Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Un ka dil maang kar dekha hai meine !!!
Old
  (#1)
talkingeyes
Registered User
talkingeyes is just really nicetalkingeyes is just really nicetalkingeyes is just really nicetalkingeyes is just really nice
 
talkingeyes's Avatar
 
Offline
Posts: 325
Join Date: Jun 2002
Location: New delhi
Rep Power: 25
Love Un ka dil maang kar dekha hai meine !!! - 2nd May 2003, 11:19 AM

Har baar apni zid ko roka hai meine
aapni har aadat ko badla hai meine
phir bhi woh waise hi apne dil ko dabaye bethe hai
bahut baar ...un ke dil ko un se maang ke dekha hai meine

ansoo baha kar dekhe hai meine
apni har khawaish ko daba kar dekha hai meine
aa kar mere passs bhi woh dooor hi rehte hai
un ko apne gale se bhi laga kar dekha hai meine ...

haatho ki lakheero ko miitaa kar dekha hai meine
kaanch ki chuddiyon ko kankha ke dekha hai meine
woh kabhi bhi sunte nahi mere jazbaato ko
apni aankho se dil ki baat samjha kar dekha hai meine

har aahat se bacha kar dekha hai meine
un ki har baat ko seene se laga kar dekha hai meine
woh kabhi mere nahi hue ....
is baaat ko ... khudha ko bata kar dekha hai meine

lamha lamha un ki yaad mein guzara meine
apna wajoood ko un mein basaya meine
woh mujh se judaa ho kar chala gaya door
har pal us ko khawaabo mein bulaya meine ... !!!!!


Journey to Heart
  Send a message via Yahoo to talkingeyes  
Reply With Quote
kya kahu?
Old
  (#2)
meena chheda
Registered User
meena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to beholdmeena chheda is a splendid one to behold
 
meena chheda's Avatar
 
Offline
Posts: 5,436
Join Date: Dec 2002
Location: mumbai
Rep Power: 35
kya kahu? - 2nd May 2003, 05:35 PM

meri nanu,
kya kahu, alfaaz nahi mere paas
tumhare ahesaas dil ko .....
yunh chhutae hai mere
jaise sahaj se aakar hawa.

ansoo baha kar dekhe hai meine
apni har khawaish ko daba kar dekha hai meine
aa kar mere passs bhi woh dooor hi rehte hai
un ko apne gale se bhi laga kar dekha hai meine ...

tere ahesaas bahot hi gahraai se baahar aaye hai.

tumhari didiiiiiiii
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Sharaabi
madhoSH shaKHs
Sharaabi has a spectacular aura aboutSharaabi has a spectacular aura about
 
Sharaabi's Avatar
 
Offline
Posts: 974
Join Date: Oct 2002
Rep Power: 23
3rd May 2003, 06:40 AM

maaf ki jiye, thoDi dehr baad reply kar raha huuN; pehle aapki post paDii thi, magar reply karna bhool gaya!

bahot hi behtareen lafzoN ke zariye aapne dil ki haalat ko ek kalaam banaa kar pesh kiya hai.
paD kar bahot achcha lagga!

aapse ummeed hai ki isi taraH mehfil sajaate raheN ge..

aman



"je tu akhiiyaaN de saamne naii rehnaa,
te bibba saada dil moD de..!"


kya karooN? aisa hi hooN maiN..
  Send a message via Yahoo to Sharaabi  
Reply With Quote
Old
  (#4)
mein_aur_tanhai
Registered User
mein_aur_tanhai is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 492
Join Date: Feb 2003
Location: Kabaristaan...
Rep Power: 22
3rd May 2003, 09:23 AM

namaste... talkineyesji

maaf kijyega.. mujhe apka naam nai pata.... anywaz.... sach mein apne..bahut hi accha likha hai ... dil ko chuu gai apki yeah likhavat...

specially these lines

har aahat se bacha kar dekha hai meine
un ki har baat ko seene se laga kar dekha hai meine
woh kabhi mere nahi hue ....
is baaat ko ... khudha ko bata kar dekha hai meine

lamha lamha un ki yaad mein guzara meine
apna wajoood ko un mein basaya meine
woh mujh se judaa ho kar chala gaya door
har pal us ko khawaabo mein bulaya meine ... !!!!!


bye take care


Lamha Lamha...saSein Khatam hoo rai hai...
Zindagi Maut ke pehlu mein soo rai hai...
Us bewafa se na pucho meri maut ki wajah...
Woh to bus zamane ko dikhane ke liye roo rai hai...
   
