeting with the lover,
KHauf = fear, raqeeb = opponent, pech-o-taab = predicament ]

8. mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN

[ mai = bar, haz'z-e-wasl = joy of meeting, KHudaa_saaz = god's gift,
iztiraab = anxiety ]

9. hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

[ shikan = wrinkle, tarf = eyelid ]

10. laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

[ itaab = anger ]

11. woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN

[ naala_dil = crying heart, KHas = hay/grass, shigaaf = crack,
aaftaab = sun/face ]

12. woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

[ sehar = magic, muddaa talbee = fulfillment of a desire,
safina = boat, ravaaN = move, saraab = mirage ]

13. 'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN

[ abr = clouds, roz-e-abr = cloudy day, maahtaab = moon ]
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
mujhe zindgee tumahree aag se miltee hai masoomshayer Shayri-e-Ishq 8 9th March 2006 10:08 AM
miltee hain... Faraz Ahmad Shayri-e-Dard 0 22nd January 2006 09:11 PM
Nahee miltee yaha mohabbat Bhim Gharti Shayri-e-Dard 1 20th December 2005 04:03 AM
miltee nahiN he daad-e-sukhan,hum rakhte heN per taab-e-sukhan yasir rashdi Ghazal Section 1 2nd November 2004 11:37 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com