Aapka Saathi -
13th March 2006, 09:13 PM
Aadab Doston,
Waise main yahan koi naya nahin hoon, main yahan hamesha aap sabhi ko padney ke liye aata hoon. Magar registration ab kar paaya hoon.
Sabko padkar alag alag tazurbey hue hain mujhe. Sabhi dost gum mei doobey hue dikhayi diye. Sabhi ka dard apni kahani ko bayaa karta hai. Maine shayad socha bhi nahin tha ki main yahan apna registration karaonga. main galat tha, mujhe yahan registration karana pada kyu ki main aap sab ko shukriya kehna chahta hoon jo aap sab ne is mehfil ko roshan kiya. Main shukrgujar hoon ki maine aap sab ko pada aur mehsoos kara.
aapka
saathi
|