Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Ishq

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN ..
Old
  (#1)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Exclamation Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN .. - 15th August 2003, 09:13 PM

DostoN Aksar Chand Jaisi ChizeiN Sirf Dekhne ke liye hoti haiN Dil lagane ke liye nahi ..


Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN
Ek khwaB haiN Jo In aankhoN me Har Roz Sajaya karte HaiN

Vo Raat Kabhi to aayegi Jab Chand Hume Mil Jayega
Uss Raat Ko aksar Soch ke Hum Har Raat Guzara karte HaiN

Ye Chand Kabhi Chup Jata hai Badal me Rooth ke Humse Jo
Hum AasooN Bhar kar aankhoN me Ro Ro ke pukara karte HaiN

Ek Roz Kabhi To aayega Jab Humse Nahi Roothega Ye
Ye Soch ke Ab Iss Chand ko Hum har Roz manaya karte HaiN


andaaz
   
Reply With Quote
waah
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
waah - 15th August 2003, 10:19 PM

kshitiz dost,
bahot hasin...........
waise bhi chaand khud hi apne aap maie itna hasin hai k oose jab kavita par paya jaaye tab kavita ki roshni ki baat hi kuchh aur ho jaati hai....

Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN
Ek khwaB haiN Jo In aankhoN me Har Roz Sajaya karte HaiN

Vo Raat Kabhi to aayegi Jab Chand Hume Mil Jayega
Uss Raat Ko aksar Soch ke Hum Har Raat Guzara karte HaiN

Ye Chand Kabhi Chup Jata hai Badal me Rooth ke Humse Jo
Hum AasooN Bhar kar aankhoN me Ro Ro ke pukara karte HaiN

Ek Roz Kabhi To aayega Jab Humse Nahi Roothega Ye
Ye Soch ke Ab Iss Chand ko Hum har Roz manaya karte HaiN

yah soch ke ab chand ko roj manaya karte hai.... waahhhhhh
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#3)
pari
Registered User
pari will become famous soon enoughpari will become famous soon enough
 
pari's Avatar
 
Offline
Posts: 687
Join Date: May 2003
Location: USA
Rep Power: 22
hi - 15th August 2003, 11:07 PM

Ek Roz Kabhi To aayega Jab Humse Nahi Roothega Ye
Ye Soch ke Ab Iss Chand ko Hum har Roz manaya karte HaiN

wah kya khoob likha hai.....bahut hi achha..........

inka to har andaaz naya hota hai.........
jis per hum jaison ka dil fidaa hota hai.......
.chaa jaati hai ajeeb si kasish dil mein...........
jab pesh -e khidmat kshitiz ka kalaam hota hai

daad ke saath.....
aapki dost..
pari


Chadha hai aaj bhi uska Rang, jisne kabhi Ranga hi nahi :-)
   
Reply With Quote
Hi
Old
  (#4)
Rimjhim
Registered User
Rimjhim has a spectacular aura aboutRimjhim has a spectacular aura aboutRimjhim has a spectacular aura about
 
Offline
Posts: 607
Join Date: Mar 2003
Rep Power: 24
Hi - 15th August 2003, 11:23 PM

Khitiz ji, bahaut dino baad hamari mulkaat hui, sahi mai aapne bahaut khoob likah hai, aise hi likhte rahiye. Sabse badhiya lines yh lagi.

Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN
Ek khwaB haiN Jo In aankhoN me Har Roz Sajaya karte HaiN

Bahaut khoob uhin sapne sajate rahiye.

Luv
Rimjhim


"It takes a minute to have a crush on someone, an hour to like someone, a day to love someone, but it takes a lifetime to forget someone..."

