Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Anjuman-e-Shayri

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Jahaa dekhu mai sehra hi nazar aaye hai ab mujh ko
Old
  (#1)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
Jahaa dekhu mai sehra hi nazar aaye hai ab mujh ko - 17th July 2016, 10:13 AM

Jahaa dekhu mai sehra hi nazar aaye hai ab mujh ko
Faqat dasht-e-tamanna hi nazar aaye hai ab mujh ko

BiyaabaaN ke dehektey aag mai hai hasrat-e-kausar
Magar har fard pyaasa hi nazar aaye hai ab mujh ko

Thikaane toh badal jaatey magar yaadeiN vohi rehte
Jisey dekha be-gaana hi nazar aaye hai ab mujh ko

Koee kaise rahey ga khush juda ho kar bhi apno se
Ke har koee fasurdah hi nazar aaye hai ab mujh ko

Dikhaye raah koee aye khuda bhatkey musaafir ko
YahaaN har koee tanha hi nazar aaye hai ab mujh ko

Tawaqqo ab himaayat ki karey koee kisi se kya
YahaaN sab haal-e-khasta hi nazar aaye hai ab mujh ko

Khuda ukta gaya hu mai ye roz-o-shab ke aalam se
Vohi yaksaaN tamasha hi nazar aaye hai ab mujh ko

Elaaj-e-dard-o-gham kar aye khuda ehel-e-shehar ki tu
Ke har koee tarapta hi nazar aaye hai ab mujh ko

Mujahid ishq hai mazhab parastaar-e-mohabbat ke
YahaaN sab qais-o-laila hi nazar aaye hai ab mujh ko

FEW MEANINGS

• Sehra= desert/BiyaabaaN
• Faqat= only
• Dasht-e-tamanna= desert of desire
• Hasrat-e-kausar= desire for water which is flowing in paradise
• Fard= individual
• Fasurdah= sad/dejected
• Tawaqqo= expectation
• Himaayat= support
• Haal-e-khasta= wretched condition
• Ukta= bore
• Aalam= state/nazaara/view
• Roz-o-shab= day & night
• YaksaaN= similar
• Elaaj-e-dard-o-gham= cure of pain & sorrow
• Mujahid= pen name
• Mazhab= religion
• Parastaar-e-mohabbat= worshippers of love
• Qais= another name of majnu
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
17th July 2016, 05:15 PM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post

Waah badi khoobsoorti se radeef nibhaya hai aapne..

Bahut khoob ashar..

Daad qubool karein...
Likhte rahein..

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
17th July 2016, 06:42 PM

Ji shukriya

Ye ghazal likhne se pehle maine radeef soch liya tha

Bas ek ke baad ek qafiya zehan mai aate gaye aur ghazal hogayi
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Madhu 14
Moderator
Madhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud ofMadhu 14 has much to be proud of
 
Madhu 14's Avatar
 
Offline
Posts: 5,211
Join Date: Jul 2014
Rep Power: 28
18th July 2016, 10:09 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Ji shukriya

Ye ghazal likhne se pehle maine radeef soch liya tha

Bas ek ke baad ek qafiya zehan mai aate gaye aur ghazal hogayi
Kai baar aisa hota hai.....khuda kare aapki kalam ka zor yun hee badhta rahe.......

अर्ज मेरी एे खुदा क्या सुन सकेगा तू कभी
आसमां को बस इसी इक आस में तकते रहे
madhu..
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
20th July 2016, 08:59 AM

Quote:
Originally Posted by Mujahid Ali View Post
Jahaa dekhu mai sehra hi nazar aaye hai ab mujh ko
Faqat dasht-e-tamanna hi nazar aaye hai ab mujh ko

BiyaabaaN ke dehektey aag mai hai hasrat-e-kausar
Magar har fard pyaasa hi nazar aaye hai ab mujh ko

Thikaane toh badal jaatey magar yaadeiN vohi rehte
Jisey dekha be-gaana hi nazar aaye hai ab mujh ko

Koee kaise rahey ga khush juda ho kar bhi apno se
Ke har koee fasurdah hi nazar aaye hai ab mujh ko

Dikhaye raah koee aye khuda bhatkey musaafir ko
YahaaN har koee tanha hi nazar aaye hai ab mujh ko

Tawaqqo ab himaayat ki karey koee kisi se kya
YahaaN sab haal-e-khasta hi nazar aaye hai ab mujh ko

Khuda ukta gaya hu mai ye roz-o-shab ke aalam se
Vohi yaksaaN tamasha hi nazar aaye hai ab mujh ko

Elaaj-e-dard-o-gham kar aye khuda ehel-e-shehar ki tu
Ke har koee tarapta hi nazar aaye hai ab mujh ko

Mujahid ishq hai mazhab parastaar-e-mohabbat ke
YahaaN sab qais-o-laila hi nazar aaye hai ab mujh ko

FEW MEANINGS

• Sehra= desert/BiyaabaaN
• Faqat= only
• Dasht-e-tamanna= desert of desire
• Hasrat-e-kausar= desire for water which is flowing in paradise
• Fard= individual
• Fasurdah= sad/dejected
• Tawaqqo= expectation
• Himaayat= support
• Haal-e-khasta= wretched condition
• Ukta= bore
• Aalam= state/nazaara/view
• Roz-o-shab= day & night
• YaksaaN= similar
• Elaaj-e-dard-o-gham= cure of pain & sorrow
• Mujahid= pen name
• Mazhab= religion
• Parastaar-e-mohabbat= worshippers of love
• Qais= another name of majnu
hum to har baar aapko padhkar aapke muuriid ho jaate hai Mujahid bhai aur is baar bhi aapke kalam ne jo sama bandhaa hai kya kehne ek sher jis par dil se muqarrar nikla uska zikr kar raha hoon yaha par:

Khuda ukta gaya hu mai ye roz-o-shab ke aalam se
Vohi yaksaaN tamasha hi nazar aaye hai ab mujh ko

upar waale se dua hai ji zor-e-kalam aur ziyaadah....likhte rahiye aabaad rahiye

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#6)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
20th July 2016, 09:07 AM

Shukriya mast sahab na-cheez ko iss qabil samajhne ke liye

Jiss sher ka aapne khususan zikar kiya voh mulk ke siyaasi ahvaal ko dekhte hue likha hai

Bohat dino se aapke kalaam se ru-baru nahi hue

Kuch inaayat kijiye aap bhi
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
sabaa kiyani
Registered User
sabaa kiyani will become famous soon enoughsabaa kiyani will become famous soon enough
 
sabaa kiyani's Avatar
 
Offline
Posts: 455
Join Date: May 2015
Rep Power: 10
28th July 2016, 01:36 PM

vah vaah buhet hi achi ghzal hey mujahid saheb
Dheiron daad

sabaa kiyani
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Mujahid Ali
Registered User
Mujahid Ali will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 387
Join Date: Feb 2016
Location: Mumbai
Rep Power: 9
28th July 2016, 02:51 PM

Meri koshish aapko pasand aayi saba ji

Ye sun ke achha laga

Duaao mai yaad rakhey
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is On

Forum Jump

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com