Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
ghazal - aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
Old
  (#1)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
Post ghazal - aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye - 10th October 2008, 07:37 PM

adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye

andaaz

Last edited by kshitiz; 10th October 2008 at 08:34 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
10th October 2008, 07:50 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye

aadaab o tasleemat !

moHteram appka kalaam beHad passand aya , peRhene meN bhi kaafi rawaani lagi , meri taraf se daad kabool kijiyee , bus aik shai"r ka aik lafz smajh se door raha meN ne use lal rang meN zahir kiya hai , ager bura na maanieN to uska matlab zaroor bata dijye ga janab ki nawazish ho gi

reps +++

Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
Old
  (#3)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
10th October 2008, 08:00 PM

mujeeb bhai !

behad khushi hoti hai jab aap jaise shayar Qalaam pe raushni daalte haiN !

muaafi chaahta huN bhai .. darasal roman meiN urdu zubaan ko likhnae meiN mujhe hamesha zahmat utthaani padi hai !

jo lafz aapne poochaa hai uske maayne to theek uss kaa aage wala lufz hai farak ye hai ki ek baar uss ko urdu meiN likh diyaa aur ek baar hindi meiN !
issi bahaane ghazal meiN tarannum bhi ban gaya aur behar ki rasam bhi adaa ho gayi !

aapko takleef utthaani padi iss ke liye sharmindaa huN !

taareef ke liye tah e dil se shukriyaa adaa karnaa chaahta huN !

aage bhi aisi rahnumaayi kaa intezaar kartaa milunga !

apnaa khyaal rakhiye !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
Mujeeb
Registered User
Mujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud ofMujeeb has much to be proud of
 
Offline
Posts: 2,855
Join Date: Sep 2007
Rep Power: 33
10th October 2008, 08:10 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
mujeeb bhai !

behad khushi hoti hai jab aap jaise shayar Qalaam (kalaam) pe raushni daalte haiN !

muaafi chaahta huN bhai .. darasal roman meiN urdu zubaan ko likhnae meiN mujhe hamesha zahmat utthaani padi hai !

jo lafz aapne poochaa hai uske maayne to theek uss kaa aage wala lufz hai farak ye hai ki ek baar uss ko urdu meiN likh diyaa aur ek baar hindi meiN !
issi bahaane ghazal meiN tarannum bhi ban gaya aur behar ki rasam bhi adaa ho gayi !

aapko takleef utthaani padi iss ke liye sharmindaa huN !

taareef ke liye tah e dil se shukriyaa adaa karnaa chaahta huN !

aage bhi aisi rahnumaayi kaa intezaar kartaa milunga !

apnaa khyaal rakhiye !
kshitiz bhai ,

mazrat khuwa hoN keh meN smajh nahieN paya , aur bhai meN koi acha shaa'ir to nahiN hoN lakin koshish jaari hai keh acha ban paaoN ,

lafz hai "baarhaa" yeh urdu zuban ka nahieN farsi zuban ka lafz hai jiske maa'ni haiN bar bar ager meN ghalat nahieN hoN to is lafz ko ROMAN URDU meN "baarhaa" likha jaaey ga , teHQeeQ ker laiN achi baat hai

mazrat khuwa hoN aik aur lafz ko bhi opper maiN ne saHiH kerne ki koshish ki hai , taalib-e-e'lm se koi ghalti ho gai ho to muaafi ka Haqdaar hai

taalib-e-e'lm
Mujeeb
  Send a message via Yahoo to Mujeeb Send a message via AIM to Mujeeb Send a message via Skype™ to Mujeeb 
Reply With Quote
aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
Old
  (#5)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye - 10th October 2008, 08:23 PM

bilkul bajaa farmaya sahib aapne !

maiN aapki ray se poori tarah se ittefaaQ rakhtaa huN !

Kalaam aur Qalam ki shuruaat meiN jo hurf hai dono ke talaffus meiN zaraa saa hi farak hai (muaafi chaahta huN furk hai) aur ek rishtaa bhi ki..

