raks karti hain tanhaiyan............ -
20th September 2006, 07:43 PM
raks karti hain tanhaiyan meri yadon ke aangan me,
pyasi hain nazren is baar chale aao sawan me.
chaman ke ik gule-begana se shikve bhi kya karte,
kaanton ki saugaat hi thi is zardar ke daaman me.
kitabon ke zard gulab bhi the aatish-ba-jaan kabhi,
doobte mahtabon ne kaha itrana kaisa joban me.
maana raqeeb na hoga mujhsa aashiq tumhara,
ruswa na karna kabhi ho laakh buraai sajan me.
kat-ta hi nahi ab 'shaad' ka safar tanha,
jo ho sake to aansu hi dedo in udaas aankhan me..
|