Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Meri Jaan Ho Tum !
Old
  (#1)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
Meri Jaan Ho Tum ! - 20th October 2004, 05:31 PM

Kuch Khayal

Meri jaan ke liye

Pyaar se machalti subha..
Zindagi ki rangeen shaam ho tum..
Meri kismat ke haasil tum ho..
Har neki ka anjaam ho tum..
Dard me doobi thi raahein meri..
Mohabbat ka payaam ho tum..
Khul kar jahaan karUn parwaaz..
Meri dharti ke aasmaan ho tum..
Mere dil ki har dhaDkan ho..
sach kahuN? meri jaan ho tum....!

Kadeer......

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Re: Meri Jaan Ho Tum !
Old
  (#2)
KunaaL
Sifar
KunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant futureKunaaL has a brilliant future
 
KunaaL's Avatar
 
Offline
Posts: 4,757
Join Date: Aug 2004
Location: Dubai, UAE
Rep Power: 41
Re: Meri Jaan Ho Tum ! - 20th October 2004, 05:35 PM

Quote:
Originally posted by Kadeer
Kuch Khayal

Meri jaan ke liye

Pyaar se machalti subha..
Zindagi ki rangeen shaam ho tum..
Meri kismat ke haasil tum ho..
Har neki ka anjaam ho tum..
Dard me doobi thi raahein meri..
Mohabbat ka payaam ho tum..
Khul kar jahaan karUn parwaaz..
Meri dharti ke aasmaan ho tum..
Mere dil ki har dhaDkan ho..
sach kahuN? meri jaan ho tum....!

Kadeer......
kadeer sahab ....

iska jawab to afsan ji hi de sakti hai ... hum to bas yahi kahenege ... bohat khoob .... maja aa gaya .... ho sake to humara sunday special padiyega ... umeed hai aapko to pasand aayega ....

aapka apna

kunal

KunaaL (Sifar).........

Hai 'sifar' bhi reyazi ka hissa..
Shayrii bhi hisaab ki hogi..
  Send a message via Yahoo to KunaaL Send a message via Skype™ to KunaaL 
Reply With Quote
Old
  (#3)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
21st October 2004, 11:59 AM

Kunal sahaab Namaste,

bahoot bahoot shukariya aap ka reply dene ke liye,

yu to hum aap ke kalam aksar paRa karte hai,aur bahoot pasanD bhi karTe hai, bas waqt izaajat nahi deta ki reply de sake

aap ne apna waqt nikal kar reply diya, Thank You very much,

khush raho,

kadeer

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
candyboy
Registered User
candyboy will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 1,473
Join Date: Aug 2004
Location: Sharjah, U.A.E.
Rep Power: 21
21st October 2004, 02:40 PM

HI Kadeer Bhai,

Bohot hi umda khayal ek bohot hi umda shaks ke liye. Bohot pyaara laga aapka kalaam. Humari daad qabool karey.

Luvs,

Salim

If there are no tears in the eyes, there will be no rainbow in the soul

Happiness is a butterfly, which, when pursued, is always just beyond your grasp, but which, if you sit down quietly, may alight upon you.

We come to love not by finding a perfect person but by learning to see an imperfect person perfectly
  Send a message via Yahoo to candyboy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
21st October 2004, 03:20 PM

Jaan..

Jabse meri zindagi me aaye ho tum..
KhushiyoN ki bahaar sang laaye ho tum..
Har dhaDkan, har Saans me samaaye ho tum..
Yun lage mere liye hi banaaye gaye ho tum.

Yunhi humesha saath nibhaana mera..
Apne pyaar se jeevan sajaana mera..
Tumse hai roshan dil ka aangna mera..
Zindagi ka har pal 'Suhana' mera.

Itne pyaare khayaal.. itna pyaara izhaar.. itna pyaara shaks hi kar sakta hai.. Us Khuda ka shukr hai, ki tum meri zindagi ho.

Yunhi meri zindagi ujaagar karte rehna...

Tumhaari..
Afshan.

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
21st October 2004, 04:05 PM

Kadeer Saahab aapke ye Khayaalaat pahut pasand aaye....Khuda aapke is khoobsoorat jazbe or shaayrana andaaz ko or barkat de....

Or Afshan ke kalaam ka to kehna hi kya...per yahaaN to hame aapka kalaam hi kheeNch laya hai na...so badhaai ke pehle haqdaar aap..