Qalam se kalaam likhe jaate haiN

yahaaN meraa matlab kalaam se hi thaa , kalaam ko Qalaam likhne ka sabab bas itnaa thaa ki yahaN mauzood log usse kalam naa samjheiN muaafi chaahta huN har insaan aapki tarah fan e shayri ka mahir to nahi !

aaindaa khyaal rakhungaa !

darasal meraa maan naa hai ki hum kisi bhi zubaan ko mukammal tabhi likh sakte haiN jab vo apne asli shakal meiN ho !

mujhe to urdu hindi meiN likhte waQt bhi mukammal nahi lagti fir roman to maasha allaah !

BaarHaa ko baarahaa likhne ka sabab sirf itnaa thaa ki baat kaayreen ki samajh se pare naa jaaye

mujhe faarsi aur arbi kaa katayi ilm nahi hai ! sirf urdu zubaan ki thodi bahut maalumaat hai !

behad khushi hui ki aap ne apnaa waQt diyaa aage bhi nigaaheiN aap par rahengi !

apnaa khyaal rakhiye !

andaaz

Last edited by kshitiz; 10th October 2008 at 08:26 PM.. Reason: mistype
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
rocker09
Banned
rocker09 is just really nicerocker09 is just really nicerocker09 is just really nicerocker09 is just really nice
 
Offline
Posts: 1,400
Join Date: Oct 2008
Location: Mumbai
Rep Power: 0
10th October 2008, 08:59 PM

Kaise ho Ghalib Bhai ( Mhhd Kasif Bhai ).....................................
   
Reply With Quote
Old
  (#7)
Mohammad Kashif
DIL KI BAAT DIL TAK
Mohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant futureMohammad Kashif has a brilliant future
 
Mohammad Kashif's Avatar
 
Offline
Posts: 1,185
Join Date: Apr 2007
Location: MORADABAD (U.P.)
Rep Power: 37
Thumbs up 10th October 2008, 09:04 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye
Aadaab kshitiz ji kese hain aap ?
kshitiz naam mujhe lena kafi mushkil lagta hai kya yeh aapka real name hai ab aapki gazal par aatey hai aapko jab bhi padta hoon dil khush ho jata hai aapjese shayr hi to SDC ki jaan hai.n aur aapki shayri to padne ki to baat hi alag hai aap nayi nayi shayri likhte rahiye taki hame padhne ko milti rahe........khaaksaar aapke kalaam par daad pesh kar raha hai kubool farmaiye........Khuda Hafiz

"Do Pal Ruka Khushio.n ka Karwan"

Dunia ke sitam ki koi perwah nahi mujhko,
wo kyoun mujhpe ungliya uthaye ja rahe hain.
Jis shaks ko janta tha ek chehre se ''kashif''
Uske kitne chehre samne laye ja rahe hain.

  Send a message via Yahoo to Mohammad Kashif  
Reply With Quote
Old
  (#8)
koi to ho
Registered User
koi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to beholdkoi to ho is a splendid one to behold
 
koi to ho's Avatar
 
Offline
Posts: 3,851
Join Date: Dec 2005
Location: karachi
Rep Power: 31
10th October 2008, 09:45 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye
kshitiz ji bohat bohat bohat zaberdast ghazal lagi aapki mujhe her shair bohat khubsurat bana hai lekin phir bhi jo mere dil ke bohat qareeb lage zaroor batana chahoongi ...............

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

bohat khoob kshitiz ji jitni daad di jaye kam hai is silsile ko jaari rakhiyega aate rahiyega

Waqt ke jisam ki kharash hoon main
apne ander se pash pash hoon main
zaaat hai aetbaar e zaaat nahin
ab to main khud bhi apne saath nahin
   
Reply With Quote
Old
  (#9)
sunita thakur
Moderator
sunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.comsunita thakur is the among the best Shayars at Shayri.com
 
sunita thakur's Avatar
 
Offline
Posts: 15,199
Join Date: May 2006
Location: Chandigarh (Mohali)
Rep Power: 63
10th October 2008, 11:16 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye (bilkul sahi)

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye (kaya baat hai)

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye (hmmm...bahut khoob)

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye (aisa hi hota hai)

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye (oye-hoye.....)