Isn't that true??? ;-)
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#5)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
hi - 16th August 2003, 11:19 AM

hi Khitiz ji

Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN
Ek khwaB haiN Jo In aankhoN me Har Roz Sajaya karte HaiN

apne chand ke liye jo baatein kahi hai bhut hi khoobsurt lafjoin ka istemaal kiya hai apne .
bhut khoob


yuhi chand se baatein kar aap chaand ko paa le inhi ummedoin ke saath

sakhi

byeeeeeeee


कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
b ahot khub
Old
  (#6)
mitaparekh1@hot
Registered User
mitaparekh1@hot will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 415
Join Date: Feb 2003
Location: bombay
Rep Power: 22
b ahot khub - 16th August 2003, 12:01 PM

Ye Chand Kabhi Chup Jata hai Badal me Rooth ke Humse Jo
Hum AasooN Bhar kar aankhoN me Ro Ro ke pukara karte HaiN

wah bahot khub likha hai
Chand se ji bhar ke bateen karo sunta hai tumhara dil
man ko ajeeb sa sukun milta hai hasta hogo tumhara dil


mita
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
16th August 2003, 01:48 PM

Dear Kshitiz, Wah. Aapka yeh shayri dil ko choo gayi hein.
Keya kehdiya aapne. Bohot khub, waise Pyaar agar ho toh yehi toh hota hein. Unko toh hum aise hi pukarte hein, hein na?
Beautiful. Mafhi chahungi ke mein pehle nehi reply kiya.
Thanks. Take care. God bless.
Shimul.

Mujhe teri mohabbat ka sahara milgaya hota,
agar tofha nehi ati kinara mil gaya hota
Mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota!!

Sahi kaha?


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Re: Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN ..
Old
  (#8)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
Re: Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN .. - 16th August 2003, 01:52 PM

Jab Sari Duniya Soti Hai Hum Chand Se bateiN Karte HaiN
Ek khwaB haiN Jo In aankhoN me Har Roz Sajaya karte HaiN

hi kshitiz
bahot pyare khayalat hai...chaand jaise hi nirmal aur paakiza.aise hi likhte rahiye...hamari shubhkamnaye sadev aap ke saath hai....mashoor shaayar Indeevar ki chand line yaad aa gayi...

chaand milta nahin sabko sansaar mein
hai diya hi bahot roshni ke liye....

-Manoj Kureel
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#9)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
16th August 2003, 02:40 PM

Manoj Jee, waise yeh toh ab gazal yea gana bole ban chuke hein.

Pehla line yeh hein, Chorde sari duniya kisike liye,
yeh munasifh nehi aadmi ke liye.................
Yeh gana zaroor suniyega. Mujhe toh bohot achha lagta hein.

Waqt jiyada nehi tha mere paas nehi toh mein aur bhi likhti.
Thanks. Take care. God bless.
Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Hi
Old
  (#10)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
Hi - 16th August 2003, 06:30 PM

Khitiz ....waah har bar ki tarah..ek aur lajwaaB kalaam...bhai ap itana achha kese likhte hoo....sach mai bohot khubsurt zehaniyat ke malik hai ap..!!!!!bass yu hii hamesha likhte raho aur hum jese dostoN ke karib rahoo....tafir ke sath chalta hu...
yaar ap ne chaand ke bare mai ap ray sahi kayam kii hai....woh sirf durr se dekhne ki chiz hotii hai...
kabhi ek sher likha thaa hume chaand ke mutalikh joo aaj ap ko sunate hai...

Chaand ko jab bhii chhuNa chaha
Hotii hai mere DIL jalaN kyoN.......


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
allahabadrptds
Registered User
allahabadrptds is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 360
Join Date: Sep 2002
Rep Power: 22
16th August 2003, 09:00 PM

wah........!!!!!!!!!!!

bahut khoob likha hai. bahut hi khoob likha hai.


"chaand ko to guroor hai ki uske paas noor hai
hum kis par guroor karen humara chand hi humse door hai"


=================
aviral
  Send a message via Yahoo to allahabadrptds  
Reply With Quote
Old
  (#12)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
16th August 2003, 11:05 PM

Dear Avi Jee, fikar na kare. Aapka chand bhi Allah Karega ke aapke paas hi honge. Mein toh duwa kar rahi hu na ab toh dekhna ke bohot jaldee woh aapke paas hogi.

