Koi deewana kahta hai, koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai
Mai tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai
Mohabbat ek ehsaason ki paawan si kahani hai
Kabhi kabeera deewana tha, kabhi meera deewani hai
Yaha sab log kahte hain meri aankhon mein aansu hai
Jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to pani hai
Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta
Ye aansu pyar ka moti hai isko kho nahi sakta
Meri chahat ko apna tu bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya wo tera ho nahi sakta
Bhramar koi kumudani per machal baitha to hungama
Humare dil mein koi khwab pal baitha to hungama
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohabbat ka
Mai kisse ko hakiqat mein badal baitha to hungama....
"Ishq apna rahe us shab tak, jiska na koi savera ho...."