Quote:
Originally Posted by AHMAD SHAKIL
Arbaab-e-Zauq Ko Aadaab…..!
Pehli Baar Hazrat-e-Allama Muhammad Iqbal Sahab Ki Kisi Ghazal Ki Zameen Par Likhnay Ki Jasarat Ki Hai….
Ummid Hai Ahl-e-Zauq Ko Pasand Aaye Gi….
THI FUGHAAN WO BHI JISAY ZABT-E-FUGHAAN SAMJHA THA MAIN
Apni Aah-e-Sard Ko Soz-e-Nihaan Samjha Tha Main
"Ain" Ko Bhi Ishq Ke Ab Tak Kahan Samjha Tha Main
Khaak Kar Daala Mujhay Bas Ik Nigaah-e-Shauq Ne
Meri Khush Fehmi Thi,Khud Ko Aasmaan samjha Tha Main
Haaye Ay Dil Tuu Ne Hee Khola Mera Raaz-e-Wafa
Tujh Ko To saray Jahan Me Raazdaan Samjha Tha Main
Keh Gaya Behta Sa Kaajal Us Ke Dil Ka Maajra
"Thi Fughaan Wo Bhi Jisay Zabt-e-Fughaan Samjha Tha Main"
Mujh Ko Khalwat Ne Meri Bakhsha Shaoor-e-Zindagi
Warna Is Kaar-e-Jahaan Ko Raayigaan Samjha Tha Main
Ab Khula Uqda, Hai AHMAD Ishq Ka Rutba Barra
Aql Ko Saray Jahan Pe Hukmraan Samjha Tha Main
AHMAD ALI SHAKIL
|
muhtarim Ahmad saheb aadaab-o-tasleemaat
kya khoob Ghazal inaayat ki hai aapne, pehle to iske liye shukriya Tikaa lijiye phir mubarakbaad aur daad tasleem farmaiiye
mehfil meiN haaziri dete raha kareiN
bohat shukriya
rab raakha
.........................................
is tarhe teri yaad meiN har shaam dhaley hai
goyaa koyi nagin si kalejey pe chaley hai
maikash
...............................