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye (bahut kamaal)

hmmmmmmmmm..........................

namaskaar shitiz jee..................akhir aapne hume apne ahsaaso.n se ru-b-ru hone ka mokka de hi diya....bahut meharbaani janab.....ab yeh silsilla toot.na nahi chaiye

hume aapki poetry bahut bahut bhaut acchi lagi.....sabhi sher pasand aaye....!

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

aapki kalam etna waqt khamosh kaise rahi....

reps +++

kush rahiye
god bless u

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

.....Sunita Thakur.....

यह कह कर मेरा दुश्मन मुझे हँसते हुए छोड़ गया
....के तेरे अपने ही बहुत हैं तुझे रुलाने के लिए...

Reply With Quote
Old
  (#10)
amrit_sharad
Just a normal guy
amrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really niceamrit_sharad is just really nice
 
amrit_sharad's Avatar
 
Offline
Posts: 480
Join Date: Apr 2003
Location: HindusTaaN...
Rep Power: 26
11th October 2008, 12:43 AM

Kshitiz Sahib...

Phir Ek baaR behad Sunder Ghazal Pesh Karii aaPne! har Ek Sher Khoob Likha hai aaPne!

SakooN mila Pad kar aur accha bhi lega! Bus isi Tarah Likhte Rahiiye auR Mehfil Ko RoshaN karte Rahiiye!

Tareef Qabool Kare!

ChalTa Hoon.....

AaP Ka DosT
--------------
Amrit
   
Reply With Quote
Old
  (#11)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
11th October 2008, 05:49 PM

kashif bhai !

kaise haiN aap ?

jee ye mera aslii naam hai !

badi khushi hui jaan ke ki khaakhsaar ki ghazaleiN aapko pasand aati haiN !

aage bhi iss tarah ki koshisheiN jaari rahengi !

tareef ke liye shukRguzaar huN

apnaa khyaal rakhiye !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#12)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
11th October 2008, 05:56 PM

koi to ho !

gustaakhi muaaf ho mujhe abhi tak aapka naam nahi maloom hai !

tareef ke liye tah e dil se shukriyaa adaa karnaa chaahta huN ..

jab aap jaise kaayreen hauslaa afzaayi ke liye mauzood haiN to shayri to hoti hi rahegi ..

aage bhi aapki nazar e inaayat ka talabgaar rahungaa !

apnaa khyaal rakhiye !

andaaz

Last edited by kshitiz; 11th October 2008 at 05:59 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#13)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
11th October 2008, 06:12 PM

Sunitaa jee !

maine kabhi bewajeh shayri meiN yakeen nahi rakhaa !

beech meiN to shayri karnaa bilkul khatM saa ho gayaa thaa !

fir jab ye junuun rah rah ke apne zindaa hone kaa aihsaas karaane lagaa to aap logoN ke beech waapis chala aaya !

ummeed kartaa huN aage bhi mire ashaar aapko pasand aate rahenge !

tareef tah e dil se Qabool hai !

aap apnaa khyaal rakheiN !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#14)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
12th October 2008, 06:18 PM

sharad bhai !

taareef ke liye shukRguzaar huN !

apnaa khyaal rakho !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#15)
acharya_mj
Zakhm-e-Rooh
acharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud ofacharya_mj has much to be proud of
 
acharya_mj's Avatar
 
Offline
Posts: 2,220
Join Date: Nov 2004
Location: ahmedabad
Rep Power: 33
13th October 2008, 05:33 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye
Behad hee khoobsurat ghazal likhi hai kshitij jee aap ne, bahut arse bad ek umda ghazal padhane ko mili, aage bhi aise ghazal padhane ko milegi yeh ummid karta hoon, khuda aap ko aur hunar de.

