Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > English/Hindi/Other Languages Poetry > Hindi Kavitayen

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
shatranj....!!!
Old
  (#1)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Exclamation shatranj....!!! - 24th December 2009, 10:22 PM

sab dostoN aur sdc parivaar ko mera namaskaar...!
Maine kai baar suna tha ki jivan ek shatranj ke khel ke samaan hota hai.....i's baat ko samjhne ke liye jab soch raha tha, kuch awaara pankatiyaN dil aur dimaag meiN naachne lageeN......socha kuch likh dekha jaye.....jab likhne laga to kuch aisa likha gaya....jaisa bhi hai aapki nazar....lutf uthaiye....aur jaane se pehle bataate jaiyega ki yeh koshish kaisi rahi.....


=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_=_
=_=_=_=



raja aur rani ka khel hai ye...!
na samjhna diloN ka mel hai ye...!
chaunsath khanoN ki kisi ne khel banayee...
apni nazaroN se duniya ek alag dikhaiyee...!

paidal bechaare kuch na kar sakte...
bas ek khana hi aage badhte...!
bagal wale ko kaat bas sakte...
raja ke liye maar dete ya marte...!

ghode ki dekho dhaii chaal...!
jab nikle dushman ko kar de badhaal...!
uchhal uchhal chahuN o'r ghoomta...
raja ke bas rehta kadam choomta....!

unth chale hai tedhi chaal ...
d'ng hot dushman dekh kamaal...!
paaoN utha jab daud lagata....
raja ke gird suraksha ka kavach banata....!

haathi har dum seedha hi chalta....
tabaahi machata jab bhi nikalta....!
har bairi ne Haathi ko kosa....
raja ko tha uspe bharosa.....!

rani ki hai ajab kahani....
kar sakti jo chahe man_maani....!
khud pe sab waar seh leti....
raja ki bhi vo bani chaheti...!

sanjida yeh khel hua tab....!
aamne saamne dushman mile jab...!
bhagdad dekho maidaan meiN mach gayee....
pal bhar meiN kai jismoN se rooh pighal gayee....!

dheere dheere maidaan saaf hua....
khuda hi jaane kiske saath insaaf hua....!
bach gaya dekho raja akela....!
khatam hua uske aage ka mela.....!

haathi Ghode sab mare pade the....
paidal bhi ab kahaN bache hue the....!
itne meiN aawaz ik boli ''sheh...! aur maat...''
raja ne tab nazar ghoomayee, dekha ab koi nahi hai saath...!

jo hona tha ho vo chuka tha....!
khatam ab jivan bhi ho hi chuka tha...!
pachhtave se ab na banti koi baat....!
maut na jaane kisi ki koi bisaat....!

phir nayee ek subha hui....
shatranj phir se saji mili....!
jivan ka yeh khel anokha.....
akal waloN ko bhi ho jaata dhokha....!!!


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#2)
amit7600
Registered User
amit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really nice
 
Offline
Posts: 484
Join Date: Oct 2009
Location: Kolkata-City of Joy
Rep Power: 19
24th December 2009, 10:53 PM

bhai!!!!!
shatranj ke chousth khano me sabse tej daud rahe hai aap.....bahut hi sundar aur kasa hua vivran......man ko lubha gaya......ishwar kare aapki har khane mai fateh ho.....
bayani alag thi par umda thi maaza aa gaya phadke....

aise hi kamal karte rahiye.....

aapka


amit7600
Aandhiya Gam Ki Chalegi To Sawar Jaoonga Me
Mai To Dariya Hu Samoondar Me Utar Jaaonga Me
Mujhe Suli Pe Chadane Ki Jaroorat Kya Hai Logo
Mere Haato Se Kalam Cheen Lo Yuhi Mar Jaoonga Me


(When i received You in my heart everything changed for me)
  Send a message via Yahoo to amit7600  
Reply With Quote
Old
  (#3)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Love 25th December 2009, 03:27 PM

Quote:
Originally Posted by amit7600 View Post
bhai!!!!!
shatranj ke chousth khano me sabse tej daud rahe hai aap.....bahut hi sundar aur kasa hua vivran......man ko lubha gaya......ishwar kare aapki har khane mai fateh ho.....
bayani alag thi par umda thi maaza aa gaya phadke....

aise hi kamal karte rahiye.....

aapka
Amit bhai,

Kaise haiN aap....?
Meri koshish ko pasand karne ke liye maiN aapka tahe dil se dhanyawaad kart hooN....bhai daudne ki abhilasha to bilkul nahi, apnoN ke saath saath aage badhne ki hai....aur jab apnoN meiN aap jaise kisi ka shumaar ho to aage badhna bhi nirarthak lagta hai.....kyoNki jo chahiye vo to pehle hi hai phir aage chal kar jaana kahaN hai...? Aap meri har koshish ko pasand karte haiN....aapka jitna bhi shukriya kahuN kam hoga....

