Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Ghazal Section

View Poll Results: GTM BEST OF THE BEST GHAZAL IS
Guzre jo na-gawaar woh harkat nahi.n hui 15 60.00%
Fana hoke apni qabaa chahta hu.n 4 16.00%
Yun pyaar ko apne amar banaa doongaa 1 4.00%
Aye Dile nadaaN tujhe hua kya hai 2 8.00%
MaiN apne Zuhuur* kay parakhchey* meiN bataa hua'a 3 12.00%
Voters: 25. You may not vote on this poll

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Gtm .."Best of the best" ..GROUP A...
Old
  (#1)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
Thumbs up Gtm .."Best of the best" ..GROUP A... - 17th July 2010, 07:57 AM

DostoN humne socha ke kyuN na GTM se kuch din ki chutti le li jaaye, arre arre!! ghabraiye mat, GTM band nahi ho raha hai, jab tak aap sab isme josh ke saath hissa lete rahenge yeh kabhi band nahi hoga,

Bas humne socha ke , yahaaN "Best of the Best" contest chale kuch din..jo ghazaleiN ab tak ki winner rahi haiN, unme contest kiya jaaye...

Yahi sochker humne GTM ki winner ghazals ke 3 groups banaye haiN, aur har group ki 15 din ki polling hogi,

Aur 45 days ke baad jo 3 ghazaleiN chuni jayengi unme phir se " The grand finale" contest hoga...

Aur us contest ke winner ghazal ko "super ghazal of sdc" ka khitaab diya jayega, aur us ghazal ke shayer ko special reps bhi milenge...

Ummid hai aap sab ko hamare yeh idea pasand aaya hoga...

Lijiye haazir "group A" ki ghazaleiN




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm

Last edited by zainy; 20th July 2010 at 12:35 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#2)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th July 2010, 08:03 AM

Guzre jo na-gawaar woh harkat nahi.n hui
Mere aduu ko mujhse shikayat nahi.n hui

Jab tak kisi hasii.n se mohabbat nahi.n hui
Hamko sitam uthane ki aadat nahi.n hui

Hamne to unke naam pe bheje the khat pe khat
Unko jawaab dene ki fursat nahi.n hui

Chehre pe ik haseen ke thehri rahi nazar
Ankho.n se aur koi shararat nahi.n hui

Jisko hara diya tha woh apna hi bhai tha
Hokar bhi fatha-yaab musarrat nahi.n hui

Har ek ki zubaa.n pe hamara hi naam hai
Badnaam jo huwe tou kya shohrat nahi.n hui

Zaalim ka saath dene ko aaye tamaam log
Mazloom par kisi ki inayat nahi.n hui

Tashna-labi ke waqt jo yaad aayi karbala
Mehsoos mujhko pyaas ki shiddat nahi.n hui

Paisa na tha jahez mein dene ke waaste
Beti ghariib baap ki rukhsat nahi.n hui

Auro.n ko maarne ke liye khudkushi na kar
Yeh buzdili ki maut shahadat nahi.n hui

Mehnat ke sath-sath ibadat bhi kijiye
Mehnat nahi.n hui tou ibadat nahi.n hui

Fezan leke aa gaye is waste ghazal
Kehte the log aapki shirkat nahi.n hui

Last edited by zainy; 17th July 2010 at 08:09 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#3)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th July 2010, 08:09 AM

Fana hoke apni qabaa chahta hu.n
"Tere ishq ki inteha chahta hu.n"

Tum meri ho tumhari aankho mai mein
Iqraar e mohabbat ka nasha chahta hu.n

Tere gaisuo.n ko jo choo kar ke aaye
Mehekti wo baad e saba chahta hu.n

sirf nazr ka hum par chalega na mantar
jo qatil bhi ho, wo ada chahta hu.n

Tere kapkapate labo.n par machal kar
Wo lafz hun jo, bikharna chahta hu.n

Gar ishq e ghar tujhko khabr ho bta de
Bhatakta musafir hun pata chahta hu.n

Batao ke kaise tumhay mein bhulao.n
Tumhara bhi mein mashwara chahta hu.n

Is dour mai umeed e wafa sahyad aslam
Purani riwayaton ke naqsh pa chahta hu.n


Last edited by zainy; 17th July 2010 at 08:24 AM..
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#4)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th July 2010, 08:14 AM

Yun pyaar ko apne amar banaa doongaa
Uski yaadon mein ek ped lagaa doongaa

Jab hawaa se udegi pattiyaan uski
Mujhe yaad aayegi harek baat uski

Baithoongaa jab bhi main ped ki chhanv mein
Sochoongaa hoon uski zulfon ki chhanv mein

Main uske galon ko sahlaa rahaa hoon
Dil apnaa patton se bahlaa rahaa hoon

Main zindagi in yadon ki chhanv mein bitaa dungaa
Yun pyaar ko apne amar banaa doongaa

