Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Ab aankhoN se..
Old
  (#1)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
Post Ab aankhoN se.. - 31st March 2004, 01:05 PM

Aadaab Doston!

Hmm.. aaj kal humaare threads 'A' se hi kyu shuru hote hain? Khair.. Ek baar phir hum haazir hain, ek nayi ghazal lekar.. kuchh hi lamhoN me likh gayi thi ye.. humaari usual ghazals se zara lambi hai.. umeed hai ki pasand aayegi..


______________________________________

Ab aankhon se ashk nahi girte hain,
Yaaron se hans kar hum milte hain.

Khanjar chalaaye berukhi unki,
Ghayal, hum roz zakhm seete hain.

Wo pyaar, wo aashnaayi hui gum,
Shama tale roshni dhoondhte hain.

Kya hai sabab is dard o ghum ka,
Mathe ki shikan se poochhte hain.

Pal bhar ki khushi wehem to nahi,
hasrat pe apni gumaan karte hain.

Labon par nahi, kaaghaz pe sahi,
Daastaan e dil yun bhi likhte hain.

Raahein suuni, Safar barsoN ka,
Baadal jaise, hum bhi chalte hain.

______________________________________


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Musafeer
Mahamism
Musafeer is on a distinguished road
 
Musafeer's Avatar
 
Offline
Posts: 59
Join Date: Jan 2004
Location: thikana nahi humara, zindagi ek safar ban kar rehgahi, our um ek musafeer ...
Rep Power: 21
31st March 2004, 01:16 PM

That was great, you write beautifully. I look forward to readign more from you. Take care.

Musafeer


MmAeHrAiM
R + M
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
31st March 2004, 01:19 PM

Musafeer saahab,

Thanks for reading and appreciating my work.. its always nice to know that someone likes what you write and express... Thank you once again..Take care..


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
sanjoo
MriiGchiika
sanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to allsanjoo is a name known to all
 
sanjoo's Avatar
 
Offline
Posts: 1,664
Join Date: Sep 2002
Location: INDIA (Mumbai)
Rep Power: 28
2nd April 2004, 09:18 PM

Afshan..........

Ab aankhon se ashk nahi girte hain,
Yaaron se hans kar hum milte hain.

Khanjar chalaaye berukhi unki,
Ghayal, hum roz zakhm seete hain.

Wo pyaar, wo aashnaayi hui gum,
Shama tale roshni dhoondhte hain.

Kya hai sabab is dard o ghum ka,
Mathe ki shikan se poochhte hain.

Pal bhar ki khushi wehem to nahi,
hasrat pe apni gumaan karte hain.

Labon par nahi, kaaghaz pe sahi,
Daastaan e dil yun bhi likhte hain.

Raahein suuni, Safar barsoN ka,
Baadal jaise, hum bhi chalte hain.....

------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------
------------------------------------------------------------------------------------
-------------------------------------------ap samjh gayii na iss kalaam ki kitnni tarif karii hai humne....ab kabhi kabhi bina bole bhii samjha jata hai.....hai naa...

chaloo tau ab jate hai....apna khayal rakhna.....Sanju!


Jindagi se to khair shikvaa tha,

muddato mout ne bhi tarsaaya hame..

.....
   
Reply With Quote
Re: Ab aankhoN se..
Old
  (#5)
Shimul
*Ishq~Ibadat.......**
Shimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of lightShimul is a glorious beacon of light
 
Shimul's Avatar
 
Offline
Posts: 8,716
Join Date: Jun 2003
Location: Aapne Sanam Ko Yaad Kiya Sar Jhuka Liya**
Rep Power: 33
Re: Ab aankhoN se.. - 3rd April 2004, 02:46 AM

Salam,
Dear Afshan Jee, umeed karti hu aap theek hongi? Mein bilkul theek hu. Derse aapko reply kar rahi hu, I just wish you can understand. Kabhi kabhi, anyway. Mein jiyada toh nehi kehsakti baas yeh ke dard mehsoos zaroor karsakti hu balkein kar rahi hu.
Yehi shayad hota hein.......khushi toh char pal ke liyein milti hogi aur dard haazar.......keya karein!!! Baas hoshla rakhna humarein liyein zaroori hein.......Waisein aapko woh Qaawali ka toh pata hogi: Pyaar Bafa hein Pyaar Sada hein* Chahaton ki Duniya mein dekh aisa hota hein*ek pal jo hashta hein baar baar rota hein*film name is Keya yehi Pyaar hein. Agar abhi tak nehi suna hein toh zaroor suniyega, mujhein bohot achha lagta hein. And if you want to read the lyrics you will find it here too. Dilki gehraion se shukriya kabool kijiyega. Yunhi likhtein rahiyega. Duwa hamesha rahegi. Take care. God bless you. Allah Hafiz.

