Quote:
Originally Posted by @kaash
Auron ko thes pahuchane ke lie kyun dharm-o-mazhab ka sahara leta hai aadmi
Allah kaho Eeshwar kaho ya God ek hi baat hai kyun nahi samajhta hai aadmi
Hindu ho musalmaan ya ho sikh isaai khoon ka rang to sabka hi laal hai
Phir aadmiyat ki suhaani tasweer par kyun dhabba lagaata hai aadmi
Ek taraf chaand par ho aaya ek taraf jaane kitne kahkashaaon ka pata lagaaya
Ek taraf ye bhi tarakki ki jane kis tarakki ke lie aadmi ko hi maarta hai aadmi
Aman chain ki khatir apne ilm ko nahi lagata,bhaichaargi me hunar nahi lagata
Par badhen nafrat ki aandhiyan hon vahshat ki rawaaniyan khush hota hai aadmi
Zindagi me kal kya hona hai ye sirf Uparwale ke haath me hai ‘Kaash’
Jo kia maine kiya bus isi soch me ulajhke lutf-e-ruhaaniyat khota hai aadmi
|
Good One .... Nice Effort ....... Mubaaraqbaad !!!