aaj yeh fiza rukhi si kyun hain, hawaon ne badloka rukh modna kya chod diya hain
mera yaar, woh dildaar, anewali ahat se kaynat mein dhum si machi hain
mere hosh ki khabar bhi kahan, behosh sa sama hain apne hi dhunme chur
uske deedar ka takaluf, woh husn ke tabassum se jalwe
ankh band hain, palke zuki to kya hua, dil pe to tasbeer bani huee hain
ek nagine sa, ek chamakta, noorani sa chehra apne apko sambhalsa raha hain
aag aj pani mein lagi hain, udhar ka mahol bhi hubhu hain
yeh dil kah raha hain, hame to apne khwabonki tapish ka andaza sa hain
tadapta dil, dard bhi kya hain, yaro unke intajar ka
sato janam se jaise, roohani sa fareb bhi macha hua hain
akhri waqt woh mulakato ki nishani, aaj bhi dilme tajagi se jami hain
kya unka hona bhi jaroori hain, meri to duniya bewajah hi magroor hain
waqt bhi kyun rookh sa gaya hain, ek palmein kayee sadiya beetati ho jaise
pattoka lahrana, panchiyonka gungunana, sooraj ki roshni, raat si lag rahi hain
aaj to mera yaar, mera dildaar anewala hain,
dil dhadak raha hain, sanse rukh si rahi hain, pura alam thamsa gaya hain
bas ek intajar, woh apne rukhsar ka sawarte, sambhalte anewala hain
kya eh khudai den hain, namalum sa tohfa, anmol jiski pahchan ho
woh ishq qa lamha, unki hotose nikalte sitar, ankhose zalakti may ho jaise
unke hone ka bhi ek bulandi sa agaaz hain, kya maine paya kya maine khoya
duniya ke rasmo riwazon ka naap tol bhi kaha hain, mera to bas ek hi jahan hain
yar mera, dildar mera, aaj meri duniya ko wardate ishq mein abad jo karega
yeh khayal bhi kitna nasheman hain, jante jante hum anjaanse huye
unhe to iski khabar bhi kaha hain, aisa to nahi meri duniya ka yehi alam udhar bhi bana hua hain
hum apni duniya mein dube, unhe sanware bhi koyee
dubti kashtika khayal bhi kaha hain............