aaj pankh laga ud jaana chahti hoo
aasmaan ko chhu lena chahati hoo
aankho me basa ke mai wo sapna
haqiqat me didar karna chahti hoo
Kyaa baat haiii!
manjil door hai aur hai kathin raasta
sabhi par ek saath chalana chahti hoo
ummed ki kiran, ki hai faili chhata
ise uhi barkraar rakhana chahti hoo
Bautifull Thought!!
aaj ki na puchho meri hai kya dasha
doori gamo se taiy karna chahti hoo
aaj gaa rahi hoo khood se to taraana
ye taraana har baar gaana chahti hoo
jindagi ke daud me nahi jhookana
khud ki ‘garima’ko paana chahti hoo
Hmmmmmm.... aisa hi likhti rahogi.. to jald hi paaogi!!
Garima!
Main kaya jee.. tusi to chhaaa gaye ho... Ishq di mehfil bhi sajaa di aapne.. Chalo doston ki baat ka maan to rakhti ho
Bhai.. mujhe to bahut bahut pasand ayaa... Meri to dher saari daad le lo.. aur yun hi kucch halka halka sa likhti raho
Ek post aur bhi to hai.. owh main kar doon kya? tumhare naam se ?
