jab main tumhe dekha karta tha..... -
2nd July 2005, 10:34 PM
kaise bhulu wo din...wo bachkaani harkate...
jab teri ek jhalak paa lene ke liye main ghanto baitha rahta tha...
teri ek muskaan par mit jaane ko dil karta tha....kaise bhulu we din.........
yaad hai mujhe jab pahali baar dekha tha tujhe....
ek ajab si tarap uthi thi is mann main paa lene ko tujhe...
paagalo sa fira karta tha main..har kone main intejaar karta tha main....kab gujregi tu meri gali se...yehi socha karta tha main.....
dil main armaan tha..bhola sa aetbaar tha....
tu meri hogi..iska mujhe gumaar tha....
sajti thi sej suhaani yaado main...bajti thi sahnaiya mere kaano main....
kabhi to milenge hum bhawisya ki parchahiyo main.....jab prem paripakt hoga dil ki gahraiyo main.....
TUT gae sapne saare ki dol gaya main....
band hui sahnaiyaa bajni tab jaag gaya main....
bhola tha...maasum tha...chala tha chaand ko churane.....
thokar khaake jo gira..tut gae swapn saare.....
Ab teri yaad me kavitae likhta hu main.....
dil me jo armaan tha...use apni pahchaan banataa hu main........
"....bus yuhi haat thaame rahna...... kinaara hum khud talaash lenge...."
|