Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Kya maine Desh ko Maara hai ??
Old
  (#1)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Kya maine Desh ko Maara hai ?? - 7th April 2006, 10:46 AM

Desh mera marne ko hua hai
dekho bas jalney ko hua hai.
Sansad ke galiyaaron mein
aantak ka pravesh hua hai.

Dilli ki qismat mein rona
Dilli jo Bharat ka gehna.
Maathey per ik kalank hai baaki
ghor anindra ka dukh sehna.

Ram ayoddhya vaasi hee tthey
bana rahey kyon unko dhaam.
Shilaayein rakhi thi Babar ne hee
kyon Babar ka karte ho kaam.

Ye Jaat-Dharm ye lobh mantr ne
till-till maara Gujrat ko.
Kuch Hindu marey mushlim bhi jale
loota sabne jazbaat ko.

Gandhi ke Gujrat ko dekho
khoon behgaya macha kohraam.
Jis maathey per lakhon bal they
wahan likh diya Akshardhaam.

2 Aktubar Gandhi ka din tha
janm hua jab ek Pitaa ka,
Uttaranchal ka kaal diwas wo
balatkaar jahan Maa ka hua tha.
Tiraah tha woh Rampur ka
jahan tham gaya tha Uttaranchal,
Bhai sangiyon ne khayee goli
behan-betiyon ka utraa aanchal.

Jaliyanwala baag jala tha
zakhmi Punjab ke lal mare they,
Aaj liye bandook se aantak
lal kiye jo khet hare they.
Aawaz Bhagat ki goonjti hogi
dharti tab uski rotee hogi,
Gaanv-gaanv ki bhatki nazrein
kiski aankh se soti hogi.

Bum ki bhaasha sikha gaya
barood ki batti jala gaya,
Sau-sau laashon ka bojh liye
Kashmir naya banta gaya.
Itihaas ke jo khaali pannay hain
unme shatranj ke mohre hain,
Vartmaan ke kaagaz thorey
aaj abhi bhi korey hain.

Yeh Desh gamon ka maara hai
isko taqdeer ne maara hai,
Yeh Desh tera Yeh Desh mera
yeh Jaat-Paat mein haara hai.
Main Bhaarat ka rehne wala
kya maine sabko maara hai?
Main hee mila tha saantak ke sang
maine hee Desh ko haara hai


विपिन



Last edited by Vipinbox; 30th November 2006 at 02:16 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
7th April 2006, 02:28 PM

mere Mitr Vipin,

tumhare is ahesaas ke sath mai bhi bina shabd liye sath chal rahi hu..
...................
tumhari Meena
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
shrdh
Registered User
shrdh will become famous soon enoughshrdh will become famous soon enough
 
shrdh's Avatar
 
Offline
Posts: 1,474
Join Date: Dec 2005
Location: singapore
Rep Power: 21
7th April 2006, 02:44 PM

vipin ji aapki ek aur sachhee bahri bhavanayen

kya maine desh ko mara hai

bus sabad nahi hai

shrdh


  Send a message via Yahoo to shrdh  
Reply With Quote
Re: Kya maine Desh ko Maara hai ??
Old
  (#4)
Kanchan
Registered User
Kanchan is on a distinguished road
 
Kanchan's Avatar
 
Offline
Posts: 463
Join Date: Dec 2005
Location: Dehradun
Rep Power: 19
Re: Kya maine Desh ko Maara hai ?? - 7th April 2006, 07:48 PM

Quote:
Originally posted by Vipinbox
Desh mera marne ko hua hai
dekho bas jalney ko hua hai.
Sansad ke galiyaaron mein
aantak ka pravesh hua hai.

Dilli ki qismat mein rona
Dilli jo Bharat ka gehna.
Maathey per ik kalank hai baaki
ghor anindra ka dukh sehna.

Ram ayoddhya vaasi hee tthey
bana rahey kyon unko dhaam.
Shilaayein rakhi thi Babar ne hee
kyon Babar ka karte ho kaam.

Ye Jaat-Dharm ye lobh mantr ne
till-till maara Gujrat ko.
Kuch Hindu marey mushlim bhi jale
loota sabne jazbaat ko.

Gandhi ke Gujrat ko dekho
khoon behgaya macha kohraam.
Jis maathey per lakhon bal they
wahan likh diya Akshardhaam.

2 Aktubar Gandhi ka din tha
janm hua jab ek Pitaa ka,
Uttaranchal ka kaal diwas wo
balatkaar jahan Maa ka hua tha.
Tiraah tha woh Rampur ka
jahan tham gaya tha Uttaranchal,
Bhai sangiyon ne khayee goli
behan-betiyon ka utraa aanchal.

Jaliyanwala baag jala tha
zakhmi Punjab ke lal mare they,
Aaj liye bandook se aantak
lal kiye jo khet hare they.
Aawaz Bhagat ki goonjti hogi
dharti tab uski rotee hogi,
Gaanv-gaanv ki bhatki nazrein
kiski aankh se soti hogi.

Bum ki bhaasha sikha gaya
barood ki batti jala gaya,
Sau-sau laashon ka bojh liye
Kashmir naya banta gaya.
Itihaas ke jo khaali pannay hain
unme shatranj ke mohre hain,
Vartmaan ke kaagaz thorey
aaj abhi bhi korey hain.