Meri shubhkaamnaaeiN aap donoN ke saath.

Chaand

Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
hi
Old
  (#7)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
hi - 22nd October 2004, 02:27 PM

kadeer sahab...
kaise hain?
waise ham to samjhe the k aap sirf batain achi bnate hain
magar aaj aap k lafzon ko parh kar ehsas hwa.k aap yeh kaam
bhi kafi acha kar lete hain..yah shayad mohabbat karwa leti hay
achalikha hay..likhte rahiye

khan
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
22nd October 2004, 09:09 PM

HI Kadeer Bhai,

Bohot hi umda khayal ek bohot hi umda shaks ke liye. Bohot pyaara laga aapka kalaam. Humari daad qabool karey.

Candyboy Aadab,

bahoot shukariya aap ka kalam paRne aur reply dene ka

kadeer

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
22nd October 2004, 09:13 PM

Jaan, samaz nahi aata kya likhu

aaye ho meri jindagi me tum bahar ban ke

ye meri khush naseebi hai ke tum meri jindagi me ho

tumara
kadeer

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#10)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
22nd October 2004, 09:17 PM

Chaand sahaab

aap ko humare khayal pasand aaye, jaan kar khushi huyi,

Aap humara kalam yaha kheech laya ya Afshan ka baat to ek hi hai,

kyu jaan?

  (#11)
chaahat
Registered User
chaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to beholdchaahat is a splendid one to behold
 
chaahat's Avatar
 
Offline
Posts: 3,732
Join Date: Jul 2002
Rep Power: 33
23rd October 2004, 06:00 AM

Vaah Vaah!! Vaah Vaah!! Vaah Vaah!!

Der se aane ki maafi chaahti hun.. par bahut achi jagah pohanch hi gayi...

Kadeer ji...

Aapne itna khoobsoorat tohfa diya hai Afshan ji ko... ki kya kahun... yehi vishwas hona ki jisse tum pyar karte ho, woh bhi tumse utna hi pyar karta hai.. dil ko kitni thandak deta hai.. ki kya kahein... Aapne sach mein bahut hi khoobsoorat panktiyon se izhaar kiya hai...

Meri daad kubool keejiye... Bhagwaan aapke pyar ko humesha salaamat rakhe...

Afshan dost!

Tumne bhi koi kami nahi chodi jawab dene mein.. Aap dono ke pyar ke aage main aaj natmastak hun... humesha khush rahiye..

Meri duaayein aap dono ke saath humesha rahengi..

apna khayaal rakhiye..

~Priya

"Dikha kar khawaab in aankhon ko, De gaye aansoon in mein Tum..
Kaise chalka doo yeh aansoon, In mein bhi To rehTe ho Tum.."

~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ Sirf Tanu Ki ChaahaT...... ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

Reply With Quote
Old
  (#12)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
23rd October 2004, 12:16 PM

Chaand sahaab

aap ko humare khayal pasand aaye, jaan kar khushi huyi,
Aap humara kalam yaha kheech laya ya Afshan ka baat to ek hi hai,

kyu jaan?
kadeer

Kadeer Saahab...Dau rahegi ke bas Yahi jazba ta-umr kaayam rahe.

Chaand

Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
24th October 2004, 08:50 PM

kadeer sahab...
kaise hain?
waise ham to samjhe the k aap sirf batain achi bnate hain
magar aaj aap k lafzon ko parh kar ehsas hwa.k aap yeh kaam
bhi kafi acha kar lete hain..yah shayad mohabbat karwa leti hay
achalikha hay..likhte rahiye

Khan Sahaab, Aadab

tariff ke liye shukariya, waise aap ne sahi kaha mohabbat insaan se kya nahi karwa sakti,

Dua ke saat

kadeer

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
25th October 2004, 05:15 PM

Priya ji..

Kab se soch raha tha ki aapko kya jawaab duN.. sabse pehle to aapne humaare kalaam ke jazbaat samjhhe.. wo bhi itni khoobi se.. bohat shukria! Lekin ek baat ka shukria hum adaa nahi kar sakte.. wo hai aapki dua ka.. aapne mere aur meri jaan ke liye dua ki.. iske badle to hum sirf dua de sakte hain.. ki aapko aapki manchaahi khushi mile.. Ameen!

Ek baar phir.. bohat bohat shukria!

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
25th October 2004, 05:31 PM

Chaand..