Aapka apna,
Vikram...


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#4)
LAMHA
beautiful moment.........
LAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant futureLAMHA has a brilliant future
 
LAMHA's Avatar
 
Offline
Posts: 6,429
Join Date: Jul 2007
Location: u.s.a
Rep Power: 42
Smile 30th December 2009, 07:42 PM

Vikram,
wahhhhhhh.... kya baat hai janab... bahut khoob... aapne shatranj ke khel ka mazaa dugna kar diya... yaha aapne shatranj ke har mohre ki chaal ka is kadar bakhubi se varnan kiya hai ke jise shatranj khelna nahi bhi aata wo bhi aasani se is khel ko samaj sakta hai... bahut umdaa rahi aapki ye tehreer...is khel ki khubsoorati se aapne apne shabdo ko khoob sajaya hai... gr8 work .... yuhi likhte rahiye.... khush rahiye...


"LAMHA"

mujhko acchaa nahiiN lagtaa ko’ii hamnaam teraa ,
ko’ii tujhsaa ho to phir naam bhii tujhsaa rakhe....
  Send a message via Yahoo to LAMHA  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
30th December 2009, 09:51 PM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
Vikram,
wahhhhhhh.... kya baat hai janab... bahut khoob... aapne shatranj ke khel ka mazaa dugna kar diya... yaha aapne shatranj ke har mohre ki chaal ka is kadar bakhubi se varnan kiya hai ke jise shatranj khelna nahi bhi aata wo bhi aasani se is khel ko samaj sakta hai... bahut umdaa rahi aapki ye tehreer...is khel ki khubsoorati se aapne apne shabdo ko khoob sajaya hai... gr8 work .... yuhi likhte rahiye.... khush rahiye...


shayad lamha sahi kah rahi hai
mujhe to itna maloom nahi yeh game
ab yeh poem padh kar samjhna padega

thanx sweety



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
amit7600
Registered User
amit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really niceamit7600 is just really nice
 
Offline
Posts: 484
Join Date: Oct 2009
Location: Kolkata-City of Joy
Rep Power: 19
30th December 2009, 10:27 PM

bhai,
yeh shukriya vukriya ke fasane ****iye......sabhi cheeze gatiman hai.....aage bhdna hi jeevan hai......sthul ho jaana, jeena nahi hai...yeh mujhjse jyada aap jante hai.....mera aisa manana hai ki aapko aage bhi aur hamkhyali hamrahi milenge....hum to hai hi dost!!!!hum kaha jayenge....kisi ke liye rukana pal do pal to thik hai....par sthir ho jana thik nahi....
aage ke nazare bhi khoobsurat hai.....bhadte rahiye.....

duao ke saath
aapka apna


amit7600
Aandhiya Gam Ki Chalegi To Sawar Jaoonga Me
Mai To Dariya Hu Samoondar Me Utar Jaaonga Me
Mujhe Suli Pe Chadane Ki Jaroorat Kya Hai Logo
Mere Haato Se Kalam Cheen Lo Yuhi Mar Jaoonga Me


(When i received You in my heart everything changed for me)
  Send a message via Yahoo to amit7600  
Reply With Quote
Old
  (#7)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
30th December 2009, 11:13 PM

Quote:
Originally Posted by amit7600 View Post
bhai,
yeh shukriya vukriya ke fasane ****iye......sabhi cheeze gatiman hai.....aage bhdna hi jeevan hai......sthul ho jaana, jeena nahi hai...yeh mujhjse jyada aap jante hai.....mera aisa manana hai ki aapko aage bhi aur hamkhyali hamrahi milenge....hum to hai hi dost!!!!hum kaha jayenge....kisi ke liye rukana pal do pal to thik hai....par sthir ho jana thik nahi....
aage ke nazare bhi khoobsurat hai.....bhadte rahiye.....

duao ke saath
aapka apna
amit jee ,
main sehmat hun aapki in baatoN se



Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai


Goodbye SDC

Diya
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Talking 31st December 2009, 11:14 AM

Quote:
Originally Posted by LAMHA View Post
Vikram,
wahhhhhhh.... kya baat hai janab... bahut khoob... aapne shatranj ke khel ka mazaa dugna kar diya... yaha aapne shatranj ke har mohre ki chaal ka is kadar bakhubi se varnan kiya hai ke jise shatranj khelna nahi bhi aata wo bhi aasani se is khel ko samaj sakta hai... bahut umdaa rahi aapki ye tehreer...is khel ki khubsoorati se aapne apne shabdo ko khoob sajaya hai... gr8 work .... yuhi likhte rahiye.... khush rahiye...