Koi shaakh bhi uski main katne naa doongaa
Subah-shaam uski hifaazat karoongaa

Sichoongaa usko ankhon ke paani se
Tere ishq mein paayi is nishaani se

Us ped ki shaakhon mein tere pyaar ko dekhungaa
Apne khwaabon ke rangeen sansaar ko dekhungaa

Ab tujhe mujhse koi chheen nahi paayegaa
Meri yadon se koi kyaa le jaayegaa

Mere is ped par bas meri hukumat hogi
Chhune ki bhi na kisi ko mohlat hogi

Yun pyaar ko apne amar banaa doongaa
Uski yadon mein ek ped lagaa doongaa.

  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#5)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th July 2010, 08:20 AM

Aye Dile nadaaN tujhe hua kya hai
Kehta Zainy se GTM me rakha kya hai

Khud hi uljhe hai apni shayari me
Kaha unhone deep, gehra kya hai

Jab chidiya chung jati hai khet sara
Mayank aake puchte hai hua kya hai

karte shayari Baqs bhi aaj pata chala
Jisne bawaloN ke siva kiya kya hai

Hassan sunata hai pariyoN ki kahani
Kwahish puchta hai parineeta kya hai

phata nadaan sahab ki biwi ka sar
bolti hai ye 12 12 ginta kya hai?

Maikhash sahab jate hi rehte hai
Ya ilahi bar bar yeh majra kya hai

Yeh radiff hi itna bekar mila hume
Samajh mein nahi aata kafiya kya hai
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
17th July 2010, 08:21 AM

MaiN apne Zuhuur* kay parakhchey* meiN bataa hua'a
Wujood mera MusafatoN* ki ghubaar meiN ataa hua'a

Na AndhiyoN ki Khabar na Gard-o-Pesh* ka pataa mujhey
MaiN Musas'sal Azaab meiN, duniya se Bilkul Kataa hua'a

Kuch Adhorey khwaab aur Kuch Sulagti YaadeiN liye
MaiN Gum gashtah* Ajnabi MudatonN se Thakaa Hua'a

Yeh Gumnam Rastey aur yeh Anjaan manzileiN
MaiN hooN Uryaan* Pa Libas mera Phatta Hua'a

Zindagi nay haraaya mujhey DostoN ne diya Dhoke
MaiN Haara Hua'a Khiladi Taqdeer se Pitaa hua'a

Har Khadam apne hi aghlaat* se maiN Tanhaa hua'a
Naajane kab mera jism meri Rooh se Judaa hua'a

zuhuur=appearance,
parakhchey=parts
musafaton= Distances
gard-o-pesh= Approaching Dust
gum-gashtah=wandering,lost
uryaan=naked,bare
Aghlat=mistakes
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#7)
sajid_ghayel
Registered User
sajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant futuresajid_ghayel has a brilliant future
 
sajid_ghayel's Avatar
 
Offline
Posts: 1,849
Join Date: Feb 2009
Location: Mumbai
Rep Power: 32
18th July 2010, 01:11 PM

Ghazlo ka world Cup..........hmmmm


Jhoot kehdu yeh meri fitrat me nahi shamil

Par tujhe bevafa bhi kehna achcha nahi lagta...

Mob.: +971 501297654
  Send a message via Yahoo to sajid_ghayel  
Reply With Quote
Old
  (#8)
Ritu18525
Registered User
Ritu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud ofRitu18525 has much to be proud of
 
Ritu18525's Avatar
 
Offline
Posts: 839
Join Date: Sep 2008
Location: India
Rep Power: 30
19th July 2010, 07:54 PM

Tough Competition....................................... .................
All the best to all ghazals.


"Life laughs at you when you are unhappy...
Life smiles at you when you are happy..
But,
Life salutes you when you make others happy!!"
# Feel The Difference #
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
Kavita Negi
Registered User
Kavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to allKavita Negi is a name known to all
 
Kavita Negi's Avatar
 
Offline
Posts: 651
Join Date: Apr 2010
Location: Chandigarh
Rep Power: 20
21st July 2010, 11:45 AM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Guzre jo na-gawaar woh harkat nahi.n hui
Mere aduu ko mujhse shikayat nahi.n hui

Jab tak kisi hasii.n se mohabbat nahi.n hui
Hamko sitam uthane ki aadat nahi.n hui

Hamne to unke naam pe bheje the khat pe khat
Unko jawaab dene ki fursat nahi.n hui

Chehre pe ik haseen ke thehri rahi nazar
Ankho.n se aur koi shararat nahi.n hui

Jisko hara diya tha woh apna hi bhai tha
Hokar bhi fatha-yaab musarrat nahi.n hui