aise hii likhate rahiyega janab
aap ka ek puraana dost
manu
  Send a message via Yahoo to acharya_mj  
Reply With Quote
Old
  (#16)
dilip200
Adhoori Aas
dilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud ofdilip200 has much to be proud of
 
dilip200's Avatar
 
Offline
Posts: 1,543
Join Date: Jul 2006
Location: india , shivpuri
Rep Power: 31
14th October 2008, 09:21 AM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye
kshitiz ji namaskar

bahut hi umda gazal likhi hai aapne.... yakee.n maniye gazal rawangi bahut hi sundar lagi. sare sher dil per dastak dene main kamyab rahe per mujhe maqta behad asardar laga...
merii or se badhai

dilip

" Dilip " -Ek Adhoora khwab

Dard bantne se ab darr lagta hai
mere gamo ka usnane falsafa bana diya
  Send a message via Yahoo to dilip200  
Reply With Quote
Old
  (#17)
banjara''''
kuch likhne ki koshish
banjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura aboutbanjara'''' has a spectacular aura about
 
banjara'''''s Avatar
 
Offline
Posts: 930
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 24
14th October 2008, 05:16 PM

Kshitiz Bhai
How R u?
Yar really Good Bhai. Main bhi bohat din baad is mehfile yaraan main aya hu...
Sir i am even wonder to see you here. Yar apka likha bohat din bad nazar main
aya... acha laga... umeed hay rabta rahe ga...
Regards

Banjara'''

banjara''''
agar mohabbat hay to judai kiyon
or judai main mohabbat kasi????
   
Reply With Quote
Old
  (#18)
baagi
......since birth
baagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of lightbaagi is a glorious beacon of light
 
baagi's Avatar
 
Offline
Posts: 428
Join Date: Apr 2008
Location: bangalore
Rep Power: 21
Thumbs up 17th October 2008, 04:58 PM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye
bhai bahut achcha likha hai aik bhi sher kamjor nahi,saare ke saare sher jabardast rahe,bahut maja aaya aik khuubsurat gazal padhkar,bahut dino baad apko padha,achccha laga,share karte rahen,sukriya

ibadat bhi khuda hai,bagavat bhi khuda hai
khuda baagi kahi hai,kahi baagi khuda hai.
  Send a message via Yahoo to baagi  
Reply With Quote
Old
  (#19)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
17th October 2008, 08:17 PM

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

very beautiful ..... himmat ki bata karte ho ........

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

hmm barhaa .. har baar .... ek sath nahi use ho sakte .. same meaning
aur dekhiye .... word ho sake to pahle misre se hata le same emaning word use kar le .. bajan mai kami la raha hai

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

bahut khoob ....

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

nice one ........

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

acha sher hai lekin pahla misra contradicting sa lag raha hai...
doosre sher se thoda sa differ ........
but not sure ....

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

kamyaab sher hai ..........
is mere dil se.. flow toot raha hai

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye

and this is ........... very very impressive ... thought
apne naam ko menaing dena .. this one is my favt .
just like be poet

well if u know hindi .. to pzl hindi font main bhi likhe ....
flow mai aana asaan ho jata hai
urdu hai to urdu mai

haan padhne walo ke liye roman mai hi likhe
gud luck
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#20)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
18th October 2008, 07:46 PM

manu bhai !

kaise haiN aap ?

der se aane ke liye muaafi chaahta huN ...

jee taareef ke liye behad shukRGuzaar huN !

aap apnaa khyaal rakhiye !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#21)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
18th October 2008, 07:51 PM

Dilip sahib !

badi khushi hui jaan ke .. ki ghazal aapko pasand aayi !

mirii janib se aage bhi issi tarah ki koshishoN ko anjaam dene ki Qawaaid rahegi !

tareef ke liye bahut bahut shukriyaa

apna khyaal rakhiye !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#22)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
18th October 2008, 07:59 PM

Quote:
Originally Posted by banjara'''' View Post
Kshitiz Bhai
How R u?
Yar really Good Bhai. Main bhi bohat din baad is mehfile yaraan main aya hu...
Sir i am even wonder to see you here. Yar apka likha bohat din bad nazar main
aya... acha laga... umeed hay rabta rahe ga...
Regards

Banjara'''
Khaan bhai !

kaise haiN aap ?

aapko iss buzm meiN dobara dekha to khushi bayaaN karne ke liye alfaaz ki talaash abhi bhi jaari hai ..