Reply With Quote
Bahut achhe
Old
  (#5)
Chaand
Registered User
Chaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud ofChaand has much to be proud of
 
Chaand's Avatar
 
Offline
Posts: 2,628
Join Date: Jul 2002
Location: New Delhi
Rep Power: 34
Exclamation Bahut achhe - 3rd May 2003, 10:49 AM

Hello talkingeyes,

Or ek baar phir aapne bahut hi behtreen tareeke se khoobsoorat se khayaalatoN ko bade hi seedhe se alfaazoN me keh diya, bahut khoob!!!

Hamare khayaalat bhi kuchh eise hi haiN bas andaaz kuchh alag hai.

Ik samandar ki chaahat ke chalte
Koi uske gehre me nikal gaya,
Samandar or mohobbat ka hunar ? 'Afsos'
Wo apne aashiq ko hi nigal gaya.

Regards

Chaand


Sachh bolne ka hausla to, hum bhi rakhte haiN lekin
Anjaam sochkar, aksar khaamosh hi reh jaate haiN.

- Chaand
   
Reply With Quote
Old
  (#6)
ghayalparwana
Registered User
ghayalparwana will become famous soon enoughghayalparwana will become famous soon enough
 
ghayalparwana's Avatar
 
Offline
Posts: 1,128
Join Date: Nov 2002
Location: London
Rep Power: 24
4th May 2003, 12:06 PM

Bahut khoob !!

Achha likha hai aapne..khaas kar ke yeh kuchh lines

haatho ki lakheero ko miitaa kar dekha hai meine
kaanch ki chuddiyon ko kankha ke dekha hai meine
woh kabhi bhi sunte nahi mere jazbaato ko
apni aankho se dil ki baat samjha kar dekha hai meine

Apni bebasi ko bahut hi haseen tareelke se bayaan kiya hai aapne..

Likhte rahiye
Varinder


kyon zindagi ki raah mein akele chalta hai dost
chal waha chal jahan tere jaise aur bhi hai...
   
Reply With Quote
nothing
Old
  (#7)
raghuashka
Registered User
raghuashka is on a distinguished road
 
Offline
Posts: 8
Join Date: Jan 2003
Location: sangrur
Rep Power: 0
nothing - 7th May 2003, 04:41 AM

this is my second reply to u..keep writing ...
sharing our dard.......
   
Reply With Quote
Old
  (#8)
bedilMusafir
Registered User
bedilMusafir will become famous soon enough
 
Offline
Posts: 405
Join Date: Feb 2003
Rep Power: 22
31st July 2003, 10:16 PM

lamha lamha un ki yaad mein guzara meine
apna wajoood ko un mein basaya meine
woh mujh se judaa ho kar chala gaya door
har pal us ko khawaabo mein bulaya meine ... !!!!!


waah Talkingeyes ji...
bohat khubsurat rachna pesh ki hai aapne...
her lafz meiN kashish hi kashish hai...

muaafi chahooNga derr se reply karne ke liye...

likhti rahiye aur muskuraati rahiye...


mai 'bedil'
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
humne tumko dekha tumne humko dekha aise...! Dhaval Hindi/Urdu Lyrics 1 8th August 2008 04:38 PM
maang sitaron se....... muskaan76 Shayri-e-Ishq 8 12th May 2008 11:53 PM
Suni Maang ARUNAGRAWAL Shayri-e-Ishq 1 10th November 2003 02:38 PM
maang lo kuch bhi aaj tum sonica_k Shayri-e-Ishq 0 15th January 2002 09:52 PM
maang rohini Anjuman-e-Shayri 2 31st August 2001 12:06 AM



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com