AAj ke din ka intezaar jaane kyun hamesha karti hun....
Papa mere ache papa pyaar main tumse karti hu......
Waise to ye koi naii baat nahi hai ki har beti apne papa se kuch zyada hi pyar karti hai aur humesha chahti hai ki uske papa jahan bhi rahein bohut khush rahein...dukh takleef unhe choo bhi na paaye.........magar Papa ke janmdin ki baat hi kuch aur hoti hai...uss din to beti chaahe kitni badi ho phir 3-4 saal ki bankar machalne lagti hai....
kuch likha tha kuch waqt pehle iss tasweer par jo aaj mere ehsaaso.n ko bakhubi bayaan kar raha hai....
This is for you Papa... Happy Birthday
papa mere ache papa , mujhko chod ke jaana na
kasam tumhe hai* papa mujhse apna haath chudaana na
Papa apki pappi se hi din mera ban jata hai
sach kehti hun papa, aangan phoolo.n se bhar jaata hai
Subah savere mujhe aap jab school chodne jaate ho
meri khilti hansi dekh tum man hi man muskaate ho
kabhi kabhi jab chup kar mujhse mujhko aap daraate ho
Nahi Pata hai aapko Papa kitna mujhe satate ho..
jyo jyo shaam sarakti hai, mujhe yaad tumhaari aati hai
isiliye to aapki gudiya lipat aapse jaati hai
kabhi jo toffee aur chocolate office se tum laate ho
papa uss din tum mere ache papa ban jaate ho..
neend mein jab main darr jati hu aur phir rone lagti hu
god mein teri sar rakh kar main phir se sone lagti hu..
Papa aaj ye wada karlo chod na mujhko jaaoge
chahe duniya kuch bhi kahe,tum mera saath nibhaaoge......