maiN bhi issi umeed meiN huN ki ab ye rabt barQaraar rahegi

khuda aapko salaamat rakhe

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#23)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
18th October 2008, 08:05 PM

Baagi bhai !

kaise haiN aap ?

aapko mere ashaar pasand aate haiN .. meri khushnasibi

umeed kartaa huN ye hauslaa afzaaii aage bhi baeQaraar rahegi !

tareef ke liye tah e dil se shukRGuzaar huN

apnaa khyaal rakhiye !

andaaz

Last edited by kshitiz; 18th October 2008 at 08:26 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#24)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
18th October 2008, 09:03 PM

vikas bhai !

kaise haiN aap ?

maiN tah e dil se shukRGuzaar huN jo aapne iss Qadar zarranawaazish kii !

jee maine ghazal meiN .. faa-i-laa-tuN , faa-i-laa-tuN , faa-i-laa-tuN , faa-i-luN behar kaa istemaal kiya hai !

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahi

faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-luN
baa-ra-haa-har-baa-r-hum-ko-de-khi-ye-hum haiN-wa-hi

iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-luN
iss-mi-re-dil-se-fa-Qat-dil-ko-la-gaa-kar-de-khi-ye

iss lihaaz se mujhe baarahaa ka wuzn bhi durust lagaa aur misra saanii meiN behar bhi barQaraar dikhi !

aap iss pe kuch roshni daaleiN ..

ho sakta hai aapse hi mujh ahmak k ilm meiN kuch izaafa ho jaaye !

baaki ..

taareef ke liye fir se shukriyaa adaa karnaa chaahta huN

ijaazat di jiye

apnaa khyaal rakhiye !

andaaz

Last edited by kshitiz; 18th October 2008 at 09:16 PM..
   
Reply With Quote
Old
  (#25)
Qasid
Super Mod
Qasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant futureQasid has a brilliant future
 
Qasid's Avatar
 
Offline
Posts: 3,901
Join Date: Aug 2001
Location: Mumbai
Rep Power: 45
19th October 2008, 12:07 AM

kshitiz sahab,

kya kahuN...nishabd hoon....har sher mein fir wahi rang, wahi khoobi jo ek arse se barqarar rakhte aaYeeN hai aaP.

gustakhi maaf par mehfil ko aage badhaa raha hoon

dillagi ko dil ki lagi bana kar dekhiYe
Khuda ko khud mein zara basa kar dekhiYe

kaun kehta hai ki woh *Dair-o-haram mein hai haasil
khud ko **majamaa se zara haata kar dekhiYe

*temple
**crowd

-aapka apnaa

Qasid

___________________________________________

नाम-ए-वफ़ा की जफ़ा बताएं
क्या है ज़हन में क्या बोल जाएँ

रफ़्तार-ए-दिल अब थम सी गयी है
'क़ासिद' पर अब है टिकी निगाहें
  Send a message via Yahoo to Qasid Send a message via AIM to Qasid  
Reply With Quote
Old
  (#26)
Diya_Jale
Huii Sabse Paraayi
Diya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.comDiya_Jale is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Diya_Jale's Avatar
 
Offline
Posts: 5,283
Join Date: Jul 2008
Location: Kolkata
Rep Power: 44
19th October 2008, 01:07 AM

Quote:
Originally Posted by kshitiz View Post
adaab dostoN !

yuN to ghazal kahnaa ab mere liye khatam saa ho gaya hai par waQt be baQt junoon e shayri apne hone kaa aihsaas dilataa rahtaa hai !

gustaakhi muaaf bade dinoN baad kaagaz kala kiya hai ! aapki nazar e inaayat kaa talabgaar rahungaa !

pesh e khidmat hai !

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye

Kshitiz Ji,
Aapki Gazal hume pasand aayi....Ek sachai hai ismain ...ab to jab aaina dekhenge aapki yeh nagme ek bar yaad jaroor karenge ....

hume yeh linc jyada pasand aayi ..........

Humari taraf se ek sher arz hai ...

unke khayalon mein kuchh yun doobe rahtey hain
Aaina hum dekhte hain aur nazar woh aate hain

sayad aapko pasand aaye

Daad Dilse kabool kijiye ...Khus rahiye
ab ijaazat dijiye

Diya

Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai faraz.
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai

Goodbye SDC

Diya

Last edited by Diya_Jale; 19th October 2008 at 01:21 AM..
   