Lamha jii....itni khoobsurat tareef ke liye bahut bahut shukriya...
kai baar to aapke muNh se tareef sun lagta hai ki waqi achha likha
hoga... ...aur maze ki baat yeh ki mujhe khud ko shatranj nahi khelni aati
aur jo kavita meiN likha hai, b'as utna hi ilm hai...
saath banaaye rakhne ke liye aapka bahut bahut shukriya...
aane ka silsila barkaraar rakhiyega....

aapka dost,
vikram...


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#9)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
Love 31st December 2009, 11:18 AM

Quote:
Originally Posted by amit7600 View Post
bhai,
yeh shukriya vukriya ke fasane ****iye......sabhi cheeze gatiman hai.....aage bhdna hi jeevan hai......sthul ho jaana, jeena nahi hai...yeh mujhjse jyada aap jante hai.....mera aisa manana hai ki aapko aage bhi aur hamkhyali hamrahi milenge....hum to hai hi dost!!!!hum kaha jayenge....kisi ke liye rukana pal do pal to thik hai....par sthir ho jana thik nahi....
aage ke nazare bhi khoobsurat hai.....bhadte rahiye.....

duao ke saath
aapka apna
amit bhai...kaise ho...?
aap maiN aapki baat samjhta hooN....yeh bhi, aur jo aapne
pehle likha woh bhi...aur maiN aapki baat se na kewal sehmat hooN
balaki uski izaat bhi karta hooN...b'as aap jaise dost hi chahiyeN, chal
rahe haiN baki dekha jayega...

aapka
vikram...


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#10)
asdfgh
Guest
 
Posts: n/a
4th January 2010, 02:21 PM

waah bhai waah ...Vikram ji, ye waali to kamaal likhi hai aapne... Sach me aankho k aage shatranj ki bisaat aa gayi padhte padhte

lekin aapki aakhir ki kuch panktiyo k baare me kuch kehna chaahunga...
Bhai.. Jaruri nahi k jab raja akela ho tabhi shai aur maat hoti hai... Kaii baar poori sena saath hoti hai aur fir b raja haar jata hai aur kai baar akela paidal he puuri sena pe bhari pad jata hai... Ye to bass khelne wale k upar depend karta hai... Jaise ham sab b ek tarah se shatranj ki bisaat ki 'gotiya' he hain. .. Koi raja, koi paidal koi kuch to koi kuch... Hamare saath khelne wala wo uparwala hai... Wo chahe to paidal se raja ko shikast karwa de... Khair...
Aapki ye rachna padhkar beete din yaad aa gaye, mai bhi 10-11 saal pehle kaafi khelta tha ye game... Aaj un dino ki yaade taza ho aayi aapki rachna padhkar
khush rahiye aur Mastt rahiye ...
Aapka chota bhai
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
6th January 2010, 02:31 PM

Quote:
Originally Posted by Buland Shayar View Post
waah bhai waah ...Vikram ji, ye waali to kamaal likhi hai aapne... Sach me aankho k aage shatranj ki bisaat aa gayi padhte padhte

lekin aapki aakhir ki kuch panktiyo k baare me kuch kehna chaahunga...
Bhai.. Jaruri nahi k jab raja akela ho tabhi shai aur maat hoti hai... Kaii baar poori sena saath hoti hai aur fir b raja haar jata hai aur kai baar akela paidal he puuri sena pe bhari pad jata hai... Ye to bass khelne wale k upar depend karta hai... Jaise ham sab b ek tarah se shatranj ki bisaat ki 'gotiya' he hain. .. Koi raja, koi paidal koi kuch to koi kuch... Hamare saath khelne wala wo uparwala hai... Wo chahe to paidal se raja ko shikast karwa de... Khair...
Aapki ye rachna padhkar beete din yaad aa gaye, mai bhi 10-11 saal pehle kaafi khelta tha ye game... Aaj un dino ki yaade taza ho aayi aapki rachna padhkar
khush rahiye aur Mastt rahiye ...
Aapka chota bhai
buland bhai...kaise haiN aap...?
i's kavita ko padhne aur pasand karne ke liye aapka tahe dil
se shukriya...

aapki baat bilkul theek hai...lekin i's kavita ke madhayam se maine
zindagi ki asliyat ko, shatranj se jodne ki koshish ki hai...kitni safal rahi....yeh to nahi bata sakta...aur ek kavita meiN koi bhi ek hi pehlu dikhaya ja sakta hai...waise to zindagi ke itne rang haiN ki shayad un sabko jaan paana bhi mumkin na ho...ek koshish matr hai yeh...

tareef ke liye aapka shukriya...
aap bhi khush rahiye...aur muskuraate rahiye...

aapka,
vikram...


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com