Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
junooN to kaam koi aur karne bhi naheeN deta
Old
  (#1)
zarraa
Registered User
zarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.comzarraa is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zarraa's Avatar
 
Offline
Posts: 1,718
Join Date: Dec 2010
Rep Power: 37
junooN to kaam koi aur karne bhi naheeN deta - 6th June 2021, 10:34 PM

जुनूं तो काम कोई और करने भी नहीं देता
ये जीने भी नहीं देता ये मरने भी नहीं देता

ना तारे तोड़ कर लाए ना ले कर चाँद आए हो
गिला करता है जो हद से गुज़रने भी नहीं देता

समझ्दारी तो है पुरहौल राहों से डरूँ लेकिन
जो है मेरी अमां में मुझको डरने भी नहीं देता

कहीं रस्ते में उसका घर ना आ जाए कि वो मुझ को
गुज़रने भी नहीं देता ठहरने भी नहीं देता

हुआ है पत्थरों से रेज़ा-रेज़ा आइना लेकिन
है किस का अक्स जो उसको बिखरने भी नहीं देता

सुनाता है क़फ़स में हाल-अहवाल आसमां का वो
मुझे सैयाद अपने पर कतरने भी नहीं देता

ना जाने किस तरह का रब्त है गिर्दाब को मुझसे
डुबोता भी नहीं है और उभरने भी नहीं देता

ना जाने कौन से लम्हे पयाम-ए-वस्ल आ जाए
मेरा महबूब तो सजने-सँवरने भी नहीं देता

भला इस जाम को हाथों में थामूँ कब तलक “ज़र्रा”
कि रखने भी ना दे साक़ी कि भरने भी नहीं देता

- ज़र्रा

junooN to kaam koi aur karne bhi naheeN deta
ye jeene bhi naheeN deta ye marne bhi naheeN deta

na taare toDe kar la’e na le kar chaaNd aa’e ho
gila karta hai jo had se guzarne bhi naheeN deta

samajhdaari to hai purhaul* raahoN se darooN lekin
jo hai meri amaaN** meN mujh ko darne bhi naheeN deta
*fearsome **refuge

kaheeN r’ste meN us ka ghar na aa ja’e ki wo mujh ko
guzarne bhi naheeN deta thaharne bhi naheeN deta

hua hai pat’tharoN se reza-reza* aaina lekin
hai kis ka aks jo us ko bikharne bhi naheeN deta
*in pieces

sunaata hai qafas* meN haal-ahvaal** aasmaaN ka wo
mujhe saiyaad apne par katarne bhi naheeN deta
*cage ** state of affairs

na jaane kis tarah ka rabt* hai girdaab** ko mujh se
dubota bhi naheeN hai aur ubharne bhi naheeN
*bond **whirlpool

na jaane kaun se lamhe payaam-e-vasl* aa ja’e
mera mahboob to sajne-saNvarne bhi naheeN deta
*message of union

bhala is jaam ko haathoN meN thaamooN kab talak “zarraa”
ki rakhne bhi na de saaqi ki bharne bhi naheeN deta

- zarraa


maiN rehnuma ke kahe raastoN se door raha
mera maqaam sada manziloN se door raha
   
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com