Shayri.com  

Go Back   Shayri.com > Shayri > Shayri-e-Dard

Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
bin tere zindagi saza hai.......
Old
  (#1)
furqann
Registered User
furqann has a spectacular aura aboutfurqann has a spectacular aura about
 
furqann's Avatar
 
Offline
Posts: 159
Join Date: Jul 2014
Location: mumbai
Rep Power: 11
bin tere zindagi saza hai....... - 19th July 2014, 04:27 PM


haazreen-e-mehfil ko salaam arz hai
dosto Aaj pehli baar kuch apna likha pesh kar raha hu iski shuruwaat to ab se 4 month pehle hui thi Jab ek pal me sab kuch badal gaya main us waqt ye nahi socha tha k mere lafz kabhi namz bhi ho sakte hai mujhe na Behr ka ilm hai na qafiye ki khabar in sab se anjaan hu ummeed hai meri galtiyo ko aap sab point out karoge jis main apni galtiyan sudhar saku



Kaha ho tum chale Aao
mujhe bhi saath le jaao
k tum bin ham adhure hai
adhurepan me kya jeena
tum hi ho zindagi meri
tum hi ho aarzu meri
tumhare bin jiye kaise
mujhe bas ye bata jaao
tum Aa jao tum Aa jaao
mujhe bhi saath le jaao
tumhare bin mujhe ek pal
nahi jeena nahi jeena
teri baaten tere waade
mujhe sab yaad aate hai
tumhari ulfato k ye
sabhi qisse sunate hai
tumhare pyaar k qisse
hasee rukhsaar k qisse
jo har pal saath beete the
wo pal na bhool payegen
ham har waada nibhayegen
mujhe na chhor k jao
Sahara kon hai mera
na dil yun Tod k jao
ye Dard-dil sahe kaise
kaho tum bin jiye kaise
tumhare bin mujhe ek pal
nahi jeena nahi jeena
ye aakhen bheegi rehti hai
mere aansu nahi rukte
tumhe ye yaad karte hai
tumse faryaad karte hai
zara kuch to reham khao
wafa ki laaj rakh lo na
karam Itna hi kar do bas
hame bhi saath le jaao
zehar ye aansun ka ab
nahi peena nahi peena
mujhe tum bin nahi jeena
Kaha tumne hi tha mujhse
kabhi na ham juda honge
to phir ab ye judai kyu
ki tumne bewafai kyu
wo sang jeena
wo sang marna
kyu qasme bhool baithe ho
hame kyu chor jaate ho
saza kis baat ki Dee ho
wafa ya bewafai ki
kyu ab khamosh ho itne
kaho kuch to kaho hamse
khafa kyu ho bayaa kar do
khata ko Dar-guzar kar do
judai ki saza na do
na jao chor kar mujh ko
mujhe bhi saath le jao
k tum bin is jahaa me ab
nahi rehna nahi rehna
mujhe tum bin nahi jeena
na main naraaz hu tum se
na kuch shikwe shikayat hai
khafa kaise rahu tumse
mujhe tumse mohabbat hai
tumhe mujhse mohabbat hai
mohabbat ki qasam tumko
hame na chhor k jao
hame bhi saath le jaao
tumhare saath jeete the
tumhare saath hai marna
tum hi to Jaan ho meri
tum hi pehchaan ho meri
tum hi se hai rawa saansen
tum hi se dil dhadakta hai
meri jaa'n ko na tadpao
meri pehchan Lauta do
ya saansen rok do meri
yun jeene ki saza na do
k dhadkan bin jiye kaise
zara Itna to samjha do
tumhare bin khushi kaisi
k tum bin zindagi kaisi
yehi bas Aas hai baaqi
yehi faryaad hai baaqi
kahi se tum chale Aao
hame bhi saath le jao
qehar ye zindagi ka ab
nahi sehna nahi sehna
tumhare bin mujhe ek pal
nahi jeena nahi jeena
tumhare bin nahi jeena
nahi jeena nahi jeena



safar yun hi Kat jaye khushyon bhara
sa
dua hai rahe saath yun hi hamara
ye mehfil hamesha sab yun hi sajana
ham na ho jahaa'n me to yaad rakhe zamana



I like 2 wlk in rain bez its hide my
tears bcz

My smile is fake.......
   
