Bazm ko is nacheez ka ek baar phir aadaab.janab ek baar phir ek kavita lekar pesh hua hoon main is bazm ke saamne.asal me kuch padha aur waisa hi kuch likhne ki kosish ki jo likh paya wahi aapke saamne pesh kar raha hoon.bas yahi umeed lekar ki aap sabhi ko ye pasand aayegi.to janab pesh hai ek aur ghayal kalaam..............................
Agar na milta saath tumhara ,main ye geet nahi gaa pata.
Main to kewal gaane wala,geet tumhare dard tumhara.
Pyar tumhara pane ko hi,
Shayad janm hua tha mera.
Pakar ke sanidhya tumhara,
Jeevan dhanya ho gaya mera.
Yadi mere mann ke marusthal me tum ganga ki bhanti na behte,
Sookh gayi hoti ab tak-------mere jeevan ki rasdhara.
Main to kewal gaane wala,geet tumhare dard tumhara.
Shradhamay wishwas suman hain,
Pooja ka samaan nahi hai.
Bhav samarpan kar pane ki,
Nistha ka bhi bhaan nahi hai.
Yadyapi aradhana ka apna--------mulya hua karta jeevan me.
Kintu tumhe main pooj raha hoon,nishdin,jab kar naam tumhara.
Main to kewal gaane wala,geet tumhare dard tumhara.
Tum baithe ho mann mandir me,
Iska mujhko gyan nahi tha.
Peera ka samrajya alaukik,
Hota hai anuman nahi tha.
Peera ka such madhur manohar-----kewal anubhuti jagi hai.
Mere bhagya-gagan ka tabse,punah chamakne laga sitara.
Main to kewal gaane wala,geet tumhare dard tumnhara.
Aaj bhale hisammukh mere,
Pag-pag par aayenbadhayen.
Tumse shkti chintan paa kar,
Jagne lagi nayi aashayen.
Ekakipan ke dukh ki bhi ab tak sahi wedna kitni,
Nayi prerna paa kar tumse,gata hoon main geet dobara.
Main to kewal gane wala,geet tumhare dard tumhara.
aapka LUCKY