Reply With Quote
Old
  (#27)
janumanu
Banned
janumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.comjanumanu is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Offline
Posts: 2,586
Join Date: Jun 2008
Location: New Delhi
Rep Power: 0
19th October 2008, 07:18 AM

[quote=kshitiz;311915]vikas bhai !

kaise haiN aap ?

maiN tah e dil se shukRGuzaar huN jo aapne iss Qadar zarranawaazish kii !

jee maine ghazal meiN .. faa-i-laa-tuN , faa-i-laa-tuN , faa-i-laa-tuN , faa-i-luN behar kaa istemaal kiya hai !

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahi

faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-luN
baa-ra-haa-har-baa-r-hum-ko-de-khi-ye-hum haiN-wa-hi

iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-laa-tuN-faa-i-luN
iss-mi-re-dil-se-fa-Qat-dil-ko-la-gaa-kar-de-khi-ye

iss lihaaz se mujhe baarahaa ka wuzn bhi durust lagaa aur misra saanii meiN behar bhi barQaraar dikhi !

[b] hmmmm .... bahar sahi hai bhayee lekin .... bas yai hai ki lafz jiska manhi ek hi ho sath sath .. zaroori to ahi .. aap kuch aur bhi yaha lafz rakh sakte hai...

bahar tab bhi sahi hogi ....
  Send a message via Yahoo to janumanu  
Reply With Quote
Old
  (#28)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
20th October 2008, 12:09 PM

anu bhai !

do ashaar meiN hi dil churaa liye aapne

bahut dinoN se chota bhai akela mahsoos kar raha thaa .. ab bada bhai bhi aa gaya hai khoob jamegii !

bhai tareef sar aakhoN pe

apnaa khyaal rakhiye

aapka hi ...

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#29)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
20th October 2008, 12:14 PM

Quote:
Originally Posted by Diya_Jale View Post
Kshitiz Ji,
Aapki Gazal hume pasand aayi....Ek sachai hai ismain ...ab to jab aaina dekhenge aapki yeh nagme ek bar yaad jaroor karenge ....

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

hume yeh linc jyada pasand aayi ..........

Humari taraf se ek sher arz hai ...

unke khayalon mein kuchh yun doobe rahtey hain
Aaina hum dekhte hain aur nazar woh aate hain

sayad aapko pasand aaye

Daad Dilse kabool kijiye ...Khus rahiye
ab ijaazat dijiye

Diya
Diya jee !

aaina ek aisi cheez hai jiss meiN aap chaahe to apna jism aur rooh dono dekh sakti haiN !

sher bahut pasand aaya aaaka

daad meri jaanib se bhi ..

tareef ke liye tah e dil se shukriya adaa karnaa chaahta huN

apnaa khyaal rakhiye

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#30)
san04
ansoon aur muskan....
san04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nicesan04 is just really nice
 
san04's Avatar
 
Offline
Posts: 751
Join Date: Mar 2004
Rep Power: 24
29th October 2008, 07:47 PM

kshitiz ji
apne nihayat hikhoobsoorat ehsas ko kagaz per utara hai,,issey kagaz kala nahi hua balki uski ehmiyat aur jyada barh gayi hai..yum hi lkhtey rahiye!

swati...............some words about tears in!
   
Reply With Quote
Old
  (#31)
Pulkit_gupta
Humanity
Pulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant futurePulkit_gupta has a brilliant future
 
Offline
Posts: 6,227
Join Date: Aug 2003
Location: Delhi
Rep Power: 42
30th October 2008, 12:36 PM

aaine meiN sach ko ek din aazmaa kar dekhiye
apne insaaN se kabhi nazareiN milaa kar dekhiye

baarahaa har baar hum ko dekhiye hum haiN wahii
door rah kar dekhiye yaa paas aa kar dekhiye

Waah kyaa baat hai Kshitu bhai...?