Keep smilling.......


*Aapni Parwaaz-e-Takhayyull Hain Zamane Se Juda
Jiss Jagah Koyi Na Pahuncha Wahaan Tak Pahunche
Main Samajhta Huun Harr Dil Mein Khuda Rehta Hain
Mera Paigam Mohabbat Hain Jaahan Tak Pahunche**
*~~~Ahsan Sherazi Jee~~~**

*Pure Love**
   
Reply With Quote
assalaam alaikum...
Old
  (#6)
saud(sahil)
Registered User
saud(sahil) is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 29
Join Date: Apr 2004
Location: lucknow
Rep Power: 0
assalaam alaikum... - 3rd April 2004, 12:55 PM

assalaam alaikum ,
mai aap ke bare me kuchh nahi janta ..aur hamara aur aap ka koi rabta bhi nahi hai....kyon ki mai abhi is site par bilkul naya hoon....apne is ghazal numa ehsaas ke liye meri taraf se tahe dil daad qubool kije.....saath me mai shukriya ada karna chahoon ga kshitij bhai ka jinhon ne mujhe is site ke baare me bataya ..jiski wajah se mujhe mauqa mila aap logoN ko parhne ka.....aap ke is ehsaas ko sun kar mujhe ...Dr. saghar aazmi ko woh sher yaad aa gaya........ki..

"woh rula kar hass na paya der tak....
jab mai roo kar muskuraya der tak..."

duaaon ke saath .... duaaon ki guzarish

sahil...

ALLAH HAFIZ
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#7)
romana
Registered User
romana will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 754
Join Date: Sep 2002
Location: uk
Rep Power: 22
hi - 3rd April 2004, 01:48 PM

hi meri banno

kaisi ho aap sis

vow aapki ghazal ki pehli lines hi humara dil uda ke lay gayi itni piyaari nazamlikhi hai aapne vo bi hamesha ki tarah itna dard hai is nazam mai maloom nah kiya kaho aur is mai achai bi hai aur saadgi bi. all togather its a beautiful nazam. i thin aap a se is liye likte hai ke afzaan bi to a se hi shuru hota hai na lol

take care and keep on writin
bye


~,ROMANA,~
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
3rd April 2004, 02:15 PM

Sanju....

__________________________________________________ __________________________________________________ __________________________________________________ __________________________________________________ _________________________ Ab to tum samajhh gaye ki hume kitna achha laga ki tumne humaare jazbaat samjhe?? Yunhi saath dete rehna dost!.. Take care!


Shimul ji,

Aapka dil itna hassaas hai ki sabke ghum ko, khushi ko, aakhir mehsus kar hi leta hai.. aur ye sabke bas ki baat nahi.. humaare is kalaam ko paRne ke liye, aur use mehsus karne ke liye tahe dil se shukria!


Saud Saahab!

LOL.. dekhiye kya ittefaaq hai!.. aapne jo ghazal likhi hai, wahi humne kuchh ghantoN pehle Sanjoo aur Chaand saahab ke kalaam par post ki.. waqai.. bohat achhi ghazal hai ye.. Humaara raabta nahi, aap humaare me kuchh nahi jaante.. lekin yahaan kuchh din rehne par pata chalega, ki yahaan sabhi ek doosre ke dost hain.. sabhi ek doosre ko jaante hain, pehchaante hain.. ek dooje ke jazbaat mehsus karte hain.. unke ehsaas ki qadr karte hain.. Is bazm me, is mehfil me aapka swaagat hai!.. Yunhi haunsla afzai karte rahiyega.. Hum koshish karenge ki aage bhi achha hi likhein.. shukria!


Hi romana!!

Kahaan thi itne dino se tum?? Kaisi ho? Hum to theek hain.. jaise bhi hain, aapke saamne hain Chalo.. tumhe ye kalaam pasand aaya, achha laga!.. yunhi aati rehna, aur humaare posts par reply karti rehna.. Tumhaari khairyat to pata rahegi!.. LOL.. take care!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#9)
romana
Registered User
romana will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 754
Join Date: Sep 2002
Location: uk
Rep Power: 22
hi - 3rd April 2004, 03:35 PM

hi

well thnx

i m k. yeh to mere saare dosto ki shikayaat rehti hai ke mai site pe nahi aati aur un sab ko enough time nahi de paati magar fikar mat karu hum kahi nahi jaane waale ab kuch dinoo tak yahi hai holidays hai na so i can afford sum time. nice to hear dat u r ok but i really like this poem its really good.
take care of ur self

bye


~,ROMANA,~
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
talib
Registered User
talib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to beholdtalib is a splendid one to behold
 
talib's Avatar
 
Offline
Posts: 775
Join Date: Aug 2001
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 29
4th April 2004, 01:42 PM

Rahien Suuni, Safar BarsoN ka
Badal jaise hum bhi chalte hain.


waah.. this sher is really nice.... i mean u can feel that movement and state of a cloud... moving sadly/ silently i search of water...
ho sakta hain aap bhi jab udaas hoti hain to aise hee dheeme bina awaaz , khoyee khoyee chalti hain..

kya baat hai Afshaan G... bulandiyaaN haasil kar rahi hain aap. Likhte rahiyega...