Yeh Desh gamon ka maara hai
isko taqdeer ne maara hai,
Yeh Desh tera Yeh Desh mera
yeh Jaat-Paat mein haara hai.
Main Bhaarat ka rehne wala
kya maine sabko maara hai?
Main hee mila tha saantak ke sang
maine hee Desh ko haara hai
vipin
watan ke dard ko samar'pit tumari ye kavita kabi rang jarur layegi.

kaanch
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Post 7th April 2006, 08:59 PM

Meena Ji
aapko Pranaam!
accha laga aapke ehsaas parhe tow. aapka dhanyavaad karta hoon.

--------------

Shrdh Ji
Namaskaar!
aapne in bhaavnaon ko parha tow bahaut khushi hui. aaj samaaj ka har aadmi khud se yahi sawaal karta hai aur khud hee uska jawaab (ki..nahin maine tow nahin maara) parhkar aage barhjata hai apne kaam mein. theek usi tarah jis tarah main aage barhgaya hoon.

aapka dhanyavaad isse parhney ke liya.

-------------
Kaanch,
Kaash! ye watan sabka hota tow kitna accha hota. hai na?

vipin


विपिन



Last edited by Vipinbox; 7th April 2006 at 09:01 PM..
   
Reply With Quote
Re: Kya maine Desh ko Maara hai ??
Old
  (#6)
saathi
Registered User
saathi is on a distinguished road
 
saathi's Avatar
 
Offline
Posts: 36
Join Date: Mar 2006
Location: Hindustan
Rep Power: 0
Re: Kya maine Desh ko Maara hai ?? - 10th April 2006, 06:42 PM

Quote:
Originally posted by Vipinbox
Desh mera marne ko hua hai
dekho bas jalney ko hua hai.
Sansad ke galiyaaron mein
aantak ka pravesh hua hai.

Dilli ki qismat mein rona
Dilli jo Bharat ka gehna.
Maathey per ik kalank hai baaki
ghor anindra ka dukh sehna.

Ram ayoddhya vaasi hee tthey
bana rahey kyon unko dhaam.
Shilaayein rakhi thi Babar ne hee
kyon Babar ka karte ho kaam.

Ye Jaat-Dharm ye lobh mantr ne
till-till maara Gujrat ko.
Kuch Hindu marey mushlim bhi jale
loota sabne jazbaat ko.

Gandhi ke Gujrat ko dekho
khoon behgaya macha kohraam.
Jis maathey per lakhon bal they
wahan likh diya Akshardhaam.

2 Aktubar Gandhi ka din tha
janm hua jab ek Pitaa ka,
Uttaranchal ka kaal diwas wo
balatkaar jahan Maa ka hua tha.
Tiraah tha woh Rampur ka
jahan tham gaya tha Uttaranchal,
Bhai sangiyon ne khayee goli
behan-betiyon ka utraa aanchal.

Jaliyanwala baag jala tha
zakhmi Punjab ke lal mare they,
Aaj liye bandook se aantak
lal kiye jo khet hare they.
Aawaz Bhagat ki goonjti hogi
dharti tab uski rotee hogi,
Gaanv-gaanv ki bhatki nazrein
kiski aankh se soti hogi.

Bum ki bhaasha sikha gaya
barood ki batti jala gaya,
Sau-sau laashon ka bojh liye
Kashmir naya banta gaya.
Itihaas ke jo khaali pannay hain
unme shatranj ke mohre hain,
Vartmaan ke kaagaz thorey
aaj abhi bhi korey hain.

Yeh Desh gamon ka maara hai
isko taqdeer ne maara hai,
Yeh Desh tera Yeh Desh mera
yeh Jaat-Paat mein haara hai.
Main Bhaarat ka rehne wala
kya maine sabko maara hai?
Main hee mila tha saantak ke sang
maine hee Desh ko haara hai
Aadab Vipin saheb,
aap sach mein pehchantey hain apne mulk ko, daad kubool kijiyega meri.

sabka
Saathi


sabka
Saathi
   
Reply With Quote
Re: Re: Kya maine Desh ko Maara hai ??
Old
  (#7)
Vipinbox
ek shoonya
Vipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to beholdVipinbox is a splendid one to behold
 
Vipinbox's Avatar
 
Offline
Posts: 1,748
Join Date: Jul 2002
Location: दिल्ली व देहरादून
Rep Power: 30
Re: Re: Kya maine Desh ko Maara hai ?? - 11th April 2006, 05:25 PM

Quote:
Originally posted by saathi
Aadab Vipin saheb,
aap sach mein pehchantey hain apne mulk ko, daad kubool kijiyega meri.

sabka
Saathi
Saathi,
aapko apni rachna mein paakar harsh hua. Aapne mujhe is layaak samhjha ki main apney Desh ko pehchaan paaun. aapka dhanyavaad karta hoon main.
Isi tarah saath detey rahiyega.

aapka
v i p i n


विपिन


   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Dard ka maara........ yasmeenraaz Shayri-e-Dard 4 27th August 2010 12:46 AM
PattharoN se Maara hai....! KunaaL Shayri-e-Dard 13 25th January 2010 11:37 PM
kismet ka maara romance Shayri-e-Ishq 0 31st July 2002 12:30 PM
jindagi ne maara avi_ibcd Shayri-e-Ishq 0 12th April 2002 09:50 PM
jindagi ne maara avi_ibcd Shayri-e-Ishq 0 12th April 2002 09:45 PM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com