ishq karte ho to halaat se kya darna
bhala sar-e-aam ikraar se kya darna
ghabrata hai dil to hote ho bechain
machalte ho khud bhi to shikwa kya karna
kar lo kabhi tum ikraar-e-halaat humse
akele mein yun aanhein kya bharna
khai hai jab saath mein kasame wafa ki
to ishq ki raahon se akele kya guzarna
karo tum bhi kabhi pyaar ki baatein
kya kahegi duniya iss fikr se kya karna
aate ho jab khayalon mein tum ae Nazneen
na poocho mujhse ki mujh pe kya marna