Akhbaar -
20th August 2009, 12:04 PM
Ek khabar aayi hai k mai khabar ban gya hun,
ab ye sawaal hai ke kya mai jee rha hun?
--------------------------------------------------------------------------
Aaj kal man bada bimaar sa rehta hai,
najane kyu umeedon ko bhukhar sa rehta hai
Kuch kehne k liye zubaan nahi khulti
chup rehne ka ajeeb khumar sa rehta hai
Ese hue hain gum is shehar k logo mai,
k pyar apno par aksar udhaar sa rehta hai
Wqt khud hi likh de mere naam koi gazal,
esi koshish mai shayar berozgaar sa rheta hai
Purane naam kayi yaad aakar phir bhul jate hain,
roz koi naya chehra milne ko taiyar sa rehta hai
wqt k sath dhalne wala, Logo se hans k milne wala,
Har shaqs mai koi adakaar sa rehhta hai..
BaatoN ne badhna chho.d diya, logoN ne ladna chho.d diya
ye acha hai, insaan ab akhbaar sa rehta hai
Aaj kal man bda bimaar sa rehta hai!
Najane kyun umeedon ko bhukhar sa rehta hai!
--------------------------------------------------------------------------
- Komal
|