Humaara kalaam paRne ka aur pasand karne ka shukria.. Kya karein, Kadeer ne apne jazbaat itni khoobi se bayaan kiye the, ki humse bhi raha na gaya.. isi liye jo ehsaas dil me umaR kar aaye, wahi likh diye.. ise saraahne ka bohat bohat shukria!

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#16)
Afshan
Kadeer ki...
Afshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the roughAfshan is a jewel in the rough
 
Afshan's Avatar
 
Offline
Posts: 2,334
Join Date: Apr 2003
Location: In Kadeer's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 27
25th October 2004, 05:37 PM

Priye priya..

Tum der se hi sahi, aayi to durust!

Jaise humne abhi abhi Chaand se kaha, ki Kadeer ke ehsaas paRne ke baad hum kaise chup rehte.. dil me jo mehsuus lar rahe the, uska ek hissa bhi bayaan nahi ho paaya.. Jaise tumne apni 'Shayan bayaan nahi kar sakuuN' waali rachna me.. ki mohabbat aap kitni bhi koshish karo, bayaan karna mushkil hai.. phir bhi tumne ise saraaha.. bohat shukria!..

Lekin jaise Kadeer ne kaha.. duaoN ka koi mol nahi.. aur tum to humaari duaoN me humesha ho!

Yunhi muskuraati raho..

Tum chale jaaoge to sochenge... Humne kya khoya, humne kya paaya...
   
Reply With Quote
Old
  (#17)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
28th October 2004, 06:11 PM

Pyaar se machalti subha..
Zindagi ki rangeen shaam ho tum..

Meri kismat ke haasil tum ho..
Har neki ka anjaam ho tum..

Dard me doobi thi raahein meri..
Mohabbat ka payaam ho tum..

Khul kar jahaan karUn parwaaz..
Meri dharti ke aasmaan ho tum..

Mere dil ki har dhaDkan ho..
sach kahuN? meri jaan ho tum....!

Kadeer bhai,

Aapki is rachna ke baare me kya kahoon... bahut hi umda likha hai aapne... really beautiful.... Daad kubool kijiyega...

Well Banno di ne aapko bhi shayar bana diya

Vaise jo kucch aapne likha hai... likha to sach hi hai....Banno di is really that goood, she's the best.....

So Do keep writing such beautiful words.... Take Care of urself & my sis.... hava nice time

Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#18)
Kadeer
Afshan ka..
Kadeer is on a distinguished road
 
Kadeer's Avatar
 
Offline
Posts: 148
Join Date: Jul 2004
Location: In Afshan's heart.... VERY comfortable place!
Rep Power: 20
30th October 2004, 01:15 PM

Pulkit bhai, aap ki daad kabool hai, jaan kar khushi huyi ke aap ko mera kalam pasand aaya,

take care khush raho

kadeer

Kadeer bhai,

Aapki is rachna ke baare me kya kahoon... bahut hi umda likha hai aapne... really beautiful.... Daad kubool kijiyega...

Well Banno di ne aapko bhi shayar bana diya

Vaise jo kucch aapne likha hai... likha to sach hi hai....Banno di is really that goood, she's the best.....

So Do keep writing such beautiful words.... Take Care of urself & my sis.... hava nice time

--------------------------------------------
Ab ye dil pyar ke kabil na raha
Koi bhi izhar ke kabil na raha,
Is dil me bas gayi tasveer Afshan ki,
Ab to chaand bhi deedar ke kabil na raha
-----------------------------------------------
Dil Ki Har DharkaN Me Bas Gaye Ho Tum,
Meri Subah Aur Shaam Ban Gaye Ho Tum,
Munkin Nahi Khud Se Juda Kar Du Tume
Meri Har Sans Ki Saason Me Bas Gaye Ho Tum
-----------------------------------------------
   
Reply With Quote
Reply

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
hi meri jaan shudhir Shayri-e-Ishq 0 7th September 2006 10:36 AM
meri jaan...... ashiq awara, Shayri-e-Ishq 1 26th February 2006 10:23 AM
Meri Jaan sandhaya Shayri-e-Ishq 2 9th December 2005 02:27 PM
~~...mErI jAaN...~~ mann_chand Shayri-e-Ishq 16 28th October 2005 09:12 PM
Mujhe Jaan Na Kaho Meri Jaan-Anubhav farhana Hindi/Urdu Lyrics 0 14th October 2005 01:57 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com