thode hi sahi woh beqaraar hain to sahi -
18th October 2001, 07:14 AM
humse milne ke talabgaar hain to sahi
thode hi sahi woh beqaraar hain to sahi
main akela hi nahin hoon sabka gunehgaar
kuch log mere bhi gunehgaar hain to sahi
aalam-e-gam mein hai noor teri yaadon ka
zulmat mein uriyaa(n) sharaar hain to sahi
zulmat=andhera,uriyaa(n)=naked,sharaar=chingariyan
ye behte hue aansoo ye bhujte hue chiraag
aik-do apne bhi gamgusaar hain to sahi
gamgusaar=hamdard
tere gaalon pe til ko dekh kar tassali hui
husn ke kuch pehredaar hain to sahi......!!
maikasH
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................
Last edited by maikasH; 18th October 2001 at 07:17 AM..
|