Ta- Gor Tumhara

Talib.

Last edited by talib; 4th April 2004 at 01:44 PM..
  Send a message via Yahoo to talib  
Reply With Quote
Old
  (#11)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
5th April 2004, 01:46 PM

Romana..

Well, may your holidays last a looooooong time!



Janaab Talib!

Salaam aur aadaab!


Haan.. kabhi kabhi.. hum bhi baadalon jaise chal lete hain.. actually, dekha jaaye, to hum sab, kahi na kahi, us baadal jaise hi hain.. sab apne bhaTakte safar me, dheere dheere chale chal rahe hain.. kise pata kahaan hai manzil.. Raahein bhi to nahi zindagi ke aasmaan me.. magar phir bhi.. chale chal rahein hain..

Gosh..LOL.. hum shayad kuchh zyada hi serious ho gaye, na? Chaliye.. Koshish rahegi ki humaare kalaam un baadaloN jaise honge, buland.. Aur agar aap yunhi haulsa baRaate rahe, to ye mumkin bhi hai!..

Apna khayaal rakhiyega.. aur muskuraate rakiyega..

Allah Hafiz!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
7th April 2004, 06:13 PM

Raahein suuni, Safar barsoN ka,
Baadal jaise, hum bhi chalte hain.

yeh andaaz hai na jo aapka likhne kaa,ye bahut pasand hai mujhe..kuchh hi lafzon mein kitna kuchh keh jaati ho tum..Gr8

Waise ek sheyr pada tha tumhaara tumhaari kisi pehli ghazal mein,jo sach kahoon bahut hi zyaada pasand aaya tha..ab bhool chuka huun,par bahut tareef karni chahi thi uski magar waqt se maar khaa gaya..

To is ghazal ke saath saath us Sheyr ki ik baar fir se tareef karta hua chalta huun..

Take Care

Urs Veeru
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Mayank
Registered User
Mayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.comMayank is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Mayank's Avatar
 
Offline
Posts: 4,715
Join Date: Jan 2004
Location: Khariar, Odisha
Rep Power: 0
8th April 2004, 01:04 PM

Afshan Ji,

Kaisi HaiN aap? Wakaii bahut hi achhaa likhaa hai aap ne. Suru se aakhirii tak bahtariin hai. Iss se pahle bhi humne aap ki ek ghazal padhii thii hume yaad aa rahaa hai ki woh bhi aansooN par hi thi aur yah bhi. Woh bhi hume achhii lagi thii aur yah bhii.
Khair, Aap ki yah ghazal bahut achhi lagii. Daad ke saath taareef Kabul farmaiyegaa. Likhte rahiyegaa.

Mayank
  Send a message via MSN to Mayank  
Reply With Quote
Old
  (#14)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
10th April 2004, 10:50 AM

Veeru!

Kaise ho tum?? Are, tum humaare kalaam paRte ho, ye hi kaafi hai.. Hum jaante hain ki tum kitne masroof rehte ho.. phir bhi waqt nikaal kar yahaan jawaab dete ho, ye bohat hai!.. Humesha ki tarah, humaari hausla afzai karne ka shukria.. I will try and live up to your high expectations....LOL.. you take care!


Mayank ji..

Kaise hain aap?

Haan, isse pehli waali rachna aansu ke baare me hi thi.. chaliye, koshish karenge ki kuch naye khayaal pesh karein, jald hi.. umeed hai ki jaise ye kalaam aapko pasand aaye, wo bhi pasand aayega!.. Tareef ke liye tahe dil se shukria!


Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Aankhon hi Aankhon mein ..... WASEEF- Unlucky Shayri-e-Ishq 1 18th January 2007 12:13 PM
Aankhon Aankhon Mein khoonigazzal Shayri-e-Dard 6 1st March 2006 03:48 PM
Guzar gaee raat aankhon aankhon main baba Shayri-e-Ishq 0 31st December 2003 02:21 PM
Aankhon aankhon main. shakeel shaiki Shayri-e-Ishq 2 29th December 2003 06:40 PM
aankhon hi aankhon mein vinaydugar Shayri-e-Ishq 1 19th December 2003 08:34 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com