Har ek ki zubaa.n pe hamara hi naam hai
Badnaam jo huwe tou kya shohrat nahi.n hui

Zaalim ka saath dene ko aaye tamaam log
Mazloom par kisi ki inayat nahi.n hui

Tashna-labi ke waqt jo yaad aayi karbala
Mehsoos mujhko pyaas ki shiddat nahi.n hui

Paisa na tha jahez mein dene ke waaste
Beti ghariib baap ki rukhsat nahi.n hui

Auro.n ko maarne ke liye khudkushi na kar
Yeh buzdili ki maut shahadat nahi.n hui

Mehnat ke sath-sath ibadat bhi kijiye
Mehnat nahi.n hui tou ibadat nahi.n hui

Fezan leke aa gaye is waste ghazal
Kehte the log aapki shirkat nahi.n hui
Sabhi gazal bahut achi hai.... but mujhe ye gazal bahut pasand aai hai isliye mera vote is gazal ko jata hai.....All the best.....!!!!


KAVITA NEGI

Hame ehbab ki lambi qataron sy nahi matlab..........!!
Jo dil sy hamara ho hame wo ik shaksh kaafi he......!!
  Send a message via Yahoo to Kavita Negi  
Reply With Quote
Old
  (#10)
rajinderseep
Registered User
rajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud ofrajinderseep has much to be proud of
 
Offline
Posts: 748
Join Date: Oct 2009
Location: new york U.S.A.
Rep Power: 28
21st July 2010, 09:05 PM

Zainy ji pyaar bhari namaskaar.

bahut hi achii lagi aap ki yeh " best of the best" gazal ki koshish.umeed hai hai isay sab ki tarf se bharpoor himayat bhii milegi.ek sujhav hai agar aap ko pasand aay tou theek na bhii pasand aay tou bhii theek.

sujhav yeh hai k is bast of the bast competition k baad sdc ki tarf se ek gazal sangreh nikala jaay jis mein best of best gazal pehle pannay pe ho.or us ke baad 20-25 gazal baki un sab hastioN ki hoN jin ki gazleiN is competition mein shirkat kar rehi hein.or beshak us sangreh par lagne wala paisa un sabhi se le lia jaay jo is meiN publish ho rehay hoN.yeh meri personal rai hai koi aisi jaroori bhii nahi.baki aap ki marzi..........

aap ka apna

rajinderseep
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
Dhaval
Shayri.com Moderator
Dhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.comDhaval is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Dhaval's Avatar
 
Offline
Posts: 10,551
Join Date: Aug 2006
Location: INDIA
Rep Power: 59
23rd July 2010, 11:13 PM

sabhee dost Vote zaruur kare.n................!!!


*~*Dhaval*~*....Ek Ehsaas...
   
Reply With Quote
Best of Luck
Old
  (#12)
r_singla95
Registered User
r_singla95 will become famous soon enoughr_singla95 will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 119
Join Date: Jun 2010
Location: Mohali
Rep Power: 15
Thumbs up Best of Luck - 24th July 2010, 01:19 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Fana hoke apni qabaa chahta hu.n
"Tere ishq ki inteha chahta hu.n"

Tum meri ho tumhari aankho mai mein
Iqraar e mohabbat ka nasha chahta hu.n

Tere gaisuo.n ko jo choo kar ke aaye
Mehekti wo baad e saba chahta hu.n

sirf nazr ka hum par chalega na mantar
jo qatil bhi ho, wo ada chahta hu.n

Tere kapkapate labo.n par machal kar
Wo lafz hun jo, bikharna chahta hu.n

Gar ishq e ghar tujhko khabr ho bta de
Bhatakta musafir hun pata chahta hu.n

Batao ke kaise tumhay mein bhulao.n
Tumhara bhi mein mashwara chahta hu.n

Is dour mai umeed e wafa sahyad aslam
Purani riwayaton ke naqsh pa chahta hu.n
my vote goes to this gazal. .................................................. .
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
vikramjethi
masttt...
vikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.comvikramjethi is the among the best Shayars at Shayri.com
 
vikramjethi's Avatar
 
Offline
Posts: 2,151
Join Date: Sep 2009
Location: Chandigarh
Rep Power: 40
24th July 2010, 10:24 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
MaiN apne Zuhuur* kay parakhchey* meiN bataa hua'a
Wujood mera MusafatoN* ki ghubaar meiN ataa hua'a

Na AndhiyoN ki Khabar na Gard-o-Pesh* ka pataa mujhey
MaiN Musas'sal Azaab meiN, duniya se Bilkul Kataa hua'a

Kuch Adhorey khwaab aur Kuch Sulagti YaadeiN liye
MaiN Gum gashtah* Ajnabi MudatonN se Thakaa Hua'a

Yeh Gumnam Rastey aur yeh Anjaan manzileiN
MaiN hooN Uryaan* Pa Libas mera Phatta Hua'a

Zindagi nay haraaya mujhey DostoN ne diya Dhoke
MaiN Haara Hua'a Khiladi Taqdeer se Pitaa hua'a

Har Khadam apne hi aghlaat* se maiN Tanhaa hua'a
Naajane kab mera jism meri Rooh se Judaa hua'a
awesome....highlighted sher dil ke khaas qareeb rahe...

