Kya pyar mein aissa hota hai....... -
5th March 2003, 02:34 PM
Kya pyar me essa hota hai
Kya jis say dil chahay uss pay mar janay ko dil chahta hai
Kya uss kay ansoo pee janay ko dil chahta hai
Kya uss kay har gam ko mitta dene ko dil chahta hai
Kya ussko har paal muskurata hua dekhnay ko dil chahta hai
Kya uss par zindagani lutta daynay ko dil chahta hai
Kya uss ka hath pakar kar uda lay janay ko dil chahta hai
Kya usski ankhon mein kho janay ko dil chahta hai
Kya usski pyari pyari baton ko har paal sun-nay ko dil chahta hai
Kya ussko har khushi daynay ko dil chahta hai
Kya ussko har chot se mehfooz rakhne ko dil chahta hai
Kya usskay rastay mein giray huay har kantay ko utha dena ko dil chahta hai
Kya ussko dil mein chupa laynay ko dil chahta hai
Kya ussko har pal sapno mein rakhnay ko dil chahta hai
Kya pyar mein aissa hota hai Kay usski parchayee ko hee dekh kar dil khush ho jata hai
Kya usski ek nazar se hee dil ko sukoon ajata hai
Kya usska chehra charon tarf shajata hai
Kya usski baat baat par pyar ajata hai
Kya usske bahon mein dil mar jana chahta hai
Kya usski hathon ki rekhaon ko dil badal dena chahta hai
Kya usskay naseeb mein likha hua har gham dil apne naam kar dena chahta hai
Kya usski har khuwaiish ko dil pura kar dayna chahta hai
Keh saray jahan ki khushian dil usske kadmon mein bicha dena chahta hai....
Kya pyar mein aissa hota hai
Kya usske sath jina to kya Usske sath mar janay ko dil chahta hai..........
Kya pyar mein aissa hota hai.......
**************************
love u guys
SANAM
GUJRE HAI AAJ HUM ISHQ MAIN US MUKAM SE,
NAFRAT SE HOGAYEE HAI MOHOBBAT KE NAAM SE.
|