Waise ek baat hein, mein sochti hu ke aap larke log thorisi na samajh ho. Yea toh bewafa ka naam dene meh aap logoko waqt nehi lagta hein aur duriya bhi bardasht nehi karpate hein.

Uski bhi toh kuch sochiyega, kyu?

Thanks. Take care. God bless.
Shimul.

Yeh Pyaar woh Pyaar hein jise jo Ruh meh basne wale hote hein!!


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Bahut achhe
Old
  (#13)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Cool Bahut achhe - 18th August 2003, 12:16 PM

Kshitiz ji aapki ye post pasand aai, socha kuchh reply karooN, so pesh kar raha hooN-(umeed hai bura nahi maaneiNge)

Kabhi Chaand ka dard bhi samjho
Kuchh uski mushkileiN bhi pehchaano,
Mohobbat or sirf paane ki khwahisheiN?
Ey Dil Diye jaane ke hunar ko bhi Jano.

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand

Last edited by Chaand; 18th August 2003 at 12:20 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
18th August 2003, 04:32 PM

Meena Ji ..

Chand To Tareef ke kabil Hai Hi .. Isme koi shaQ nahi Hai Bas chand Alfaaz nikal aaaye Humare Zehan ss Tareef me ..

Shukriya farmana Chahta HuN Aapke keemti WaQt ke liye



Pari JI ..

Tareef AdayGi ke ye Andaaz Bhi Bahut khoob Hai ..

Aapke in keemti alfaazoN ka Eihsan Mand Ho Gaye Hum ..

Apna khyaal Rakhiye .. Aur

Likhti Rahiye YooN Hi ..



Rimjhim Ji ..

Mulakat Jiyada To nahi haaN kuch Der baad Zuror ho rahi hai .. Aap kaisi haiN .. Aapko Isse padh kar achha laga Jaan kar hume bhi bahut achha laga

tareef ke liye bahut bahut shukriya



Sakhi JI ..

Aapki Dua ke liye Bahut shukrGuzar huN

Aapne bhi Jo chand nihayti khoobsurat alfaaz Istemal kiye haiN Shukriya ada karna chahunga

Isi tarah se likhte rahiye

Apna khyal rakhiye





Meeta Ji ..

Shukriya Tareef ke liye ..

Aapne apna waQt nikala shukriya kabul farmaiye . .




Shimul Ji sahi pahchana aapne ..

UNhe bhi hum aise hi pukarte haiN Aapki nigah bahut gahri hai ..

Pahle bhi kah chuka huN muafi jaise lafz zuban pe naa laya ki jiye
Iss Zahmat ki vazah kya ho sakti hai

Apna khyal rakhiye ..




Manoj Ji ..

aapki tareef ka bahut bahut shukriya ..

Bahut khobsurat ashaar farmaya aapne abhi .. Aapne waQt nikala Humare Liye ..

Shukriya kabul farmaiye ..



Sanju Bhai

Hum to yooN hi kareeb rahenge Bas aap sath me rahiye ..

bahut sahi kaha Sanju Bhai ..

Chaand ko jab bhii chhuNa chaha
Hotii hai mere DIL jalaN kyoN

Bahut achhe

Likhte Rahiye Bhai

Apna khyaal rakhiye




allahabadrptds Ji ..

Kafi achha sher yaad dilaya aapne Mujhe ye kafi pasand hai ..

tareef ke liye bahut bahut shukriya ..




Aji Chaand Sahab

Bura kyoN manenge Aap kaisi bateiN bateiN kar rahe haiN balki khushi hogi ki aapne yahaN tavajjo di .. Aakhir ye post bhi to aapke naam se milti julti hai ..

Kabhi Chaand ka dard bhi samjho
Kuchh uski mushkileiN bhi pehchaano,
Mohobbat or sirf paane ki khwahisheiN?
Ey Dil Diye jaane ke hunar ko bhi Jano.