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Tashna-labi ke waqt jo yaad aayi karbala
Mehsoos mujhko pyaas ki shiddat nahi.n hui

Paisa na tha jahez mein dene ke waaste
Beti ghariib baap ki rukhsat nahi.n hui

Auro.n ko maarne ke liye khudkushi na kar
Yeh buzdili ki maut shahadat nahi.n hui

Mehnat ke sath-sath ibadat bhi kijiye
Mehnat nahi.n hui tou ibadat nahi.n hui

Fezan leke aa gaye is waste ghazal
Kehte the log aapki shirkat nahi.n hui
waah...bahut badhiya....

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Tere kapkapate labo.n par machal kar
Wo lafz hun jo, bikharna chahta hu.n

Gar ishq e ghar tujhko khabr ho bta de
Bhatakta musafir hun pata chahta hu.n


Batao ke kaise tumhay mein bhulao.n
Tumhara bhi mein mashwara chahta hu.n

Is dour mai umeed e wafa sahyad aslam
Purani riwayaton ke naqsh pa chahta hu.n
ye ghazal bhi bahut achhi hai...

Best of luck to all...


'E Taahire Laahuti!!!
Uss Rizk Se Tau Maut Bhali
Jis Rizk Se Aatee Ho
Tere Parwaaz MeiN Kotaahi....



vikramjethi@gmail.com
  Send a message via Yahoo to vikramjethi  
Reply With Quote
Old
  (#14)
parveen komal
devil ! forgive me
parveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to beholdparveen komal is a splendid one to behold
 
parveen komal's Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Jul 2010
Location: MUMBAI PATIALA
Rep Power: 23
24th July 2010, 11:29 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Guzre jo na-gawaar woh harkat nahi.n hui
Mere aduu ko mujhse shikayat nahi.n hui

Jab tak kisi hasii.n se mohabbat nahi.n hui
Hamko sitam uthane ki aadat nahi.n hui

Hamne to unke naam pe bheje the khat pe khat
Unko jawaab dene ki fursat nahi.n hui

Chehre pe ik haseen ke thehri rahi nazar
Ankho.n se aur koi shararat nahi.n hui

Jisko hara diya tha woh apna hi bhai tha
Hokar bhi fatha-yaab musarrat nahi.n hui

Har ek ki zubaa.n pe hamara hi naam hai
Badnaam jo huwe tou kya shohrat nahi.n hui

Zaalim ka saath dene ko aaye tamaam log
Mazloom par kisi ki inayat nahi.n hui

Tashna-labi ke waqt jo yaad aayi karbala
Mehsoos mujhko pyaas ki shiddat nahi.n hui

Paisa na tha jahez mein dene ke waaste
Beti ghariib baap ki rukhsat nahi.n hui

Auro.n ko maarne ke liye khudkushi na kar
Yeh buzdili ki maut shahadat nahi.n hui

Mehnat ke sath-sath ibadat bhi kijiye
Mehnat nahi.n hui tou ibadat nahi.n hui

Fezan leke aa gaye is waste ghazal
Kehte the log aapki shirkat nahi.n hui

Vaise to poori gazal hi sunahri hai aur kabil e daad hai lekin ye do sheir bhut achhe nibhae gae hain,
inke lie be-shumaar daad : Parveen Komal

Jisko hara diya tha woh apna hi bhai tha
Hokar bhi fatha-yaab musarrat nahi.n hui

Auro.n ko maarne ke liye khudkushi na kar
Yeh buzdili ki maut shahadat nahi.n hui
  Send a message via Yahoo to parveen komal Send a message via MSN to parveen komal Send a message via Skype™ to parveen komal 
Reply With Quote
Old
  (#15)
aru
Main shayar to nahin.....
aru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.comaru is the among the best Shayars at Shayri.com
 
aru's Avatar
 
Offline
Posts: 2,796
Join Date: Oct 2002
Location: kanpur
Rep Power: 50
26th July 2010, 01:46 AM

my vote goes to apne pyaar ko amar bana doonga.



एक हाथ में दिल उनके एक हाथ में खंजर था
चेहरे पे दोस्त का मुखौटा अजीब सा मंजर था

Arvind Saxena
Ph. No. 7905856220
  Send a message via AIM to aru  
Reply With Quote
Old
  (#16)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
27th July 2010, 04:13 PM

Please vote.............................................. .....




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com