Reply With Quote
Old
  (#2)
furqann
Registered User
furqann has a spectacular aura aboutfurqann has a spectacular aura about
 
furqann's Avatar
 
Offline
Posts: 159
Join Date: Jul 2014
Location: mumbai
Rep Power: 11
20th July 2014, 01:06 AM

Quote:
Originally Posted by N@zneen View Post
Tumhari is nazm mein rawani hai, sachche jazbon se saji behad khoobsurat nazm, waise kafi lambi nazm hai lekin padhte waqt pata hi nhi chala kab khatm hogaya, tum bht achcha likhte ho...pls keep writing.

hosla afzai ka shukriya naaz g
wahi puraani baat repeat karna chahuga k mujhe likhna nahi Aata jab ye mere zehan me aaye the bs kuch alfaz the ye nazm kaise bane Pata nahi aur ab agar kuch likhne ki koshish karta hu to kafi mushkil hoti hai aur likha nahi jaata hai Pata nahi phir kabhi kuch likh pau ya nahi lekin koshish zarur karta hu
aapne ise read kiye pasand kiye uske liye teh dil se shukriya kehta hu
aise hi saath dete



safar yun hi Kat jaye khushyon bhara
sa
dua hai rahe saath yun hi hamara
ye mehfil hamesha sab yun hi sajana
ham na ho jahaa'n me to yaad rakhe zamana



I like 2 wlk in rain bez its hide my
tears bcz

My smile is fake.......
   
Reply With Quote
Old
  (#3)
Hassan
Some Mirrors Lie...
Hassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.comHassan is the among the best Shayars at Shayri.com
 
Hassan's Avatar
 
Offline
Posts: 3,133
Join Date: Aug 2009
Location: Shehr-e-husn
Rep Power: 44
Thumbs up 20th July 2014, 10:28 PM

zara Itna to samjha do
tumhare bin khushi kaisi
k tum bin zindagi kaisi

wah boht khoob Furqann bhai,,

Aise hi acha acha likh k humaiN mehzooz karte rehna,

DuaooN k saath,,,


*hSn* : parStaar

tumhara shoq dekha to ghazal hum ne nazar kar di!
kabhi fursat meiN sun lena, bohat ashaar baqi haiN...
("Asad")
   
Reply With Quote
Old
  (#4)
furqann
Registered User
furqann has a spectacular aura aboutfurqann has a spectacular aura about
 
furqann's Avatar
 
Offline
Posts: 159
Join Date: Jul 2014
Location: mumbai
Rep Power: 11
20th July 2014, 10:51 PM

Quote:
Originally Posted by Hassan View Post
zara Itna to samjha do
tumhare bin khushi kaisi
k tum bin zindagi kaisi

wah boht khoob Furqann bhai,,

Aise hi acha acha likh k humaiN mehzooz karte rehna,

DuaooN k saath,,,

shukriya Hassan sahab aise hi saath dete rahe



safar yun hi Kat jaye khushyon bhara
sa
dua hai rahe saath yun hi hamara
ye mehfil hamesha sab yun hi sajana
ham na ho jahaa'n me to yaad rakhe zamana



I like 2 wlk in rain bez its hide my
tears bcz

My smile is fake.......
   
Reply With Quote
Old
  (#5)
zainy
Aapki dost
zainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.comzainy is the among the best Shayars at Shayri.com
 
zainy's Avatar
 
Offline
Posts: 7,325
Join Date: Feb 2008
Rep Power: 57
10th August 2014, 08:14 PM

Good one Furqan sahab. .........




Zainy


PalkoN ki baand ko tod ke daaman pe aa gira
Ek aaNsu mere zabt ki tauheen kar gaya...

Nm
  Send a message via MSN to zainy  
Reply With Quote
Old
  (#6)
furqann
Registered User
furqann has a spectacular aura aboutfurqann has a spectacular aura about
 
furqann's Avatar
 
Offline
Posts: 159
Join Date: Jul 2014
Location: mumbai
Rep Power: 11
11th August 2014, 05:31 PM

Quote:
Originally Posted by zainy View Post
Good one Furqan sahab. .........
shukriya.......
Zainy sahiba



safar yun hi Kat jaye khushyon bhara
sa
dua hai rahe saath yun hi hamara
ye mehfil hamesha sab yun hi sajana
ham na ho jahaa'n me to yaad rakhe zamana



I like 2 wlk in rain bez its hide my
tears bcz

My smile is fake.......
   
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump



Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.
vBulletin Skin developed by: vBStyles.com