Chaand


Bahut khoob farmaya aapne .. MAIN KUCH URZ KARU

Mohabbat Thi kisi Se To DarD Se Dosti kar Li
Mila Na Chand To pyale Se Dosti kar Li
Laga Vo Har Sitara Jo Chand Ke Kareeb
To uss Sitare Se Dosti kar Li

Tareef farmane ka behad shukrGuzar huN


andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
18th August 2003, 09:30 PM

Dear Kshitiz, wah keya baat kaha hein aapne. Bohot khub.
Ha jee yeh "nazare" dilki nazar hi hein jo paas hein, baas aur keya.
Aap keise hein? Thikh toh hein ke nehi? Aaj kaal kafhi masrufh lagte hein. Chale jab waqt mile toh likhna. Thanks.
Aapna khayal rakhiyega. God bless.
Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
manoj kureel
Kureel
manoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of lightmanoj kureel is a glorious beacon of light
 
manoj kureel's Avatar
 
Offline
Posts: 2,700
Join Date: Jul 2003
Location: new delhi INDIA
Rep Power: 28
19th August 2003, 10:12 AM

hi shimul ji

shukriya ki aap ko bhi yeh gaana bahot pasand hai...purane hindi ganon ki baat hi kuch aur hai....meine pehle hi mention kar diya tha ki yeh mashoor shayar Indeevar ke alfaaz hai...film ka naam hai Sraswatichandra.

-manoj
  Send a message via Yahoo to manoj kureel  
Reply With Quote
Old
  (#17)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
19th August 2003, 01:57 PM

Manoj Jee, how are you? I hope you are well.
Mein thikh hu aur mujhe yeh gana achha lagta hein ish liye toh pata chalgaya, hein na?
Aapko meine kuch aise toh nehi keha! Aap mere baate samajhte nehi shayed. Well what to do. Thanks for reply.
Take care. God bless.
Shimul.


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
chand
Old
  (#18)
anshaman
Registered User
anshaman will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 33
Join Date: Aug 2003
Location: allahabad
Rep Power: 0
chand - 19th August 2003, 06:53 PM

chand say baat karna khataray ki ghanthi hai meray bhai
  Send a message via Yahoo to anshaman  
Reply With Quote
Old
  (#19)
aap_ka_dost
Registered User
aap_ka_dost is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 13
Join Date: Jun 2003
Rep Power: 0
20th August 2003, 05:57 PM

bahot achha lika hai
cool man
aaise hi likte raho
aap ka dost
   
Reply With Quote
Old
  (#20)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
22nd August 2003, 05:01 PM

Shimul ji ..

masrufiyat to hai hi .. khair iss masrufiyat me bhi waQt nikal hi lete haiN .. khair aap bataiye kaisi haiN ..




Anshaman Ji ..

Khatra To har jagah hai aur kahiN nahi hai .. Ya kah sakte haiN ki khatra Vo Hai Jo sirf aur sirf Humare Dil ko mahsoos hota hai .. kabhi kuch kho jane ka khatra kabhi kisi se door ho jane ka khatra kabhi kisi ki narazgi ka khatra ..

HaQikat ye hai ki Jo hona hota hai usse koi rok nahi sakta hum chaheiN lakh khatro se bacha bacha kar chaleiN khud ko ..

Aapka javab padh kar bahut achha laga
Apna khyal rakhiye ..



Aap Ka Dost ..

Ji TAreef ke liye bahut bahut shukriya ..

Koshish karta rahunga


andaaz
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
sari duniya rab ki hai krishna Shayri-e-Ishq 0 17th August 2010 01:06 PM
Batein to Bohat Hain... cowboy8424 Shayri-e-Ishq 0 31st March 2004 06:09 PM
Ailaan Karte Hain Hum Is Zaalim Duniya Se... chaahat Shayri-e-Dard 2 15th August 2003 10:14 PM
Batein to Bohat Hain... amrit_sharad Shayri-e-Dard 0 27th May 2003 10:17 PM
Batein to Bohat Hain... mohammed Shayri-e-Ishq 0 22nd March 2003 10:29 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com