dikh raha hai sab magar tumko nazar aataa nahii
aaNkh se parde zaraa apni hataa kar dekhiye

khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

Waaaaaaaahhh... mazaa aa gaya...

dil e muztar ko naa milnaa thaa sukuuN naa mil sakaa
khoob vo kahte the haal e dil bataa kar dekhiye

shayri kii khoobiyaN tumko nazar aayengi .. par
iss mire dil se faQat dil ko lagaa kar dekhiye

Kyaaa baat hai... bahut hi khoob...!

dekhiyega aasmaaN ki aasiri meiN ye zamiiN
do kadam jaanib KSHITIZ ki bas badhaa kar dekhiye

Aji janaab... do kadam kisi ne aapki jaanib badhaaye to bass aapka kaayal huwe bina nahin reh paayega....!!

Dearest Kshitiz,

Mujhe yaad hai iss ghazal pe humne baat ki thhi ek baar... aaj padhkar bahut hi accha laga... bahut khoob bayaani humesha ki tarah... Tumhaari ghazalon me ek jaan hoti hai... bolti huwi hi lagti hain mujhe...

Dil se daad kubool karna bhai... aur apna khayaal rakhna... Aur baaki... Hum sab pakde huwe hain!!!

Kab sochaa thha milegaa humsafar "Shweta" jaisaa
Lagta hai is baar "Pulkit", kismat teri bhi rang laayii hai
  Send a message via Yahoo to Pulkit_gupta  
Reply With Quote
Old
  (#32)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
28th November 2008, 12:12 AM

swati jee !

kaisi haiN aap ? jee muaafii chaahta huN deR se jawaab dene ke liye , na jaane kaise iss jaanib meri nazar chook gayii !

jee ye to aapki zarranawaazii hai jo kaale kaagaz meiN bhi aapko roshnii dikh gayi

maiN aage bhi aisi hausla afzaaii ka talabgaar rahunga !

taareef ke liye tah e dil se shukRguzaar huN !

aap apnaa khyaal rakheiN !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#33)
kshitiz
.. ek andaaz
kshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud ofkshitiz has much to be proud of
 
kshitiz's Avatar
 
Offline
Posts: 1,681
Join Date: Mar 2003
Location: lucknow , hindustaan
Rep Power: 37
28th November 2008, 12:17 AM

pulkit bhai !

humaari jaan to aap jaise dostoN meiN basar karti hai jinhe humaari har baat pasand aati hai !

taareef tah e dil se Qabool hai !

apna khyaal rakho !

andaaz
   
Reply With Quote
Old
  (#34)
sakhi1909
raj
sakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud ofsakhi1909 has much to be proud of
 
sakhi1909's Avatar
 
Offline
Posts: 2,332
Join Date: Aug 2003
Location: dil mein khud ke..aisa nahi kisi ko mera pata nahi hai mujhe dhundhne ki had tak koi dhundhta nahi hai..un
Rep Power: 34
29th November 2008, 01:40 AM

mafi chaungi itne din baad padi gazal...
bhaut khub likhi hai...
khatam ho jaayenge sab shikwe shikaayat aapke
ek dafaa mujhse zaraa taalluk badhaa kar dekhiye

wah kya andaz hai..hehehehe...
magar shikwa anhi mita ab kya karun???

कुछ ऐसे पल जिनको संजोना है ,
शब्दों में पिरोना है , जिससे वो हमारी यादों में महकते रहे
 Send a message via ICQ to sakhi1909  
Reply With Quote
Reply

Thread Tools
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Chehraa apna dekhte hai aaine mein voh santosh_kumar Hindi/Urdu Lyrics 1 29th July 2010 12:32 AM
tere aaine mein......... sanam khan Shayri-e-Dard 2 28th February 2009 04:28 PM
Aaine Mein Ab to sirf Tanhai Rehti hai hardum!!! Abrarsworld Shayri-e-Dard 0 27th June 2007 11:48 PM
Jhank Kar Zara Dil Mein Dekhiye Mayank Shayri-e-Dard 21 15th October 2004 12:53 PM
ghazal ami sach kehtee thein khokharzz Ghazal Section 0 6th July 2002 07:38 AM

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com