Quote:
Originally Posted by anish_ekshayar
Dear Friends
Bahut dino baad fir se dil ne kuchh likhne par majboor kiya to kuchh kagaj par utarta chala gaya socha aap sabhi kee najar karun pasand aaye to batiyega or agar kuchh kahin galat ya kami see lage to bhi apni ray dijiyega aap doston kee mahfil main aakar kuchh padhna or dil ke kuchh bahut andar chal rahe jajbaat pesh karne main achha lagta hai
Main jab bhi dil main kuchh thaan kar ke rakhta hun !
Ummid kam hai bahut maan kar ke rakhta hun !
Kisi ke pyaar kee tohin na ho jaye kahin ..
Main sare dard –e- dil sambhal karke rakhta hun !
Na jaane kaun tere khwaabon kee tabeer bane ..
Main apna aks bhi nikhar kar ke rakhta hun !
Tere huzur main kuchh kahne kee manjoori nahi ..
Juban aankhon main hee dhal kar ke rakhta hun !
Har ek shaks teri or hee kyun takta hai ..
Jab saari baate.n main bayaan kar ke rakhta hun !
Na kar de maut teri yadon se mahroom mujhe ..
Main apni jaan ko sambhaal kar ke rakhta hun !
Kahin na khul jaye ye raj-e-ashiqi mera ..
Main apne dil pe bhi lagam kar ke rakhta hun !
|
hello ji
Anish ji
kaise hai aap?
meine to socha ab apki shayri shayad hi padhne ko mile...
per aaj apki shayri padhkar sacch mein bahut accha laga....
aapne bahut accha likkha hai.. har baar ki tarah
[B]
Na kar de maut teri yadon se mahroom mujhe ..
Main apni jaan ko sambhaal kar ke rakhta hun !
Kahin na khul jaye ye raj-e-ashiqi mera ..
Main apne dil pe bhi lagam kar ke rakhta hun [/B
apke yeh do sher bahut hi acche lage
umeed hai aap aage bhi aise hi shayri karte raheinge or humein nirash nahi kareinge na aane ki wajah se....
tc ji